"chhoDo ye baat-chit bhi kis kaa hai kyaa huaa achchhaa huaa hai yaar jo achchhaa buraa huaa dhire se chalnaa chaahiye thaa bhaagne lage ham ne kharaab kar liyaa rasta banaa huaa aankhon kaa lams jism ke haathon mein saunp kar us ne charaagh gul kiyaa aadhaa jalaa huaa aadhaa adhuraa hijr javaani chabaa gayaa aadhe adhure ishq mein bachpan havaa huaa dil kaa moaamla bhi hai kuchh is tarah kaa dost taaza saa ek zakhm ho jaise dukhaa huaa chakraa rahe hain vaaqai ham yaa mire 'safir' pankhaa saa ghumtaa hai falak se lagaa huaa"
jaane kaisaa sog manaayaa jaataa hai — Azbar Safeer
"jaane kaisaa sog manaayaa jaataa hai kuchh qabron par diyaa jalaayaa jaataa hai kuchh jismon ki lazzat puuri karne ko kuchh jismon ko khinch ke laayaa jaataa hai vo aankhein pinjre mein hoti hain jin ko aazaadi kaa khvaab dikhaayaa jaataa hai vasl to pahlaa raag hai sab gaa lete hain hijr kahaan har ek se gaayaa jaataa hai kuchh nuqte alfaaz ki zinat hote hain kuchh nuqton se kaam chalaayaa jaataa hai mumkin hai ki rone kaa kuchh vaqt mile baarish kaa imkaan bataayaa jaataa hai"
جانے کیسا سوگ منایا جاتا ہے کچھ قبروں پر دیا جلایا جاتا ہے کچھ جسموں کی لذت پوری کرنے کو کچھ جسموں کو کھینچ کے لایا جاتا ہے وہ آنکھیں پنجرے میں ہوتی ہیں جن کو آزادی کا خواب دکھایا جاتا ہے وصل تو پہلا راگ ہے سب گا لیتے ہیں ہجر کہاں ہر ایک سے گایا جاتا ہے کچھ نقطے الفاظ کی زینت ہوتے ہیں کچھ نقطوں سے کام چلایا جاتا ہے ممکن ہے کہ رونے کا کچھ وقت ملے بارش کا امکان بتایا جاتا ہے
जाने कैसा सोग मनाया जाता है कुछ क़ब्रों पर दिया जलाया जाता है कुछ जिस्मों की लज़्ज़त पूरी करने को कुछ जिस्मों को खींच के लाया जाता है वो आँखें पिंजरे में होती हैं जिन को आज़ादी का ख़्वाब दिखाया जाता है वस्ल तो पहला राग है सब गा लेते हैं हिज्र कहाँ हर एक से गाया जाता है कुछ नुक़्ते अल्फ़ाज़ की ज़ीनत होते हैं कुछ नुक़्तों से काम चलाया जाता है मुमकिन है कि रोने का कुछ वक़्त मिले बारिश का इम्कान बताया जाता है

More by Azbar Safeer
View all →"javaab maangaa to ulTaa savaal karne lage hamaare ahd ke bachche kamaal karne lage baDe buzurg parindon se pyaar karte the so ham bhi sabz ruton kaa khayaal karne lage jo zard-ru hain vo phulon ko dekh kar apne tamaanche maar ke rukhsaar laal karne lage dimaagh Thiik hai lekin ye dil vabaali hai na jaane kaun ghaDi kyaa vabaal karne lage main khush huaa thaa use dekh kar magar 'azbar' darun-e-dil koi purze malaal karne lage"
"log aae hi nahin mujh ko mayassar aise jo mujhe kahte ki aise nahin 'azbar' aise jaisaa main huun mire chehre ki hansi jaisi hai ghaur se dekh ki hote nahin joker aise tez dauDaa ke achaanak miri rassi khinchi us ne samjhaayaa mujhe lagti hai Thokar aise aankh khulne pe jo uThtaa huun to chakraataa huun kaun detaa hai mujhe khvaab mein chakkar aise zulf aisi ke siyaah reshmi jangal koi nain us shakhs ke hain surmai marmar aise koi to hotaa jo siine se lagaa kar kahtaa baat thi baat ko lete nahin dil par aise kis ne sochaa thaa ki kamron mein faqat chup hogi kis ne sochaa thaa ki guzregaa september aise haae aakhir mein vahi haadisa pesh aayaa 'safir' hamein kahnaa paDaa likkhe the muqaddar aise"
"zamin banaai nae zaaviye banaane paDe kahin pe qaus kahin daaere banaane paDe kahin thi raushni matlub aur kahin raunaq kahin charaagh kahin qumqume banaane paDe vo ik safar jo hamein zindagi ki shakl milaa us ik safar ke kai marhale banaane paDe faraaghaton mein yahaan aur kuchh na ban paayaa sitam banaane paDe masale banaane paDe nai havaaon se laDne ke vaaste 'azbar' hamein charaagh nae taur ke banaane paDe"
"chameli raat kah rahi thi meri bu liyaa karein aur is se ji nahin bhare to mujh ko chhu liyaa karein gar aap ko bhi shauq hai qad-aavari kaa yuun karein zamin mein paanv gaaD kar zaraa numu liyaa karein kabhi bhi achchhe devtaa nahin baneinge aise aap chaDhaave mein rupae nahin faqat lahu liyaa karein hamaare mai-kade kaa ye usuul hai sabhi sunein hamesha daaein haath se sabhi subu liyaa karein qafas mein shor bhi karein to khair hai magar 'safir' rihaaishi parind lein to khush-gulu liyaa karein"
"chuTki kaaTo zaraa hilaao mujhe main yahin huun yaqin dilaao mujhe roz ik jhiil raah takti hai khinch letaa hai ik alaav mujhe jannati huun to phir baDho aage titliyon aao gudgudaao mujhe main huun dariyaa so karnaa paDtaa hai kahin rasta kahin kaTaao mujhe apni raftaar kho chukaa huun main kitnaa mahngaa paDaa paDaav mujhe main kinaara huun aur aarzi huun jaane kab kaaT de bahaao mujhe main huun aakhir ko jins-e-khaam 'azbar' bech do kauDiyon ke bhaav mujhe"
More on Hijr
View all →"zindagi bojhal hui aazaar se jism jhuktaa jaa rahaa hai baar se doston ne is qadar dhoke diye aur raghbat baDh gai aghyaar se zindagi kaa ik nayaa imkaan huaa ik daricha khul gayaa divaar se ab bayaan kaise karun rudaad-e-gham kaam mushkil hai dil-e-naa-chaar se hijr ki raaton mein bahtaa hi rahaa ek naala chashm-e-dariyaa-baar se misl-e-majnun regzaaron mein rahe sar paTakte ret ki divaar se ham asiraan-e-mohabbat hain yahaan uljhe hain ab gesu-e-khamdaar se 'qalb' teri ghazlein yuun shaadaan karein dard nikle hai tire ashaar se"
"kis ajab saaat-e-naayaab mein aayaa huaa huun tujh se milne main tire khvaab mein aayaa huaa huun phir vahi main huun, vahi hijr kaa dariyaa-e-amiq koi dam aks-e-sar-e-aab mein aayaa huaa huun kaise aaine ke maanind chamaktaa huaa main ishq ke shahr-e-abad-taab mein aayaa huaa huun meri har taan hai az-roz-e-azal taa-ba-abad ek sur ke liye mizraab mein aayaa huaa huun koi parchhaain kabhi jism se karti hai kalaam? be-sabab saaya-e-mahtaab mein aayaa huaa huun har guzarte hue lamhe mein Tapaktaa huaa mein dard huun, vaqt ke aasaab mein aayaa huaa huun kaisi gahraai se niklaa huun adam ki 'irfaan' kaise paayaab se taalaab mein aayaa huaa huun"
"kyaa manzil-e-gham simaT gai hai ik aah mein raah kaT gai hai phir saamne hai pahaaD si raat phir shaam se niind uchaT gai hai pahlu mein ye kaisaa dard uThaa hai ye kaun si raah kaT gai hai aap aae nahin to maut kambakht aa aa ke palaT palaT gai hai uTh uTh ke mariz-e-gham ne puchhaa kyaa hijr ki raat kaT gai hai phir 'saif' havaa-e-yaad-e-rafta har gham ki naqaab ulaT gai hai"
"rakht-e-safar kaa main ne iraada nahin kiyaa raushan charaagh-e-manzil-e-jaada nahin kiyaa tujh se bichhaD ke aur miraa dil udaas ho milne kaa is liye abhi vaada nahin kiyaa shiddat se thaa malaal shab-e-hijr kaa magar shaane pe tere sar ko nihaada nahin kiyaa dil mutmain hai baais-e-tajdid-e-dosti us ko khafaa bhi had se ziyaada nahin kiyaa sab kuchh ataa huaa tiri rahmat se is liye dast-e-talab ko aur kushaada nahin kiyaa shaayad ki meri ruuh ko baalidgi mile khud ko rahin-e-saaghar-o-baada nahin kiyaa shaayad miri jabin ko mile izn-e-bandagi dil ke varq ko is liye saada nahin kiyaa mujh ko na tamkanat kaa ho ehsaas-e-be-ziyaan qaamat ko apne aur sitaara nahin kiyaa apni talaash mein huun 'sabaa' is liye abhi su-e-haram safar kaa iraada nahin kiyaa"
"raakh ke Dher pe kyaa shoala-bayaani karte ek qisse ki bhalaa kitni kahaani karte husn itnaa thaa ki mumkin hi na thi khud-nigari ek imkaan ki kab tak nigaraani karte shola-e-jaan ko bujhaate yunhi qatra qatra khud ko ham aag banaate tujhe paani karte phuul saa tujh ko mahaktaa huaa rakhte shab bhar apne saanson se tujhe raat ki raani karte naddiyaan dekhein to bas sharm se paani ho jaaein chashm-e-khun-basta se paidaa vo ravaani karte sab se kahte ki ye qissa hai puraanaa saahab aah ki aanch se tasvir puraani karte dar-o-divaar badalne mein kahaan ki mushkil ghar jo hotaa to bhalaa naql-e-makaani karte koi aa jaataa kabhi yunhi agar dil ke qarib ham tiraa zikr pae-yaad-dahaani karte sach to ye hai ki tire hijr kaa ab ranj nahin kyaa dikhaave ke liye ashk-fishaani karte dil ko har lahza hi di aql pe ham ne tarjih yaar-e-jaani ko kahaan dushman-e-jaani karte shab isi tarah basar hoti hai meri 'irfaan' harf-e-khush-rang ko andoh-e-maaani karte"
"kyuun vasl mein bhi aankh milaai nahin jaati vo farq dilon kaa vo judaai nahin jaati kyaa dhuum bhi naalon se machaai nahin jaati soti hui taqdir jagaai nahin jaati kuchh shikva na karte na bigaDtaa vo shab-e-vasl ab ham se koi baat banaai nahin jaati dekho to zaraa khaak mein ham milte hain kyunkar ye nichi nigah ab bhi uThaai nahin jaati kahti hai shab-e-hijr bahut zinda rahoge maangaa karo tum maut abhi aai nahin jaati vo ham se mukaddar hain to ham un se mukaddar kah dete hain saaf apni safaai nahin jaati ham sulh bhi kar lein to chali jaati hai un mein baaham dil o dilbar ki laDaai nahin jaati khud dil mein chale aaoge jab qasd karoge ye raah bataane se bataai nahin jaati chhupti hai 'jalaal' aankhon mein kab hasrat-e-didaar sau parde agar hon to chhupaai nahin jaati"