Ghazal
The lyric art form of Urdu poetry — every sher a universe of longing, love, and philosophy
Featured Poets
All Poets →Trending Ghazals
Bakhsh Layalpuri
ataaq-e-shab mein sahar ke charaagh raushan kar
qabaa-e-dil hi nahin dil ke daagh raushan kar
kisi tariq se taaza havaa giraft mein laa
kisi sabil se apnaa dimaagh raushan kar
· · ·
Bakhsh Layalpuri
usi ke zulm se main haalat-e-panaah mein thaa
har ik nafas miraa jis shakhs ki panaah mein thaa
chamak rahaa thaa vo khurshid-e-do-jahaan ki tarah
vo haath jo ki garebaan-e-kaj-kulaah mein thaa
· · ·
Bakhsh Layalpuri
safha-e-qirtaas par khush-rang tahrirein nahin
apne qabze mein abhi lafzon ki jaagirein nahin
zindagi ham ne guzaari ek beva ki tarah
khvaab vo dekhe ki jin ki koi taabirein nahin
· · ·
Bakhsh Layalpuri
rukh-e-hayaat hai sharminda-e-jamaal bahut
jami hui hai abhi gard-e-maah-o-saal bahut
gurez-paa hai jo mujh se tiraa visaal to kyaa
miraa junun bhi hai aamaada-e-zavaal bahut
· · ·
Bakhsh Layalpuri
jahaan-e-jubba-o-dastaar ki himaayat kyaa
yazid-e-vaqt hai kyaa aur us ki bai'at kyaa
munaafiqaana ravish aam hoti jaati hai
naqaab-poshi-e-ahbaab ki shikaayat kyaa
· · ·
Bakhsh Layalpuri
kabhi aankhon pe kabhi sar pe biThaae rakhnaa
zindagi talkh sahi dil se lagaae rakhnaa
lafz to lafz hain kaaghaz se bhi khushbu phuTe
safha-e-vaqt pe vo phuul khilaae rakhnaa
· · ·
Bakhsh Layalpuri
koi shai dil ko bahlaati nahin hai
pareshaani ki rut jaati nahin hai
hamaare khvaab chori ho gae hain
hamein raaton ko niind aati nahin hai
· · ·
Bakhsh Layalpuri
mire har lafz ki tauqir rahne ke liye hai
main vo zinda huun meri tahrir rahne ke liye hai
sitam-gar ne jo pahnaai mire dast-e-talab mein
ye mat samjho ki vo zanjir rahne ke liye hai
· · ·
Bakhsh Layalpuri
tishnagi-e-lab pe ham aks-e-aab likkheinge
jin kaa ghar nahin koi ghar ke khvaab likheinge
tum ko kyaa khabar is ki zindagi pe kyaa biiti
zindagi ke zakhmon par ham kitaab likkheinge
· · ·
Bakhsh Layalpuri
jo pi rahaa hai sadaa khuun be-gunaahon kaa
vo shakhs to hai numaainda kaj-kulaahon kaa
jise bhi chaahaa salib-e-sitam pe khinch diyaa
faqih-e-shahr to qaail nahin gavaahon kaa
· · ·
Bakhsh Layalpuri
husul-e-manzil-e-jaan kaa hunar nahin aayaa
vo raushni thi ki kuchh bhi nazar nahin aayaa
bhaTak rahe hain abhi ziist ke saraabon mein
musaafiron ko shuur-e-safar nahin aayaa
· · ·
Bakhsh Layalpuri
samundar kaa tamaasha kar rahaa huun
main saahil ban ke pyaasaa mar rahaa huun
agarche dil mein sahraa-e-tapish hai
magar main Dubne se Dar rahaa huun
· · ·
Bakhsh Layalpuri
qaatil huaa khamosh to talvaar bol uThi
maqtal mein khun-e-garm ki har dhaar bol uThi
puchhaa subuk saron kaa numaainda kaun hai
sun kar faqih-e-shahr ki dastaar bol uThi
· · ·
Bakhsh Layalpuri
mashaqqat kaa khazaana maangtaa hai
miri mehnat zamaana maangtaa hai
har ik lamha dil-e-aavaara-fitrat
masaafat kaa khazaana maangtaa hai
· · ·
Bakhsh Layalpuri
rut na badle to bhi afsurda shajar lagtaa hai
aur mausam ke taghayyur se bhi Dar lagtaa hai
dard-e-hijrat ke sataae hue logon ko kahin
saaya-e-dar bhi nazar aae to ghar lagtaa hai
· · ·
Bakhsh Layalpuri
banti nahin baat to phir baat kyaa karein
bigDe hue hain shahr ke haalaat kyaa karein
aati nahin giraft mein saanson ki Doriyaan
hain gardish-e-mudaam mein din-raat kyaa karein
· · ·
Bakhsh Layalpuri
dida-e-be-rang mein khun-rang manzar rakh diye
ham ne is dasht-e-tapaan mein bhi samundar rakh diye
vo jagah jo laal-o-gauhar ke liye maqsud thi
kis ne ye sang-e-malaamat us jagah par rakh diye
· · ·
Bakhsh Layalpuri
asiraan-e-havaadis ki giraan-jaani nahin jaati
jahaan se khun-e-insaani ki arzaani nahin jaati
darogh-e-maslahat ke dekh kar aasaar chehron par
haqiqat-aashnaa aankhon ki hairaani nahin jaati
· · ·
Bakhsh Layalpuri
paDe hain raah mein jo log be-sabab kab se
pukaarti hai unhein manzil-e-talab kab se
ye aur baat makinon ko kuchh khabar na hui
lagaa rahe the muhaafiz magar naqab kab se
· · ·







