Ghazal
The lyric art form of Urdu poetry — every sher a universe of longing, love, and philosophy
Featured Poets
All Poets →Trending Ghazals
Baqar Mehdi
jo zamaane kaa ham-zabaan na rahaa
vo kahin bhi to kaamraan na rahaa
is tarah kuchh badal gai hai zamin
ham ko ab khauf-e-aasmaan na rahaa
· · ·
Baqar Mehdi
badal ke rakh deinge ye tasavvur ki aadmi kaa vaqaar kyaa hai
khalaa mein vo chaand naachtaa hai zamaan makaan kaa hisaar kyaa hai
bahak gae the sambhal gae hain sitam ki had se nikal gae hain
ham ahl-e-dil ye samajh gae hain kashaakash-e-rozgaar kyaa hai
· · ·
Baqar Mehdi
mahfilon mein jaa ke ghabraayaa kiye
dil ko apne laakh samjhaayaa kiye
yaas ki gahraaiyon mein Duub kar
zakhm-e-dil se khud ko bahlaayaa kiye
· · ·
Baqar Mehdi
kaun bhalaa ye kahtaa hai khud aa ke ham ko manaaein aap
TuuTaa dil ab kaise juDegaa sachchi qasmein na khaain aap
patthar siine par rakh leinge jite-ji jaaeinge
aap ko qaatil kaun kahegaa kyuun naahaq ghabraaein aap
· · ·
Baqar Mehdi
tabaah ho ke bhi ik apni aan baaqi hai
baghaavaton ki taDap gham ki jaan baaqi hai
khalaa mein Duub ke ham ko bhi ye huaa maalum
ki kuchh nahin hai magar aasmaan baaqi hai
· · ·
Baqar Mehdi
saada kaaghaz pe koi naam kabhi likh lenaa!
ho sake milne ki ik shaam kabhi likh lenaa!
yuun to ham ahl-e-junun kuchh bhi nahin karte hain
gumrahi kaa hi sahi kaam kabhi likh lenaa!
· · ·
Baqar Mehdi
fareb khaa ke bhi sharminda-e-sukun na hue
na kam huaa kisi manzil pe valvala dil kaa
ye soch kar tiri mahfil se ham chale aae
ki ek baar to baDh jaae hausla dil kaa
· · ·
Baqar Mehdi
ajiib dil mein mire aaj iztiraab saa hai!
khuli hai aankh samundar bhi ek khvaab saa hai!
Thahar Thahar ke bajaataa hai koi saazina
main kyaa karun mire siine mein ik rubaab saa hai!
· · ·
Baqar Mehdi
main bhaag ke jaaungaa kahaan apne vatan se
jiitaa huun masaaib ki baqaa mere liye hai
sach bolne vaale ko Daraate ho sitam se
ruk jaao Thahar jaao jazaa mere liye hai
· · ·
Baqar Mehdi
gunjtaa shahron mein tanhaai kaa sannaaTaa to hai
be-kasi kaa ham-navaa ab tak vahi saayaa to hai
TuTti jaati hain ummidon ki zanjirein magar
Thokarein khaane ko majburi kaa ik sahraa to hai
· · ·
Baqar Mehdi
dasht-e-vafaa mein Thokarein khaane kaa shauq thaa
ab har qadam pe uDti hai kaali hari havaa
tanhaa kahaan huun go ki yahaan koi bhi nahin
mujh se lipaT ke sotaa hai saaya khafaa khafaa
· · ·
Baqar Mehdi
ab khaanumaan-kharaab ki manzil yahaan nahin
kahne ko aashiyaan hai magar aashiyaan nahin
ishq-e-sitam-navaaz ki duniyaa badal gai
husn-e-vafaa-shanaas bhi kuchh bad-gumaan nahin
· · ·
Baqar Mehdi
hazaar chaahaa lagaaein kisi se dil lekin
bichhaD ke tujh se tire shahr mein rahaa na gayaa
kabhi ye soch ke roe ki mil sake taskin
magar jo rone pe aae to phir hansaa na gayaa
· · ·
Baqar Mehdi
koi harf-e-nafi na kaam aayaa
kitni sachchi thi dosti apni
Thokarein khaa ke surkh-ru Thahraa
ik du'aa hai ye zindagi apni
· · ·
Baqar Mehdi
barson paDh kar sarkash rah kar zakhmi ho kar samjhaa main
har kucha hai kucha-e-qaatil zakhmi ho kar sambhlaa main
tufaani jazbon se bach kar duur talak kaise jaataa?
ek jazira ban kar aakhir lahron lahron Thahraa main
· · ·
Baqar Mehdi
zarre kaa raaz mehr ko samjhaanaa chaahiye
chhoTi si koi baat ho laD jaanaa chaahiye
khvaabon ki ek naav samundar mein Daal ke
tufaan ki mauj mauj se Takraanaa chaahiye
· · ·
Baqar Mehdi
kyaa kyaa nahin kiyaa magar un par asar nahin
shaayad ki apni sai-e-junun kaar-gar nahin
ghabraa ke chaahte hain ki gardish mein ham rahein
manzil kahin na ho koi aisaa safar nahin
· · ·
Baqar Mehdi
ishq ki saari baatein ai dil paagal-pan ki baatein hain
zulf-e-siyah ke saae mein bhi daar-o-rasan ki baatein hain
viraanon mein jaa ke dekho kaise kaise phuul khile hain
divaanon ke honTon par ab sarv o saman ki baatein hain
· · ·
Baqar Mehdi
bahut zi-fahm hain duniyaa ko lekin kam samajhte hain!
ajab qissa hai sab kuchh jaan kar mubham samajhte hain
havaaein tez-tar hain aaj baadal aane vaale hain
taDapte sard jhonkon ko bhi sab mausam samajhte hain
· · ·
Baqar Mehdi
auron pe ittifaaq se sabqat mili mujhe
bhule se sar-kashi ki rivaayat mili mujhe
ghairon ki dosti se kise hamdami mili
sab se bichhaD ke apni rifaaqat mili mujhe
· · ·
Baqar Mehdi
vo rind kyaa ki jo piite hain be-khudi ke liye
surur chaahiye vo bhi kabhi kabhi ke liye
ye kyaa ki bazm mein shamein jalaa ke baiThe ho
kabhi milo to sar-e-raah dushmani ke liye
· · ·
Baqar Mehdi
kyaa khabar thi ki kabhi be-sar-o-saamaan honge
fasl-e-gul aate hi is tarh se viraan honge
dar-ba-dar phirte rahe khaak uDaate guzri
vahshat-e-dil tire kyaa aur bhi ehsaan honge
· · ·
Baqar Mehdi
khabar sunegaa miri maut ki to khush hogaa
ki ab to jaa ke divaane ko chain aaegaa
mileinge mujh se kahin achchhe jaan-nisaar tujhe
magar kabhi to miraa zikr aa hi jaaegaa
· · ·
Baqar Mehdi
dushman-e-jaan koi banaa hi nahin
itne ham laaiq-e-jafaa hi nahin
aazmaa lo ki dil ko chain aae
ye na kahnaa kahin vafaa hi nahin
· · ·







