Quote
"badal ke rakh deinge ye tasavvur ki aadmi kaa vaqaar kyaa hai khalaa mein vo chaand naachtaa hai zamaan makaan kaa hisaar kyaa hai bahak gae the sambhal gae hain sitam ki had se nikal gae hain ham ahl-e-dil ye samajh gae hain kashaakash-e-rozgaar kyaa hai abhi na puchho ki laala-zaaron se uTh rahaa hai dhuaan vo kaisaa magar ye dekho ki phuul banne kaa aarzu-mand khaar kyaa hai vahi bane dushman-e-tamannaa jinhein sikhaayaa thaa ham ne jiinaa agar ye puchhein to kis se puchhein ki dosti kaa shiaar kyaa hai kabhi hai shabnam kabhi sharaaraa falak se TuuTaa to ek taaraa gham-e-mohabbat ke raazdaaro ye gauhar-e-aabdaar kyaa hai bahaar ki tum nai kali ho abhi abhi jhuum kar khili ho magar kabhi ham se yunhi puchho ki hasraton kaa mazaar kyaa hai ba-in tabaahi dikhaae ham ne vo moajize aashiqi ke tum ko ba-in adaavat kabhi na kahnaa ki aap saa khaaksaar kyaa hai bane koi ilm o fan kaa maalik ki main huun raah-e-vafaa kaa saalik nahin hai shohrat ki fikr 'baaqar' ghazal kaa ik raazdaar kyaa hai"
