Ghazal
The lyric art form of Urdu poetry — every sher a universe of longing, love, and philosophy
Featured Poets
All Poets →Trending Ghazals
Barqi Azmi
sukun-e-qalb kisi ko nahin mayassar aaj
shikast-e-khvaab hai har shakhs kaa muqaddar aaj
hai vaz-e-haal miri kyuun ye bad se bad-tar aaj
amir-e-shahr ke badle hue hain tevar aaj
· · ·
Barqi Azmi
sarak rahi hai us ki chilman maashaa-allaah maashaa-allaah
shaayad ab vo degaa darshan maashaa-allaah maashaa-allaah
garaj rahaa hai baadal ghan-ghan maashaa-allaah maashaa-allaah
bajti hai us ki paael jhan-jhan maashaa-allaah maashaa-allaah
· · ·
Barqi Azmi
insaaniyat na jis mein ho vo aadmi nahin
jis mein huzur qalb na ho bandagi nahin
jis mein junun-e-shauq na ho aashiqi nahin
dil kaa moaamla hai koi dil-lagi nahin
· · ·
Barqi Azmi
lauT kar jaise daur-e-shabaab aa gayaa
aap kyaa aa gae inqalaab aa gayaa
is tarah dil ke armaan puure hue
naama-bar le ke khat kaa javaab aa gayaa
· · ·
Barqi Azmi
kar ke asir-e-ghamza-o-naaz-o-adaa mujhe
ai dil-navaaz tu ne ye kyaa de diyaa mujhe
jaanaa thaa itni jald to aayaa thaa kis liye
ek ek pal hai hijr kaa sabr-aazmaa mujhe
· · ·
Barqi Azmi
hasb-e-vaada mujh se milne vo kabhi aayaa nahin
is se baDh kar aur kuchh bhi hausla-farsaa nahin
hijr thaa is kaa bahut sabr-aazmaa mere liye
gham se patthar ho gayaa lekin kabhi royaa nahin
· · ·
Barqi Azmi
ehsaas kaa vasil-e-izhaar hai ghazal
aaina-daar-e-nudrat-e-afkaar hai ghazal
urdu adab ko jis pe hamesha rahegaa naaz
izhaar-e-fikr-o-fan kaa vo meaar hai ghazal
· · ·
Barqi Azmi
gul-badan gul-ezaar aa jaao
jaa rahi hai bahaar aa jaao
hai agar mujh se pyaar aa jaao
hai fazaa saaz-gaar aa jaao
· · ·
Barqi Azmi
vo hain aaj baalaa-e-baam allaah allaah
mai-e-ishq kaa le ke jaam allaah allaah
mujhe kar diyaa khud se be-khud unhonne
nigaahon se de kar payaam allaah allaah
· · ·
Barqi Azmi
takhta-e-mashq-e-sitam mujh ko banaane vaalaa
thaa vahi roz mire khvaab mein aane vaalaa
muntashir kar diyaa shiraaza-e-hasti jis ne
khaana-e-dil ko mire thaa vo sajaane vaalaa
· · ·
Barqi Azmi
bimaar-e-mohabbat ki davaa aur hi kuchh hai
kuchh aur hi samjhe the huaa aur hi kuchh hai
'aazaad' ki tahrir kaa andaaz alag hai
'iqbaal' ke naghmon ki navaa aur hi kuchh hai
· · ·
Barqi Azmi
ibn-e-aadam barsar paikaar hai
garm zulm-o-jaur kaa baazaar hai
dandanaate phir rahe hain shar-pasand
kaun aakhir is kaa zimmedaar hai
· · ·
Barqi Azmi
dekhaa thaa jo bhi khvaab mein ab kyaa hai kuchh nahin
is husn aur shabaab mein ab kyaa hai kuchh nahin
mere liye to jaise vo kaaghaz kaa phuul thaa
us khushnumaa gulaab mein ab kyaa hai kuchh nahin
· · ·
Barqi Azmi
na aae kaam kisi ke jo zindagi kyaa hai
bashar-navaaz na ho jo vo aadmi kyaa hai
zamaana-saaz hain jo vo hain maslahat-andesh
jo ho khulus se aari vo dosti kyaa hai
· · ·
Barqi Azmi
vo bhuul gayaa mujh se barson ki shanaasaai
lamhon ne khataa ki thi sadiyon ne sazaa paai
haalaat kaa ab main huun khaamosh tamaashaai
bhaai se taDaptaa hai milne ke liye bhaai
· · ·
Barqi Azmi
jab se mein ne dekhaa hai ek khushnumaa chehra
tab se hai nigaahon mein us kaa chaand saa chehra
surat aur sirat mein imtiyaaz mushkil hai
hai har ek chehre par ek dusraa chehra
· · ·
Barqi Azmi
main soz-e-darun apnaa dikhaa bhi nahin saktaa
kyaa mujh pe guzarti hai bataa bhi nahin saktaa
raushan hai isi se miraa kaashaana-e-hasti
is sham-e-mohabbat ko bujhaa bhi nahin saktaa
· · ·
Barqi Azmi
tum aa rahe ho ki jaa rahe ho
bataao kyon muskuraa rahe ho
ye kaisaa jalva dikhaa rahe ho
nigaah-o-dil mein samaa rahe ho
· · ·
Barqi Azmi
us ne kiyaa hai vaada-e-fardaa aane do us ko aae to
naam badal denaa phir meraa lauT ke vaapas jaae to
arz-e-tamannaa kareinge us se agar na vo Thukraae to
us se zarur mileinge jaa kar pahle hamein bulaae to
· · ·
Barqi Azmi
mushtahar naam karo tum miraa akhbaaron mein
main to shaamil huun mohabbat ke gunahgaaron mein
mar ke bhi zinda-e-jaaved hain fankaar-e-azim
jo nazar aate hain taarikh ke shah-paaron mein
· · ·
Barqi Azmi
is ke ghar se mere ghar tak ek kahaani biich mein hai
meri us ki raahguzar tak ek kahaani biich mein hai
chappa chappa us ki gali kaa rahaa hai mere zer-e-qadam
josh-e-junun se azm-e-safar tak ek kahaani biich mein hai
· · ·
Barqi Azmi
nazar bachaa ke vo ham se guzar gae chup-chaap
abhi yahin the na jaane kidhar gae chup-chaap
hui khabar bhi na ham ko kab aae aur gae
nigaah-e-naaz se dil mein utar gae chup-chaap
· · ·
Barqi Azmi
kaun hai kis kaa ye paighaam hai kyaa arz karun
zindagi naama-e-gumnaam hai kyaa arz karun
de ke vo daavat-e-nazzaara jahaan phir na milaa
ye vahi jalva-gah-e-aam hai kyaa arz karun
· · ·
Barqi Azmi
vo hasb-e-vaada na aayaa to aankh bhar aai
mujhe tamaashaa banaayaa to aankh bhar aai
sajaa ke rakhtaa thaa palkon pe jis ko main aksar
nazar se us ne giraayaa to aankh bhar aai
· · ·







