SHAWORDS

ehsaas kaa vasil-e-izhaar hai ghazal — Barqi Azmi

HomeBarqi AzmiGhazal
"ehsaas kaa vasil-e-izhaar hai ghazal aaina-daar-e-nudrat-e-afkaar hai ghazal urdu adab ko jis pe hamesha rahegaa naaz izhaar-e-fikr-o-fan kaa vo meaar hai ghazal guldasta-e-adab kaa gul-e-sar-sabd hai ye hain jis mein gul-ezaar vo gulzaar hai ghazal aati hai jis vasile se dil se zabaan par khvaabida hasraton kaa vo izhaar hai ghazal urdu zabaan dil hai ghazal us ki jaan hai nau-e-bashar ki munis-o-gham-khvaar hai ghazal pahle hadis-e-dilbari kahte the is ko log ab tarjumaan-e-kucha-o-baazaar hai ghazal pesh-e-nazar agar ho 'vali'-dakkani kaa tarz mashshaata-e-arus-e-trahdaar hai ghazal hai 'mir' o 'zauq' o 'ghaalib' o 'momin' ko jo aziiz vo dil-navaaz jalva-gah-e-yaar hai ghazal 'barqi' ke fikr-o-fan kaa muraqqaa isi mein hai 'barq'-aazmi se matla-e-anvaar hai ghazal"
Urdu

احساس کا وسیلۂ اظہار ہے غزل آئینہ دار ندرت افکار ہے غزل اردو ادب کو جس پہ ہمیشہ رہے گا ناز اظہار فکر و فن کا وہ معیار ہے غزل گلدستۂ ادب کا گل سر سبد ہے یہ ہیں جس میں گلعذار وہ گلزار ہے غزل آتی ہے جس وسیلے سے دل سے زبان پر خوابیدہ حسرتوں کا وہ اظہار ہے غزل اردو زبان دل ہے غزل اس کی جان ہے نوع بشر کی مونس و غم خوار ہے غزل پہلے حدیث دلبری کہتے تھے اس کو لوگ اب ترجمان کوچہ و بازار ہے غزل پیش نظر اگر ہو ولیؔ دکنی کا طرز مشاطۂ عروس طرحدار ہے غزل ہے میرؔ و ذوقؔ و غالبؔ و مومنؔ کو جو عزیز وہ دل نواز جلوہ گہہ یار ہے غزل برقیؔ کے فکر و فن کا مرقع اسی میں ہے برقؔ اعظمی سے مطلع انوار ہے غزل

Hindi

एहसास का वसीला-ए-इज़हार है ग़ज़ल आईना-दार-ए-नुदरत-ए-अफ़्कार है ग़ज़ल उर्दू अदब को जिस पे हमेशा रहेगा नाज़ इज़हार-ए-फ़िक्र-ओ-फ़न का वो मेआ'र है ग़ज़ल गुलदस्ता-ए-अदब का गुल-ए-सर-सबद है ये हैं जिस में गुल-एज़ार वो गुलज़ार है ग़ज़ल आती है जिस वसीले से दिल से ज़बान पर ख़्वाबीदा हसरतों का वो इज़हार है ग़ज़ल उर्दू ज़बान दिल है ग़ज़ल उस की जान है नौ-ए-बशर की मूनिस-ओ-ग़म-ख़्वार है ग़ज़ल पहले हदीस-ए-दिलबरी कहते थे इस को लोग अब तर्जुमान-ए-कूचा-ओ-बाज़ार है ग़ज़ल पेश-ए-नज़र अगर हो 'वली'-दक्कनी का तर्ज़ मश्शाता-ए-अरूस-ए-तरहदार है ग़ज़ल है 'मीर' ओ 'ज़ौक़' ओ 'ग़ालिब' ओ 'मोमिन' को जो अज़ीज़ वो दिल-नवाज़ जल्वा-गह-ए-यार है ग़ज़ल 'बर्क़ी' के फ़िक्र-ओ-फ़न का मुरक़्क़ा इसी में है 'बर्क़'-आज़मी से मतला-ए-अनवार है ग़ज़ल

ehsās kā vasīl-e-iz.hār hai ġhazal
Barqi Azmi
Barqi Azmi
Barqi Azmi
poet51 quotes

More by Barqi Azmi

View all →
Quote
"sarak rahi hai us ki chilman maashaa-allaah maashaa-allaah shaayad ab vo degaa darshan maashaa-allaah maashaa-allaah garaj rahaa hai baadal ghan-ghan maashaa-allaah maashaa-allaah bajti hai us ki paael jhan-jhan maashaa-allaah maashaa-allaah baras rahaa hai pyaar kaa saavan maashaa-allaah maashaa-allaah Dol rahaa hai jis se tan-man maashaa-allaah maashaa-allaah chaltaa phirtaa hai mai-khaana jis ki ye chashm-e-masataana us ki suraahi-daar hai gardan maashaa-allaah maashaa-allaah apne hi husn pe jaise ho shaidaa dekh rahaa hai jalva-e-zebaa saamne rakh kar apne darpan maashaa-allaah maashaa-allaah mor kaa raqs use nahin bhaataa apni chaal pe hai itraataa naach na jaane TeDhaa aangan maashaa-allaah maashaa-allaah ghuncha-o-gul ki hai ye zabaan par sab hi fidaa us sarv-e-ravaan par zikr hai us kaa gulshan gulshan maashaa-allaah maashaa-allaah 'barqi' hai jis kaa divaana ho ke fidaa misl-e-parvaana maar na Daale us ki chitvan maashaa-allaah maashaa-allaah"
Barqi AzmiBarqi Azmi
Quote
"insaaniyat na jis mein ho vo aadmi nahin jis mein huzur qalb na ho bandagi nahin jis mein junun-e-shauq na ho aashiqi nahin dil kaa moaamla hai koi dil-lagi nahin rahtaa hai mere darpai-e-aazaar phir bhi vo us se agarche meri koi dushmani nahin raaton ki niind din kaa sukun ho gayaa haraam puchhaa jo kab miloge to bolaa kabhi nahin khvaabida hasraton kaa na ho jis mein inikaas hai kaargah-e-shishagari shaairi nahin us ki sharaab-e-naab se baDh kar hai chashm-e-mast jis ke baghair lutf-e-mai-o-mai-kashi nahin naqd-e-sukhan jo kartaa hai vo ho sukhan-shanaas jauhar-shanaas ho na agar jauhari nahin 'barqi' jo khud-shanaas hai vo hai khudaa-shanaas gum-gashtagi-e-hosh-o-khirad be-khudi nahin"
Barqi AzmiBarqi Azmi
Quote
"lauT kar jaise daur-e-shabaab aa gayaa aap kyaa aa gae inqalaab aa gayaa is tarah dil ke armaan puure hue naama-bar le ke khat kaa javaab aa gayaa dekhne ko tarasti thiin aankhein jise saamne vo mire be-hijaab aa gayaa gulshan-e-dil pe ik taazgi chhaa gai ban ke vo ik mujassam gulaab aa gayaa aalam-e-khvaab mein jis ko paDhtaa thaa main ru-e-zebaa ki le kar kitaab aa gayaa jis ke jaane se taarik thi zindagi khaana-e-dil mein baa-aab-o-taab aa gayaa zehn maauf thaa ginte ginte jise aaj 'barqi' vo roz-e-hisaab aa gayaa"
Barqi AzmiBarqi Azmi
Quote
"kar ke asir-e-ghamza-o-naaz-o-adaa mujhe ai dil-navaaz tu ne ye kyaa de diyaa mujhe jaanaa thaa itni jald to aayaa thaa kis liye ek ek pal hai hijr kaa sabr-aazmaa mujhe bujhne lagi hai sham-e-shabistaan-e-aarzu ab sujhtaa nahin hai koi raastaa mujhe aankhein thiin farsh-e-raah tumhaare liye sadaa tum aas paas ho yahin aisaa lagaa mujhe ye dard-e-dil hai mere liye ab vabaal-e-jaan miltaa nahin kahin koi dard-aashnaa mujhe kashti-e-dil kaa saunp diyaa jis ko nazm-o-nasq detaa rahaa fareb vahi naakhudaa mujhe rahzan se baDh ke us kaa ravayya thaa mere saath pahli nigaah mein jo lagaa rahnumaa mujhe ab main huun aur khvaab-e-pareshaan hai mere saath kitnaa paDegaa aur abhi jaagnaa mujhe kyaa ye junun-e-shauq gunaah-e-azim hai kis jurm ki mili hai ye aakhir sazaa mujhe 'barqi' na ho udaas sar-e-rahguzar hai vo paighaam de gai hai ye baad-e-sabaa mujhe"
Barqi AzmiBarqi Azmi
Quote
"hasb-e-vaada mujh se milne vo kabhi aayaa nahin is se baDh kar aur kuchh bhi hausla-farsaa nahin hijr thaa is kaa bahut sabr-aazmaa mere liye gham se patthar ho gayaa lekin kabhi royaa nahin daavat-e-nazzaara de kar aisaa vo ghaaeb huaa meri aankhon ne dobaara phir use dekhaa nahin kaaTne ko dauDte hain mujh ko ye divaar-o-dar jaise main tanhaa huun vaise koi bhi tanhaa nahin murtaish rahtaa hai ab har dam miraa taar-e-vajud kyaa guzarti hai mire dil par kabhi kahtaa nahin kar rahaa huun apni ye tarhi ghazal nazr-e-'munir' aisaa shaair aaj tak main ne kabhi dekhaa nahin kar ke is ke vaada-e-fardaa pe 'barqi' e'tibaar main kai din tak musalsal raat-bhar soyaa nahin"
Barqi AzmiBarqi Azmi
Quote
"sukun-e-qalb kisi ko nahin mayassar aaj shikast-e-khvaab hai har shakhs kaa muqaddar aaj hai vaz-e-haal miri kyuun ye bad se bad-tar aaj amir-e-shahr ke badle hue hain tevar aaj har ek shakhs hai apne hisaar mein mahsur hai sab ke darpai aazaar vo sitamgar aaj kiyaa hai gardish-e-dauraan ne dar-ba-dar sab ko jo sar mein pahle thaa vo paanv mein hai chakkar aaj samajh rahaa thaa jise khair-khvaah main apnaa vahi hai dushman-e-jaan meraa sab se baDh kar aaj fasil-e-shahr ke andar the kitne ahl-e-hunar nahin hai jin se shanaasaa koi bhi baahar aaj vo dars lete nahin jang-e-karbalaa se koi jo saf-shikan the vo hain dushmanon se shashdar aaj vo qaum kaise taraqqi karegi duniyaa mein nahin hai jis kaa kahin koi ek rahbar aaj bikhar ke rah gayaa khud jin kaa apnaa shiraaza samajh rahe hain ki hain vaqt ke sikandar aaj agar muhaasba apnaa karein to paaeinge nahin hai ham se jahaan mein koi bhi bad-tar aaj jo apne haath se kashti jalaate the apni nahin mileinge kahin aise vo qalandar aaj dikhaa rahaa hai mujhe sabz-baagh jo 'barqi' vo le ke phirtaa hai kyuun aastin mein khanjar aaj"
Barqi AzmiBarqi Azmi

More on Dil

View all →
Quote
"dil shaad nahin karte aabaad nahin karte mahsus ye hotaa hai vo yaad nahin karte naashaad zamaane ke dil shaad nahin karte kam-aql parindon ko aazaad nahin karte mohtaaj-e-karam aksar rahte hain gharibon ke jo log gharibon ki imdaad nahin karte kuchh log shikaayat ko haq apnaa samajhte hain kuchh log kabhi tum se fariyaad nahin karte ham apne iraadon mein rakhte hain tavaanaai ham daad ke taalib ko bedaad nahin karte jo aap ki niyyat kaa kuchh ilm hamein hotaa ham apni mohabbat ko barbaad nahin karte is daur-e-siyaasat mein 'mahmud' qayaamat hai ahbaab jo karte hain jallaad nahin karte"
Mahmood NashtariMahmood Nashtari
Quote
"bahr-e-rang-e-daastaan rahne diyaa ik tajassus darmiyaan rahne diyaa ab zamin ban kar bichhaa jaataa hai vo main ne jis ko aasmaan rahne diyaa raushni aur khvaab saare hech the apni aankhon mein dhuaan rahne diyaa vo jagah raushan nahin hogi kabhi is mohabbat ko jahaan rahne diyaa maan ne maathaa chuum kar rukhsat kiyaa maamtaa kaa saaebaan rahne diyaa kul milaa ke ye hai raaz-e-tishnagi ham ne dil ko sargiraan rahne diyaa khud hami paamaal Thahre shauq se khush-gumaan ko khush-gumaan rahne diyaa"
Bushra MasuudBushra Masuud
Quote
"ajab mushkil ki dil kaa haal aisaa ho gayaa hai sabhi ab puchhte hain mujh se ye kyaa ho gayaa hai main ye samjhaa ki gham kaa ab mudaavaa ho gayaa hai kuredaa zakhm to ye aur taaza ho gayaa hai kabhi fursat mile to khud se main baatein karungaa mujhe khud se mile bhi to zamaana ho gayaa hai magar ab sochtaa huun toD duun saare maraasim magar dil bhi tire gham se shanaasaa ho gayaa hai miri barbaad hasti kaa nazaara dekhne ko vo aae aur gham mein phir izaafa ho gayaa hai isi dariyaa mein ab khud ko Dubonaa chaahtaa huun ki is dil kaa talaatum mein kinaare ho gayaa hai chalo bhi 'qalb' ab tum dusraa dekho Thikaanaa ki is basti mein apnaa sab paraayaa ho gayaa hai"
Anees QalbAnees Qalb
Quote
"na koi dost ho meraa na ho adu meraa tum apne munh se agar kah do mujh ko tu meraa fasurdagi mein junun-e-havaa-e-gul yaani khizaan ke daur mein saudaa-e-rang-o-bu meraa jo tum nahin to bahaar-e-jinaan mein khaak nahin bahut vasia hai daamaan-e-aarzu meraa nibhegi ai dil-e-aavaara ab na tujh se miri bas aaj se na main teraa huun aur na tu meraa banaa rahe hain vo jalve ki apne tasvirein dikhaa dikhaa ke tamaashaa-e-rang-o-bu meraa kisi ki zulf-e-siyah kah rahi hai khul khul kar ghaTaa ne rang uDaayaa hai hu-ba-hu meraa mah-e-siyaam kaa aur intizaam kyaa karte janaab-e-shaikh uDaa le gae subu meraa jafaa kaa rang judaa hai vafaa kaa rang judaa malo na dast-e-hinaai mein tum lahu meraa taDap rahi hai jo abr-e-siyaah mein bijli firaaq mein yahi naqsha thaa hu-ba-hu meraa suhaani raat hai chhiTki hai chaandni 'muztar' miri nigaah mein phirtaa hai maah-ru meraa"
M
Muztar Muzaffarpuri
Quote
"khurshid jhaanktaa hai ridaa-e-sahaab se yaa nuur chhan rahaa hai kisi ke naqaab se baahar jo aaj dekh liyaa hai hijaab se suraj laraz rahaa hai tumhaare shabaab se naaseh Daraa rahe the khudaa ke 'azaab se khud hi janaab baaz na aae sharaab se lamhe guzar chuke hain jo phulon ki sej par is daur-e-pur-khatar mein vo lagte hain khvaab se khud ko to pahle dekhiye phir kahiye bevafaa bas itni iltijaa hai hamaari janaab se har roz ik na ik nai zid hai zabaan par tang aa gayaa huun main dil-e-khaana-kharaab se ahl-e-vafaa mein meraa vahi naam paD gayaa tum ne mujhe navaaz diyaa jis khitaab se kin manzilon pe meraa nishaan-e-qadam nahin puchho miraa maqaam mah-o-aaftaab se jo husn kaa kahin bhi tahaffuz na kar sake phir kaun saa hai faaeda aisi naqaab se saaya bhi jis hasin kaa DhunDe na mil sakaa be-misl vo khudaa ke hue intikhaab se sun kar hamaare she'r vo kuchh muskuraa diye 'faaruq' aaj ham bhi rahe kaamyaab se"
Farooque AdilFarooque Adil