SHAWORDS

Ghazal

ग़ज़ल·غزل

The lyric art form of Urdu poetry — every sher a universe of longing, love, and philosophy

Showing ghazals byFahmida Riaz(clear ×)

Featured Poets

All Poets →

Trending Ghazals

Quote
"chaar-su hai baDi vahshat kaa samaan kisi aaseb kaa saaya hai yahaan koi aavaaz si hai marsiyaan-khvaan shahr kaa shahr banaa goristaan ek makhluq jo basti hai yahaan jis pe insaan kaa guzartaa hai gumaan khud to saakit hai misaal-e-tasvir jumbish-e-ghair se hai raqs-kunaan koi chehra nahin juz zer-e-naqaab na koi jism hai juz be-dil-o-jaan ulmaa hain dushman-e-fahm-o-tahaqiq kodani sheva-e-daanish-mandaan shaair-e-qaum pe ban aai hai kizb kaise ho tasavvuf mein nihaan lab hain masruf-e-qasida-goi aur aankhon mein hai zillat uryaan sabz khat aaqibat-o-din ke asiir paarsaa khush-tan-o-nau-khez javaan ye zan-e-naghma-gar-o-ishq-shiaar yaas-o-hasrat se hui hai hairaan kis se ab aarzu-e-vasl karein is kharaabe mein koi mard kahaan"
Fahmida RiazFahmida Riaz
Quote
"kabhi dhanak si utarti thi un nigaahon mein vo shokh rang bhi dhime paDe havaaon mein main tez-gaam chali jaa rahi thi us ki samt kashish ajiib thi us dasht ki sadaaon mein vo ik sadaa jo fareb-e-sadaa se bhi kam hai na Duub jaae kahin tund-rau havaaon mein sukut-e-shaam hai aur main huun gosh-bar-aavaaz ki ek vaade kaa afsun saa hai fazaaon mein miri tarah yunhi gum-karda-raah chhoDegi tum apni baanh na denaa havaa ki baanhon mein nuqush paanv ke likhte hain manzil-e-naa-yaaft miraa safar to hai tahrir meri raahon mein"
Fahmida RiazFahmida Riaz
Quote
"muddat se ye aalam hai dil kaa hanstaa bhi nahin rotaa bhi nahin maazi bhi kabhi dil mein na chubhaa aainda kaa sochaa bhi nahin vo mere honT pe likkhaa hai jo harf mukammal ho na sakaa vo meri aankh mein bastaa hai jo khvaab kabhi dekhaa bhi nahin chalte chalte kuchh tham jaanaa phir bojhal qadmon se chalnaa ye kaisi kasak si baaqi hai jab paanv mein vo kaanTaa bhi nahin dhundlaai hui shaamon mein koi parchhaain si phirti rahti hai main aahaT sunti huun jis ki vo vahm nahin saaya bhi nahin tazin-e-lab-o-gesu kaisi pindaar kaa shisha TuuT gayaa thi jis ke liye sab aaraaish us ne to hamein dekhaa bhi nahin"
Fahmida RiazFahmida Riaz
Quote
"jo mujh mein chhupaa meraa galaa ghonT rahaa hai yaa vo koi iblis hai yaa meraa khudaa hai jab sar mein nahin ishq to chehre pe chamak hai ye nakhl khizaan aai to shaadaab huaa hai kyaa meraa ziyaan hai jo muqaabil tire aa jaaun ye amr to maalum ki tu mujh se baDaa hai main banda-o-naachaar ki sairaab na ho paaun ai zaahir-o-maujud miraa jism duaa hai haan us ke taaaqub se mire dil mein hai inkaar vo shakhs kisi ko na milegaa na milaa hai kyuun nur-e-abad dil mein guzar kar nahin paataa siine ki siyaahi se nayaa harf likhaa hai"
Fahmida RiazFahmida Riaz
Quote
"ye pairahan jo miri ruuh kaa utar na sakaa to nakh-ba-nakh kahin paivast resha-e-dil thaa mujhe maaal-e-safar kaa malaal kyun-kar ho ki jab safar hi miraa faaslon kaa dhokaa thaa main jab firaaq ki raaton mein us ke saath rahi vo phir visaal ke lamhon mein kyuun akelaa thaa vo vaaste ki tiraa darmiyaan bhi kyuun aae khudaa ke saath miraa jism kyuun na ho tanhaa saraab huun main tiri pyaas kyaa bujhaaungi is ishtiyaaq se tishna zabaan qarib na laa saraab huun ki badan ki yahi shahaadat hai har ek uzv mein bahtaa hai ret kaa dariyaa jo mere lab pe hai shaayad vahi sadaaqat hai jo mere dil mein hai us harf-e-raaegaan pe na jaa jise main toD chuki huun vo raushni kaa tilism shuaa-e-nur-e-azal ke sivaa kuchh aur na thaa"
Fahmida RiazFahmida Riaz