Ghazal
The lyric art form of Urdu poetry — every sher a universe of longing, love, and philosophy
Featured Poets
All Poets →Trending Ghazals
Fakhir Lakhnavi
dil bhar aataa hai jo vo is dil-e-naashaad ke saath
vo bhi rote hain mire naala-o-fariyaad ke saath
lab pe jaan aati hai aah-e-dil-e-naashaad ke saath
munh ko aataa hai jigar naala-o-fariyaad ke saath
· · ·
Fakhir Lakhnavi
us ko sitamgari mein kisi dil se kyaa gharaz
qaatil ko be-qaraari-e-bismil se kyaa gharaz
jis mein na teri yaad ho us dil se kyaa gharaz
lailaa na ho to qais ko mahmil se kyaa gharaz
· · ·
Fakhir Lakhnavi
bujhtaa chalaa hai sho'la dil-e-daagh-daar kaa
ab koi dam mein kuuch hai sham'-e-mazaar kaa
hai ek tarah sho'la dil-e-daagh-daar kaa
bujhtaa nahin charaagh hamaari mazaar kaa
· · ·
Fakhir Lakhnavi
nazaa mein vo mire pahlu se gae dil ki tarah
main taDaptaa hi rahaa farsh pe bismil ki tarah
ek pahlu mein rahe dil miraa bismil ki tarah
ek pahlu mein rahein aap mire dil ki tarah
· · ·
Fakhir Lakhnavi
aa gayaa vasl mein un ko jo pasinaa ThanDaa
mujh se bole ki huaa ab to kalejaa ThanDaa
shoala-e-daagh ko aahon se baDhaa dete hain
surat-e-shama vo karte hain kalejaa ThanDaa
· · ·
Fakhir Lakhnavi
khvaahish-e-sharbat-e-didaar karun yaa na na karun
main ilaaj-e-dil-e-bimaar karun yaa na karun
talab-e-vasl pe israar karun yaa na karun
bose le kar use bezaar karun yaa na karun
· · ·
Fakhir Lakhnavi
naala-kun hijr ki shab ko dil-e-naa-saaz nahin
kyon buland ab mire bimaar ki aavaaz nahin
gar mizaaj aaj kisi shokh kaa naa-saaz nahin
kisi liye bazm mein phir chang ki aavaaz nahin
· · ·
Fakhir Lakhnavi
matlub-e-dil na kyon nigah-e-tund-e-yaar ho
aisaa to tiir ho jo kaleje ke paar ho
baad-e-fanaa jo qabr mein dil be-qaraar ho
shaq jaa-ba-jaa se saqf-o-zamin-e-mazaar ho
· · ·
Fakhir Lakhnavi
misl dariyaa ke agar ashk-fishaani hoti
aansuon mein sifat-e-sail ravaani hoti
gar ajal aur bahaanon se bhi aani hoti
phir shab-e-hijr na yuun dushman-e-jaani hoti
· · ·
Fakhir Lakhnavi
zaahir do-rangi-e-chaman-e-rozgaar hai
do din khizaan hai baagh mein do din bahaar hai
jaama gulon kaa hijr mein shab taar-taar hai
bulbul asir-e-daam hai qumri shikaar hai
· · ·
Fakhir Lakhnavi
kyaa taa-ba-zabaan aae dil-e-zaar ki aavaaz
bimaar ke maanind hai bimaar ki aavaaz
muusaa ki pasand aai hai takraar ki aavaaz
matlub hui taalib-e-didaar ki aavaaz
· · ·
Fakhir Lakhnavi
hausla koi shab-e-vasl nikalne na diyaa
dard-e-dil ne mujhe ik dam bhi sanbhalne na diyaa
aasmaanon ko dilaa zabt ne jalne na diyaa
aatishin-naala mire munh se nikalne na diyaa
· · ·
Fakhir Lakhnavi
aahein munh se mire nikalne do
dard mein karvaTein badalne do
qafas-e-jism se nikalne do
murgh-e-jaan kaa bhi dil bahalne do
· · ·







