Ghazal
The lyric art form of Urdu poetry — every sher a universe of longing, love, and philosophy
Featured Poets
All Poets →Trending Ghazals
Fana Nizami Kanpuri
ghar huaa gulshan huaa sahraa huaa
har jagah meraa junun rusvaa huaa
ghairat-e-ahl-e-chaman ko kyaa huaa
chhoD aae aashiyaan jaltaa huaa
· · ·
Fana Nizami Kanpuri
tu phuul ki maanind na shabnam ki tarah aa
ab ke kisi be-naam se mausam ki tarah aa
har martaba aataa hai mah-e-nau ki tarah tu
is baar zaraa meri shab-e-gham ki tarah aa
· · ·
Fana Nizami Kanpuri
ai husn zamaane ke tevar bhi to samjhaa kar
ab zulm se baaz aa jaa ab jaur se tauba kar
TuuTe hue paimaane bekaar sahi lekin
mai-khaane se ai saaqi baahar to na pheinkaa kar
· · ·
Fana Nizami Kanpuri
mujhe rutba-e-gham bataanaa paDegaa
agar mere pichhe zamaana paDegaa
bahut gham-zada dil hain kaliyon ke lekin
usulan unhein muskuraanaa paDegaa
· · ·
Fana Nizami Kanpuri
husn kaa ek aah ne chehraa niDhaal kar diyaa
aaj to ai dil-e-hazin tu ne kamaal kar diyaa
sahtaa rahaa jafaa-e-dost kahtaa rahaa adaa-e-dost
mere khulus ne miraa jiinaa muhaal kar diyaa
· · ·
Fana Nizami Kanpuri
jab mere raaste mein koi mai-kada paDaa
ik baar apne gham ki taraf dekhnaa paDaa
tark-e-taalluqaat ko ik lamha chaahiye
lekin tamaam umr mujhe sochnaa paDaa
· · ·
Fana Nizami Kanpuri
ik tishna-lab ne baDh ke jo saaghar uThaa liyaa
har bul-havas ne mai-kada sar par uThaa liyaa
maujon ke ittihaad kaa aalam na puchhiye
qatra uThaa aur uTh ke samundar uThaa liyaa
· · ·
Fana Nizami Kanpuri
mujhe pyaar se tiraa dekhnaa mujhe chhup chhupaa ke vo dekhnaa
miraa soyaa jazba ubhaarnaa tumhein yaad ho ki na yaad ho
rah-o-rasm qalb o nigaah ke vo tumhaare daave nibaah ke
vo hamaaraa shekhi baghaarnaa tumhein yaad ho ki na yaad ho
· · ·
Fana Nizami Kanpuri
mere chehre se gham aashkaaraa nahin
ye na samjho ki mein gham kaa maaraa nahin
chashm-e-saaqi pe bhi haq hamaaraa nahin
ab ba-juz tark-e-mai koi chaaraa nahin
· · ·
Fana Nizami Kanpuri
yaa rab miri hayaat se gham kaa asar na jaae
jab tak kisi ki zulf-e-pareshaan sanvar na jaae
vo aankh kyaa jo aariz o rukh par Thahar na jaae
vo jalva kyaa jo diida o dil mein utar na jaae
· · ·
Fana Nizami Kanpuri
yuun tiri talaash mein tere khasta-jaan chale
jaise jhuum jhuum kar gard-e-kaarvaan chale
aaj yuun hi saaqiyaa jaam-e-arghavaan chale
jaise bazm-e-vaaz mein shaikh ki zabaan chale
· · ·
Fana Nizami Kanpuri
vo jaane kitnaa sar-e-bazm sharmsaar huaa
sunaa ke apni ghazal main qusur-vaar huaa
hazaar baar vo guzraa hai be-niyaazaana
na jaane kyuun mujhe ab ke hi naa-gavaar huaa
· · ·
Fana Nizami Kanpuri
vo khaanumaan-kharaab na kyuun dar-ba-dar phire
jis se tiri nigaah mile yaa nazar phire
raah-e-junun mein yuun to hain laakhon hi sar-phire
yaa-rab miri tarah na koi umr bhar phire
· · ·
Fana Nizami Kanpuri
chehra-e-subh nazar aayaa rukh-e-shaam ke baad
sab ko pahchaan liyaa gardish-e-ayyaam ke baad
mil gai raah-e-yaqin manzil-e-auhaam ke baad
jalve hi jalve nazar aae dar-o-baam ke baad
· · ·
Fana Nizami Kanpuri
ham aagahi-e-ishq kaa afsaana kaheinge
kuchh aql ke maare hamein divaana kaheinge
rahtaa hai vahaan zikr-e-tuhur-o-mai-e-kausar
ham aaj se kaabe ko bhi mai-khaana kaheinge
· · ·
Fana Nizami Kanpuri
dil se agar kabhi tiraa armaan jaaegaa
ghar ko lagaa ke aag ye mehmaan jaaegaa
sab honge us se apne taaaruf ki fikr mein
mujh ko mire sukut se pahchaan jaaegaa
· · ·
Fana Nizami Kanpuri
ahl-e-dair-o-haram rah gae
tere divaane kam rah gae
miT gae manzilon ke nishaan
sirf naqsh-e-qadam rah gae
· · ·
Fana Nizami Kanpuri
Dubne vaale ki mayyat par laakhon rone vaale hain
phuT-phuT kar jo rote hain vahi Dubone vaale hain
kis kis ko tum bhuul gae ho ghaur se dekho baada-kasho
shish-mahal ke rahne vaale patthar Dhone vaale hain
· · ·
Fana Nizami Kanpuri
jhuTi hi tasalli ho kuchh dil to bahal jaae
dhundli hi sahi lekin ik shama to jal jaae
is mauj ki Takkar se saahil bhi laraztaa hai
kuchh roz to tufaan ki aaghosh mein pal jaae
· · ·
Fana Nizami Kanpuri
gham har ik aankh ko chhalkaae zaruri to nahin
abr uThe aur baras jaae zaruri to nahin
barq sayyaad ke ghar par bhi to gir sakti hai
aashiyaanon pe hi lahraae zaruri to nahin
· · ·
Fana Nizami Kanpuri
koi samjhegaa kyaa raaz-e-gulshan
jab tak uljhe na kaanTon se daaman
yak-ba-yak saamne aa na jaanaa
ruk na jaae kahin dil ki dhaDkan
· · ·
Fana Nizami Kanpuri
saaqiyaa tu ne mire zarf ko samjhaa kyaa hai
zahr pi lungaa tire haath se sahbaa kyaa hai
main chalaa aayaa tiraa husn-e-taghaaful le kar
ab tiri anjuman-e-naaz mein rakkhaa kyaa hai
· · ·
Fana Nizami Kanpuri
duniyaa-e-tasavvur ham aabaad nahin karte
yaad aate ho tum khud hi ham yaad nahin karte
vo jaur-e-musalsal se baaz aa to gae lekin
be-daad ye kyaa kam hai be-daad nahin karte
· · ·
Fana Nizami Kanpuri
aisaa bannaa sanvarnaa mubaarak tumhein kam se kam itnaa kahnaa hamaaraa karo
chaand sharmaaegaa chaandni raat mein yuun na zulfon ko apni sanvaaraa karo
ye tabassum ye aariz ye raushan jabin ye adaa ye nigaahein ye zulfein hasin
aaine ki nazar lag na jaae kahin jaan-e-jaan apnaa sadqa utaaraa karo
· · ·







