"tu phuul ki maanind na shabnam ki tarah aa ab ke kisi be-naam se mausam ki tarah aa har martaba aataa hai mah-e-nau ki tarah tu is baar zaraa meri shab-e-gham ki tarah aa hal karne hain mujh ko kai pechida masaail ai jaan-e-vafaa gesu-e-pur-kham ki tarah aa zakhmon ko gavaaraa nahin yak-rangi-e-haalaat nashtar ki tarah aa kabhi marham ki tarah aa nazdiki o duuri ki kashaakash ko miTaa de is jang mein tu sulh ke parcham ki tarah aa maanaa ki miraa ghar tiri jannat to nahin hai duniyaa mein miri laghzish-e-aadam ki tarah aa tu kuchh to mire zabt-e-mohabbat kaa sila de hangaam-e-fanaa dida-e-pur-nam ki tarah aa"
chehra-e-subh nazar aayaa rukh-e-shaam ke baad — Fana Nizami Kanpuri
"chehra-e-subh nazar aayaa rukh-e-shaam ke baad sab ko pahchaan liyaa gardish-e-ayyaam ke baad mil gai raah-e-yaqin manzil-e-auhaam ke baad jalve hi jalve nazar aae dar-o-baam ke baad chaahiye ahl-e-mohabbat ko ki divaana banein koi ilzaam na aaegaa is ilzaam ke baad imtehaan-e-talb-e-khaam liyaa saaqi ne jaam-e-lab-rez diyaa durd-e-tah-e-jaam ke baad haae kyaa chiiz hai ye lutf-e-shikastaa-paai hausle aur baDhe koshish-e-naakaam ke baad zindagi naam hai ik johd-e-musalsal kaa 'fanaa' raah-rau aur bhi thak jaataa hai aaraam ke baad"
چہرۂ صبح نظر آیا رخ شام کے بعد سب کو پہچان لیا گردش ایام کے بعد مل گئی راہ یقیں منزل اوہام کے بعد جلوے ہی جلوے نظر آئے در و بام کے بعد چاہیئے اہل محبت کو کہ دیوانہ بنیں کوئی الزام نہ آئے گا اس الزام کے بعد امتحان طلب خام لیا ساقی نے جام لبریز دیا درد تہ جام کے بعد ہائے کیا چیز ہے یہ لطف شکستہ پائی حوصلے اور بڑھے کوشش ناکام کے بعد زندگی نام ہے اک جہد مسلسل کا فناؔ راہرو اور بھی تھک جاتا ہے آرام کے بعد
चेहरा-ए-सुब्ह नज़र आया रुख़-ए-शाम के बाद सब को पहचान लिया गर्दिश-ए-अय्याम के बाद मिल गई राह-ए-यक़ीं मंज़िल-ए-औहाम के बाद जल्वे ही जल्वे नज़र आए दर-ओ-बाम के बाद चाहिए अहल-ए-मोहब्बत को कि दीवाना बनें कोई इल्ज़ाम न आएगा इस इल्ज़ाम के बाद इम्तिहान-ए-तलब-ए-ख़ाम लिया साक़ी ने जाम-ए-लब-रेज़ दिया दुर्द-ए-तह-ए-जाम के बाद हाए क्या चीज़ है ये लुत्फ़-ए-शिकस्ता-पाई हौसले और बढ़े कोशिश-ए-नाकाम के बाद ज़िंदगी नाम है इक जोहद-ए-मुसलसल का 'फ़ना' राह-रौ और भी थक जाता है आराम के बाद

More by Fana Nizami Kanpuri
View all →"ai husn zamaane ke tevar bhi to samjhaa kar ab zulm se baaz aa jaa ab jaur se tauba kar TuuTe hue paimaane bekaar sahi lekin mai-khaane se ai saaqi baahar to na pheinkaa kar jalva ho to jalva ho parda ho to parda ho tauhin-e-tajalli hai chilman se na jhaankaa kar arbaab-e-junun mein hain kuchh ahl-e-khirad shaamil har ek musaafir se manzil ko na puchhaa kar"
"mujhe rutba-e-gham bataanaa paDegaa agar mere pichhe zamaana paDegaa bahut gham-zada dil hain kaliyon ke lekin usulan unhein muskuraanaa paDegaa sukun DhunDne aae the mai-kade mein yahaan se kahin aur jaanaa paDegaa khabar kyaa thi jashn-e-bahaaraan ki khaatir hamein aashiyaana jalaanaa paDegaa bahaar ab nae gul khilaane lagi hai khizaan ko chaman mein bulaanaa paDegaa sukut-e-musalsal munaasib nahin hai asiro tumhein ghul machaanaa paDegaa 'fanaa' tum ho shaaer to afsaana-e-gham ghazal ki zabaani sunaanaa paDegaa"
"husn kaa ek aah ne chehraa niDhaal kar diyaa aaj to ai dil-e-hazin tu ne kamaal kar diyaa sahtaa rahaa jafaa-e-dost kahtaa rahaa adaa-e-dost mere khulus ne miraa jiinaa muhaal kar diyaa mai-kade mein hai qaht-e-mai yaa koi aur baat hai pir-e-mughaan ne kyuun mujhe jaam sambhaal kar diyaa jitne chaman-parast the saaya-e-gul mein mast the apnaa uruj-e-gulistaan nazr-e-zavaal kar diyaa khud miraa soz-e-jaan-gudaaz chheD sakaa na dil kaa saaz aap ki ik nigaah ne saahab-e-haal kar diyaa bazm mein saare ahl-e-hosh un ke sitam pe the khamosh ek junun-parast ne uTh ke savaal kar diyaa lutf-e-firaaq-e-yaar ne lazzat-e-intizaar ne duur dil o nigaah se shauq-e-visaal kar diyaa sun ke bayaan-e-mai-kadaa dekh ke shaan-e-mai-kadaa shaikh-e-haram ne bhi 'fanaa' mai ko halaal kar diyaa"
"jab mere raaste mein koi mai-kada paDaa ik baar apne gham ki taraf dekhnaa paDaa tark-e-taalluqaat ko ik lamha chaahiye lekin tamaam umr mujhe sochnaa paDaa ik tishna-lab ne chhin liyaa baDh ke jaam-e-mai saaqi samajh rahaa thaa sabhi ko giraa-paDaa aae the puchhte hue maikhaane kaa pata saaqi se lekin apnaa pata puchhnaa paDaa yuun jagmagaa rahaa hai miraa naqsh-e-paa 'fanaa' jaise ho raaste mein koi aaina paDaa"
"ghar huaa gulshan huaa sahraa huaa har jagah meraa junun rusvaa huaa ghairat-e-ahl-e-chaman ko kyaa huaa chhoD aae aashiyaan jaltaa huaa husn kaa chehra bhi hai utraa huaa aaj apne gham kaa andaaza huaa pursish-e-gham aap rahne dijiye ye tamaashaa hai miraa dekhaa huaa ye imaarat to ibaadat-gaah hai is jagah ik mai-kada thaa kyaa huaa gham se naazuk zabt-e-gham ki baat hai ye bhi dariyaa hai magar Thahraa huaa is tarah rahbar ne luuTaa kaarvaan ai 'fanaa' rahzan ko bhi sadma huaa"
More on Zindagi
View all →"vo mujhe zindagi bataataa hai phir bhalaa kyon nazar churaataa hai main usi ko uThaa rahaa thaa par vo mujhe hi faqat giraataa hai yaad us ko kiyaa yahaan main ne par mujhe vo vahaan bhulaataa hai raaz saare bataa diye main ne kyon magar raaz vo chhupaataa hai log masruf hain mohabbat mein aur vo dil miraa dukhaataa hai"
"jis din se meraa khvaab suhaanaa badal gayaa us din se zindagi kaa fasaana badal gayaa sunne lagaa huun jab se nasihat baDon ki main jaari thaa jo labon pe taraana badal gayaa pahchaan kaa havaala bhi baaqi nahin rahaa chehre ke saath aaina-khaana badal gayaa uThti nahin hai aankh bhi ab aasmaan ki samt jab se gali kaa chaand puraanaa badal gayaa tahzib jin ke ghar ki 'alaamat thi kal talak afsos aaj un kaa gharaanaa badal gayaa 'azmat kaa taaj sar pe hai 'akhilesh' ke sajaa aisi havaa chali ki zamaana badal gayaa itni sharaafaton mein kami aa gai hai aaj pahle thaa jo libaas puraanaa badal gayaa ahl-e-vafaa ne jis ki thi taarikh ki raqam 'faaruq' 'ishq kaa vo fasaana badal gayaa"
"tirgi shama bani raahguzar mein aai saaat ik aisi bhi kal apne safar mein aai jis jagah chehra hi meyaar-e-vafaa Thahraa hai khaak hi khaak vahaan dast-e-hunar mein aai teri nazron mein thi duniyaa to yahi kyaa kam thaa hashr ye hai ki tu duniyaa ki nazar mein aai baar-haa yaaron ne saahil se kahaa thaa ham hain baar-haa naav magar apni bhanvar mein aai zindagi samjhun ise yaa ki ise maut kahun vo jo mehmaan ki surat mire ghar mein aai yuun bhi taarikh ki taarikh raqam hoti hai nikli taarikh mahal se to khanDar mein aai khvaab hi khvaab ki taabir huaa to jaanaa zindagi kyuun kisi aankhon ke asar mein aai shama jalte hi bujhi aur dhuaan aisaa uThaa lazzat-e-shaam yahaan khvaab-e-sahar mein aai zindagi kuchh hai 'ataa' sher-o-adab hai kuchh aur ye do-rangi ki vabaa kaisi hunar mein aai"
"khaamushi ke batn se ye guftani paidaa hui main ba-zaahir chup huaa aur shaaeri paidaa hui is tarah saabit huaa gham aur khushi kaa imtizaaj hanste hanste us ki aankhon mein nami paidaa hui jurm ki paadaash mein ham khaak par pheinke gae so yahaan par intiqaaman zindagi paidaa hui khauf ne hi maslahat ki raah bhi ijaad ki main andheron se Daraa aur raushni paidaa hui dil mein kab utri kisi ke be-maaani guftugu baat karne se to bas aavaaz hi paidaa hui"
"shab ki taarik raahdaari hai aur miraa khauf iztiraari hai sabz khvaabon ki kam se kam qimat zindagi bhar ki ashk-baari hai ik musallat-shuda tamaddun ko ye na kahiye ki ikhtiyaari hai shash-jihaati mushaahida hai miyaan tajrabon ki sanad pe bhaari hai shukriya aap ki mohabbat kaa dil kaa maqsum sogvaari hai tajziye sun ke muskuraa denaa apni itni hi zimmedaari hai"
"ye hai mai-kada yahaan rind hain yahaan sab kaa saaqi imaam hai ye haram nahin hai ai shaikh ji yahaan paarsaai haraam hai jo zaraa si pi ke bahak gayaa use mai-kade se nikaal do yahaan tang-nazar kaa guzar nahin yahaan ahl-e-zarf kaa kaam hai koi mast hai koi tishna-lab to kisi ke haath mein jaam hai magar is pe koi kare bhi kyaa ye to mai-kade kaa nizaam hai ye janaab-e-shaikh kaa falsafa hai 'ajib saare jahaan se jo vahaan piyo to halaal hai jo yahaan piyo to haraam hai tujhe apne husn kaa vaasta mere shauq-e-did pa rahm khaa zaraa muskuraa ke naqaab uThaa ki nazar ko shauq-e-salaam hai na sunnaa to huur o qusur ki ye hikaayatein mujhe vaa'izaa koi baat kar dar-e-yaar ki dar-e-yaar hi se to kaam hai na to e'tikaaf se kuchh gharaz na savaab-o-zuhd se vaasta tiri diid aisi namaaz hai na sujud hai na qayaam hai ye durust ki 'aib hai mai-kashi ye ba-jaa ki baada haraam hai magar ab savaal ye aa paDaa ki tumhaare haath mein jaam hai jo uThi to subh-e-davaam thi jo jhuki to shaam hi shaam thi tiri chashm-e-mast mein saaqiyaa miri zindagi kaa nizaam hai miraa farz hai ki paDaa rahun tiri baargaah mein saaqiyaa koi tishna-lab hai ki sair hai yahi dekhnaa tiraa kaam hai isi kaaenaat mein ai 'jigar' koi inqalaab uThegaa phir ki buland ho ke bhi aadmi abhi khvaahishon kaa ghulaam hai"