SHAWORDS

Ghazal

ग़ज़ल·غزل

The lyric art form of Urdu poetry — every sher a universe of longing, love, and philosophy

Showing ghazals byFarogh Hyderabadi(clear ×)

Featured Poets

All Poets →

Trending Ghazals

Ghazal
F

Farogh Hyderabadi

ho taraqqi par miraa dard-e-judaai aur bhi

aur bhi ai bevafaa kar bevafaai aur bhi

hone paayaa thaa abhi khugar na dard-e-hijr kaa

aag rashk-e-ghair ne dil mein lagaai aur bhi

· · ·

Ghazal
F

Farogh Hyderabadi

ilaahi aasmaan TuuTe kabhi shab-haa-e-furqat par

paDe hain jaan ke laale musibat hai musibat par

jafaa ki le ke dil ham se jalaayaa mil ke dushman se

magar daavaa-e-baatil thaa hamaaraa us ki ulfat par

· · ·

Ghazal
F

Farogh Hyderabadi

rang dekhaa tiri tabiat kaa

ho chukaa imtihaan mohabbat kaa

yahi naqsha rahaa jo furqat kaa

but banaa leinge teri surat kaa

· · ·

Ghazal
F

Farogh Hyderabadi

taalluq muddaton kaa tark us se ho to kyunkar ho

khudaa ke vaaste naaseh na itnaa tu mire sar ho

mire rone pe kyon bedaad itni ai sitamgar ho

nikal aate hain aansu aankh se jab sadma dil par ho

· · ·

Ghazal
F

Farogh Hyderabadi

vaar aur phir vaar kis kaa aap ki talvaar kaa

ab rafu mushkil se hogaa zakhm-e-daaman-daar kaa

khuun ronaa be-gunaahi par tiri talvaar kaa

aur hans denaa hamaare zakhm-e-daaman-daar kaa

· · ·

Ghazal
F

Farogh Hyderabadi

dil nahin milne kaa phir meraa sitamgar TuuT kar

chiiz ye aisi nahin juD jaaegi jo phuuT kar

aaj hai dil mein mire kal hai 'adu ki aankh mein

tujh mein bhar di hai ye aisi kis ne shokhi kuuT kar

· · ·

Ghazal
F

Farogh Hyderabadi

ghubaar-e-khaatir-e-naashaad huun main

ki miTne ke liye aabaad huun main

jafaa-o-jaur se bhi shaad huun main

haris-e-lazzat-e-bedaad huun main

· · ·

Ghazal
F

Farogh Hyderabadi

is qadar mahv-e-tasavvur huun sitamgar teraa

mujh ko ghurbat mein nazar aane lagaa ghar teraa

nashsha-e-mai ki bujhi pyaas na kuchh bhi afsos

naam sunte the baDaa chashma-e-kausar teraa

· · ·

Ghazal
F

Farogh Hyderabadi

kisi surat adu ki tark-e-ulfat ho nahin sakti

hamaare haal par teri inaayat ho nahin sakti

kabhi tere sivaa dil dusre par aa nahin saktaa

kisi par ab miri maail tabiat ho nahin sakti

· · ·