SHAWORDS

Ghazal

ग़ज़ल·غزل

The lyric art form of Urdu poetry — every sher a universe of longing, love, and philosophy

Showing ghazals byFasihullah Naqeeb(clear ×)

Featured Poets

All Poets →

Trending Ghazals

GhazalFasihullah Naqeeb

Fasihullah Naqeeb

hain mizaaj aasmaan pe jis-tis ke

naaz uThaaein bhi ham to kis kis ke

bijliyon ke sunahri harfon mein

baadalon par hain dastakhat kis ke

· · ·

GhazalFasihullah Naqeeb

Fasihullah Naqeeb

na apni baat na meraa qusur likkhaa thaa

shikaayaton se bharaa khat zarur likkhaa thaa

rasul aae to dahshat-garon ke biich aae

andheri raat ki qismat mein nuur likkhaa thaa

· · ·

GhazalFasihullah Naqeeb

Fasihullah Naqeeb

jaisaa tum chaahoge vaisaa nahin hone vaalaa

varna hone ko yahaan kyaa nahin hone vaalaa

muqtadir ho to gharibon se jo chaaho le lo

izzat-e-nafs kaa saudaa nahin hone vaalaa

· · ·

GhazalFasihullah Naqeeb

Fasihullah Naqeeb

kabhi to harf-e-duaa yuun zabaan talak aae

utar ke jis ki paziraai ko falak aae

kam-az-kam itne to aaina-daar hon chehre

ki dil ke haal ki chehre pe bhi jhalak aae

· · ·

GhazalFasihullah Naqeeb

Fasihullah Naqeeb

junhi lab kholtaa hai vo to jaadu baandhtaa hai

hasin alfaaz ke pairon mein ghunghru baandhtaa hai

andheri shab ke daaman mein damakte hain sitaare

khayaal-e-yaar jab palkon pe jugnu baandhtaa hai

· · ·

GhazalFasihullah Naqeeb

Fasihullah Naqeeb

khair se hoti rahi raah-numaai kyaa kyaa

varna aa jaati bashar mein kaj-adaai kyaa kyaa

mo'atabar kaise kahein tu ne uDaai kyaa kyaa

ai nazar tujh ko ye duniyaa nazar aai kyaa kyaa

· · ·

GhazalFasihullah Naqeeb

Fasihullah Naqeeb

huzur mil ke aap se main aaj muskuraa diyaa

tabassum aap kaa jo ik udhaar thaa chukaa diyaa

bajaa ki sar-kashi ghalat qubul inkisaar bhi

magar ye kyaa ki har kisi ke aage sar jhukaa diyaa

· · ·

GhazalFasihullah Naqeeb

Fasihullah Naqeeb

sabhi se ham nahin khulte ki sab nahin khulte

vagarna mahfil-e-yaaraan mein kab nahin khulte

har ek shakhs ko husn-e-nazar nahin miltaa

har ek shakhs pe sher-o-adab nahin khulte

· · ·

GhazalFasihullah Naqeeb

Fasihullah Naqeeb

mustaqbil ki sab dil-khush-kun baatein khvaabon tak mahdud

uns mohabbat mehr-o-vafaa gar hain to kitaabon tak mahdud

sher-o-adab ko sarhad-varhad se kyaa lenaa denaa hai

sher-o-adab ki duniyaa kyon hai aaj nisaabon tak mahdud

· · ·

GhazalFasihullah Naqeeb

Fasihullah Naqeeb

dosti ke nae aadaab liye phirte hain

log ab itr mein tezaab liye phirte hain

chaahte hain ki haqiqat mein Dhalein aap hi aap

jaagti aankhon mein ham khvaab liye phirte hain

· · ·

GhazalFasihullah Naqeeb

Fasihullah Naqeeb

unche makaan khaa gae sab mere ghar ki dhuup

hisse mein mere rah gai baalisht bhar ki dhuup

kartaa rahun nigaah milaa kar main guftugu

har chand chubh rahi ho tire karr-o-far ki dhuup

· · ·