Ghazal
The lyric art form of Urdu poetry — every sher a universe of longing, love, and philosophy
Featured Poets
All Poets →Trending Ghazals
Ghayas Anjum
tujhe main bhuul jaanaa chaahtaa huun
yuun dil ko aazmaanaa chaahtaa huun
na chheDo aaj dard-o-gham ke qisse
main khul kar muskuraanaa chaahtaa huun
· · ·
Ghayas Anjum
khasaare mein rahe lekin na chhoDi saadgi ham ne
ba-har-surat nibhaai dushmanon se dosti ham ne
salaf the jo hamaare misl-e-khurshid-o-mah-o-anjum
unhi ke raaste pe chal ke paai raushni ham ne
· · ·
Ghayas Anjum
dard ke chaand ki tasvir ghazal mein aae
sher likkhun to ye taasir ghazal mein aae
sunte aae hain bahut zikr hasin khvaabon kaa
ab kisi khvaab ki taabir ghazal mein aae
· · ·
Ghayas Anjum
saaz-e-hayaat qaid-o-salaasil kahein kise
jab dil hi bujh gayaa ho to phir dil kahein kise
rudaad-e-gham tavil to itni nahin magar
koi kahaan hai madd-e-muqaabil kahein kise
· · ·
Ghayas Anjum
hujum-e-dard milaa imtihaan aisaa thaa
magar vo chup hi rahaa be-zabaan aisaa thaa
kisi ki izzat-o-naamus par na aanch aai
luTaa to uf bhi na ki mehrbaan aisaa thaa
· · ·
Ghayas Anjum
lipaT rahi hain jo tujh se duaaein meri hain
havaa kaa shor nahin hai sadaaein meri hain
kisi bhi raah se tum aa sako to aa jaanaa
ki shahr meraa hai saari dishaaein meri hain
· · ·
Ghayas Anjum
ham ne jab chaahaa koi aag bujhaane aae
aae to log magar dil ko jalaane aae
kuchh asar hotaa nahin bazm-e-tarab kaa dil par
dard kaa giit koi aaj sunaane aae
· · ·
Ghayas Anjum
be-niyaaz-e-bahaar saa kyuun hai
dil ko zakhmon se pyaar saa kyuun hai
vo khafaa hain ki ham gharibon ko
gham pe kuchh ikhtiyaar saa kyuun hai
· · ·
Ghayas Anjum
khun-e-dil mujh se tiraa rang-e-hinaa maange hai
yaa hatheli pe koi naqsh-e-vafaa maange hai
jo sadaa detaa rahaa daar-o-rasan tohfe mein
ham faqiron se vahi harf-e-duaa maange hai
· · ·
Ghayas Anjum
pahunch kar shab ki sarhad par ujaalaa Duub jaataa hai
na ho jis kaa koi vo be-sahaaraa Duub jaataa hai
jise gaataa hai koi barbat-e-sad-chaak-daamaan par
fazaa-e-be-yaqini mein vo naghma Duub jaataa hai
· · ·
Ghayas Anjum
chhupaa hai karb-e-musalsal havaa ke lahje mein
koi to phuul khilaae du'aa ke lahje mein
main us ki qadr karungaa jo mere aibon ko
mire hi munh pe kahe aashnaa ke lahje mein
· · ·







