"tujhe main bhuul jaanaa chaahtaa huun yuun dil ko aazmaanaa chaahtaa huun na chheDo aaj dard-o-gham ke qisse main khul kar muskuraanaa chaahtaa huun miri tahvil mein jo bhi hai yaaro tumhin pe sab luTaanaa chaahtaa huun bahut bojhal se lagte hain manaazir main un se duur jaanaa chaahtaa huun khayaal-o-fikr kaa dam ghuT rahaa hai nai duniyaa banaanaa chaahtaa huun kisi ki yaad ki khushbu ko 'anjum' main rag rag mein basaanaa chaahtaa huun"
be-niyaaz-e-bahaar saa kyuun hai — Ghayas Anjum
"be-niyaaz-e-bahaar saa kyuun hai dil ko zakhmon se pyaar saa kyuun hai vo khafaa hain ki ham gharibon ko gham pe kuchh ikhtiyaar saa kyuun hai meri aankhon ke khvaab to gham hain vo magar be-qaraar saa kyuun hai aks us mein thaa kis ke chehre kaa aaina sangsaar saa kyuun hai aahaTein paas aa ke duur huiin ham ko phir intizaar saa kyuun hai kyaa koi sandali mahak si uDi dil miraa pur-khumaar saa kyuun hai zindagi talkh hai bahut 'anjum' phir bhi zaalim se pyaar saa kyuun hai"
بے نیاز بہار سا کیوں ہے دل کو زخموں سے پیار سا کیوں ہے وہ خفا ہیں کہ ہم غریبوں کو غم پہ کچھ اختیار سا کیوں ہے میری آنکھوں کے خواب تو غم ہیں وہ مگر بے قرار سا کیوں ہے عکس اس میں تھا کس کے چہرے کا آئنہ سنگسار سا کیوں ہے آہٹیں پاس آ کے دور ہوئیں ہم کو پھر انتظار سا کیوں ہے کیا کوئی صندلی مہک سی اڑی دل مرا پر خمار سا کیوں ہے زندگی تلخ ہے بہت انجمؔ پھر بھی ظالم سے پیار سا کیوں ہے
बे-नियाज़-ए-बहार सा क्यूँ है दिल को ज़ख़्मों से प्यार सा क्यूँ है वो ख़फ़ा हैं कि हम ग़रीबों को ग़म पे कुछ इख़्तियार सा क्यूँ है मेरी आँखों के ख़्वाब तो ग़म हैं वो मगर बे-क़रार सा क्यूँ है अक्स उस में था किस के चेहरे का आइना संगसार सा क्यूँ है आहटें पास आ के दूर हुईं हम को फिर इंतिज़ार सा क्यूँ है क्या कोई संदली महक सी उड़ी दिल मिरा पुर-ख़ुमार सा क्यूँ है ज़िंदगी तल्ख़ है बहुत 'अंजुम' फिर भी ज़ालिम से प्यार सा क्यूँ है

More by Ghayas Anjum
View all →"khasaare mein rahe lekin na chhoDi saadgi ham ne ba-har-surat nibhaai dushmanon se dosti ham ne salaf the jo hamaare misl-e-khurshid-o-mah-o-anjum unhi ke raaste pe chal ke paai raushni ham ne adab ke daaere ko de di vusat saare aalam ki ki us ki aabiyaari ki baraae zindagi ham ne jahaan vaalo na maano tum magar sach hai ki duniyaa mein baDhaayaa hai tah-e-khanjar vaqaar-e-aashiqi ham ne yahaan sach bolne par zahr kaa pyaala hi miltaa hai ajab rasm-e-sitam dekhi hai tere shahr ki ham ne vasaael jab ki saare ho chuke the be-asar 'anjum' charaagh-e-dil jalaa kar duur ki hai tirgi ham ne"
"dard ke chaand ki tasvir ghazal mein aae sher likkhun to ye taasir ghazal mein aae sunte aae hain bahut zikr hasin khvaabon kaa ab kisi khvaab ki taabir ghazal mein aae un ke chehre ko main is tarah paDhaa kartaa huun jaise gham ki koi tafsir ghazal mein aae khet khaliyaan se jab saanvli surat lauTe surmai shaam ki tanvir ghazal mein aae apne kirdaar kaa kuchh aks to jhalke 'anjum' aaine ki koi tahrir ghazal mein aae"
"saaz-e-hayaat qaid-o-salaasil kahein kise jab dil hi bujh gayaa ho to phir dil kahein kise rudaad-e-gham tavil to itni nahin magar koi kahaan hai madd-e-muqaabil kahein kise bachte bachaate mauj-e-havaadis se aa ke ham saahil pe Duub jaaein to saahil kahein kise dast-e-duaa bhi kaaT ke ahbaab chal diye haal-e-dil-e-shikasta mein shaamil kahein kise 'anjum' hamaaraa ahd hai bahrupiyon kaa ahd jo hai naqaab-posh hai qaatil kahein kise"
"hujum-e-dard milaa imtihaan aisaa thaa magar vo chup hi rahaa be-zabaan aisaa thaa kisi ki izzat-o-naamus par na aanch aai luTaa to uf bhi na ki mehrbaan aisaa thaa zamaana guzraa magar daagh rah gayaa dil par na miT sakaa kisi surat nishaan aisaa thaa badan ki shaakh se us ke kiran jo lipTi thi vo sah sakaa na use dhaan-paan aisaa thaa mataa-e-zist luTaa di gai magar us ne zaraa bhi qadr na ki bad-gumaan aisaa thaa nazar-shanaas thaa kaisaa ki umr bhar 'anjum' bhulaa sakaa na use mehmaan aisaa thaa"
"lipaT rahi hain jo tujh se duaaein meri hain havaa kaa shor nahin hai sadaaein meri hain kisi bhi raah se tum aa sako to aa jaanaa ki shahr meraa hai saari dishaaein meri hain uDaa rahe ho yahaan jin ki dhajjiyaan tum bhi ye jaan lo ki vo saari ridaaein meri hain mujhe to gaanv ki miTTi hai jaan se bhi aziiz vahaan ki galiyon mein kyaa kyaa adaaein meri hain tumhein to chaandni ban kar fazaa mein ghulnaa hai shab-e-siyaah ki saari balaaein meri hain pahan ke jis ko hain aghyaar surkh-ru 'anjum' vo saadgi se muzayyan qabaaein meri hain"
More on Zindagi
View all →"vo mujhe zindagi bataataa hai phir bhalaa kyon nazar churaataa hai main usi ko uThaa rahaa thaa par vo mujhe hi faqat giraataa hai yaad us ko kiyaa yahaan main ne par mujhe vo vahaan bhulaataa hai raaz saare bataa diye main ne kyon magar raaz vo chhupaataa hai log masruf hain mohabbat mein aur vo dil miraa dukhaataa hai"
"jis din se meraa khvaab suhaanaa badal gayaa us din se zindagi kaa fasaana badal gayaa sunne lagaa huun jab se nasihat baDon ki main jaari thaa jo labon pe taraana badal gayaa pahchaan kaa havaala bhi baaqi nahin rahaa chehre ke saath aaina-khaana badal gayaa uThti nahin hai aankh bhi ab aasmaan ki samt jab se gali kaa chaand puraanaa badal gayaa tahzib jin ke ghar ki 'alaamat thi kal talak afsos aaj un kaa gharaanaa badal gayaa 'azmat kaa taaj sar pe hai 'akhilesh' ke sajaa aisi havaa chali ki zamaana badal gayaa itni sharaafaton mein kami aa gai hai aaj pahle thaa jo libaas puraanaa badal gayaa ahl-e-vafaa ne jis ki thi taarikh ki raqam 'faaruq' 'ishq kaa vo fasaana badal gayaa"
"tirgi shama bani raahguzar mein aai saaat ik aisi bhi kal apne safar mein aai jis jagah chehra hi meyaar-e-vafaa Thahraa hai khaak hi khaak vahaan dast-e-hunar mein aai teri nazron mein thi duniyaa to yahi kyaa kam thaa hashr ye hai ki tu duniyaa ki nazar mein aai baar-haa yaaron ne saahil se kahaa thaa ham hain baar-haa naav magar apni bhanvar mein aai zindagi samjhun ise yaa ki ise maut kahun vo jo mehmaan ki surat mire ghar mein aai yuun bhi taarikh ki taarikh raqam hoti hai nikli taarikh mahal se to khanDar mein aai khvaab hi khvaab ki taabir huaa to jaanaa zindagi kyuun kisi aankhon ke asar mein aai shama jalte hi bujhi aur dhuaan aisaa uThaa lazzat-e-shaam yahaan khvaab-e-sahar mein aai zindagi kuchh hai 'ataa' sher-o-adab hai kuchh aur ye do-rangi ki vabaa kaisi hunar mein aai"
"khaamushi ke batn se ye guftani paidaa hui main ba-zaahir chup huaa aur shaaeri paidaa hui is tarah saabit huaa gham aur khushi kaa imtizaaj hanste hanste us ki aankhon mein nami paidaa hui jurm ki paadaash mein ham khaak par pheinke gae so yahaan par intiqaaman zindagi paidaa hui khauf ne hi maslahat ki raah bhi ijaad ki main andheron se Daraa aur raushni paidaa hui dil mein kab utri kisi ke be-maaani guftugu baat karne se to bas aavaaz hi paidaa hui"
"zindagi bojhal hui aazaar se jism jhuktaa jaa rahaa hai baar se doston ne is qadar dhoke diye aur raghbat baDh gai aghyaar se zindagi kaa ik nayaa imkaan huaa ik daricha khul gayaa divaar se ab bayaan kaise karun rudaad-e-gham kaam mushkil hai dil-e-naa-chaar se hijr ki raaton mein bahtaa hi rahaa ek naala chashm-e-dariyaa-baar se misl-e-majnun regzaaron mein rahe sar paTakte ret ki divaar se ham asiraan-e-mohabbat hain yahaan uljhe hain ab gesu-e-khamdaar se 'qalb' teri ghazlein yuun shaadaan karein dard nikle hai tire ashaar se"
"zindagi dushvaar hogi ye kabhi sochaa na thaa vo bagule gham ke uTThe jin kaa andesha na thaa saamne tum aa gae ho to bataa duun jaan-e-jaan jaise dil dhaDkaa thaa ab ki vaise dil dhaDkaa na thaa ye iraada kar liyaa thaa ham na bichhDeinge kabhi TuTeinge ik pal mein rishte ye kabhi sochaa na thaa yaad-e-maazi miT rahi hai vaqt ki raftaar se ab tasavvur mein hamaare koi bhi chehra na thaa sakht hairat ho rahi hai dekh kar apnaa vajud dhuup mein the sab ke saaye par miraa saayaa na thaa shauq-e-manzil dekh meri dekh meraa hausla shahr-e-dil ke raaston mein main kabhi Thahraa na thaa 'qalb' ko sahraa-navardi raas kyaa aati bhalaa vo kabhi aavaargi mein dar-ba-dar bhaTkaa na thaa"