Ghazal
The lyric art form of Urdu poetry — every sher a universe of longing, love, and philosophy
Featured Poets
All Poets →Trending Ghazals
Hafeez Betab
lau dene lagaa hai tiri yaadon kaa diyaa phir
bahke na kahin dekhnaa jangal ki havaa phir
tajdid-e-mohabbat kaa khayaal aayaa hai us ko
paae na kahin jurm-e-vafaa ki vo sazaa phir
· · ·
Hafeez Betab
khayaal-o-khvaab ki zulfein sanvaar thoDi der
abhi hai aur shab-e-intizaar thoDi der
mohabbaton ke ye paikar ye dosti ke amiin
vafaa ke hote hain sab paasdaar thoDi der
· · ·
Hafeez Betab
lafz-o-maani ki ye sab jhuTi numaaish chhoD de
yuun hama-daani ki naadaan apni khvaahish chhoD de
zad pe aa jaaegaa teraa aaina bhi yaad rakh
aainon pe sang barsaane ki koshish chhoD de
· · ·
Hafeez Betab
miri vafaa kaa na sochaa thaa ye sila degaa
samajh ke harf-e-ghalat vo mujhe miTaa degaa
bhalaa vo degaa bhi mujh ko to aur kyaa degaa
ghamon ki dhuup mein jiine ki bas sazaa degaa
· · ·
Hafeez Betab
aankhein munde sab kuchh bhule kab se yunhi baiThe hain
palkon pe kuchh khvaab sajaae jaage jaage soe hain
kis se kyaa rishta thaa meraa ab to ye bhi yaad nahin
reza-reza aaina hai bikhre bikhre chehre hain
· · ·
Hafeez Betab
apni palkon pe kuchh nami le kar
ab vo aae hain zindagi le kar
raas kuchh aa gayaa hai gham itnaa
kyaa karungaa main sarkhushi le kar
· · ·
Hafeez Betab
jab dasht-e-tamannaa mein koi phuul khilaa hai
shahr-e-dil-e-khaamosh se ik shor uThaa hai
aankhon mein khanDar honTon pe ik bhulaa huaa naam
chaahat mein kisi ki ye ajab haal huaa hai
· · ·







