Ghazal
The lyric art form of Urdu poetry — every sher a universe of longing, love, and philosophy
Featured Poets
All Poets →Trending Ghazals
Hafeez Momin
un ke honTon kaa vo andaaz kahin uf jaise
aur tasvir musavvir kaa tasavvuf jaise
itne Thahraav se vo baat kiyaa karte hain
ek se dusre sajde mein tavaqquf jaise
· · ·
Hafeez Momin
shokhi adaa ghurur sharaarat kharidiye
chaandi uchhaaliye to qayaamat kharidiye
aslaaf ke nuqush kitaabon mein band hain
baazaar se kisi ki shabaahat kharidiye
· · ·
Hafeez Momin
takallufaat ke sahraa mein kho gayaa koi
qarib aa ke bahut duur ho gayaa koi
sivaae apne hamein kuchh nazar nahin aataa
hamaari aankh mein suraj samo gayaa koi
· · ·
Hafeez Momin
kuchh karne ki mohlat kam hai
ab umron mein barakat kam hai
aksar baahar hi rahtaa huun
kyaa meraa ghar jannat kam hai
· · ·
Hafeez Momin
jise hai zoam ki us ne havaa ke par baandhe
agar hai dam to hamaari duaa ke par baandhe
uThaae haath azaab-o-balaa ke par baandhe
ye kis duaa ne kisi badduaa ke par baandhe
· · ·
Hafeez Momin
kaisaa chakkar kaaT ke aanaa paDtaa hai
tere mere biich zamaana paDtaa hai
phir ashkon ki qismat jaage yaa soe
pahle to aankhon mein aanaa paDtaa hai
· · ·
Hafeez Momin
anokhaa ruup dhaaraa hai niraalaa qad nikaalaa hai
zaraa si shaakh ne kaisaa baDaa bargad nikaalaa hai
khushaamad karne vaale ke hukumat haath aai hai
jo apni jaan par khelaa use sarhad nikaalaa hai
· · ·
Hafeez Momin
baaton se teri baat ki khushbu nikal paDe
pahchaan kaa kahin koi pahlu nikal paDe
kam-kam kahun main sher sunaaun bahut hi kam
kyaa jo kisi ghazal se kabhi tu nikal paDe
· · ·







