SHAWORDS

kuchh karne ki mohlat kam hai — Hafeez Momin

HomeHafeez MominGhazal
"kuchh karne ki mohlat kam hai ab umron mein barakat kam hai aksar baahar hi rahtaa huun kyaa meraa ghar jannat kam hai chaiD jaataa huun laD jaataa huun sach sahne ki aadat kam hai un se aage kaise jaaun jin se meri qismat kam hai raai raai dene vaale mujh ko parbat parbat kam hai saada saada baatein kiije ab zehnon ko fursat kam hai 'momin' ke ashaar sunaao afsaanon mein lazzat kam hai"
Urdu

کچھ کرنے کی مہلت کم ہے اب عمروں میں برکت کم ہے اکثر باہر ہی رہتا ہوں کیا میرا گھر جنت کم ہے چڑ جاتا ہوں لڑ جاتا ہوں سچ سہنے کی عادت کم ہے ان سے آگے کیسے جاؤں جن سے میری قسمت کم ہے رائی رائی دینے والے مجھ کو پربت پربت کم ہے سادہ سادہ باتیں کیجے اب ذہنوں کو فرصت کم ہے مومنؔ کے اشعار سناؤ افسانوں میں لذت کم ہے

Hindi

कुछ करने की मोहलत कम है अब उम्रों में बरकत कम है अक्सर बाहर ही रहता हूँ क्या मेरा घर जन्नत कम है चिड़ जाता हूँ लड़ जाता हूँ सच सहने की आदत कम है उन से आगे कैसे जाऊँ जिन से मेरी क़िस्मत कम है राई राई देने वाले मुझ को पर्बत पर्बत कम है सादा सादा बातें कीजे अब ज़ेहनों को फ़ुर्सत कम है 'मोमिन' के अशआ'र सुनाओ अफ़्सानों में लज़्ज़त कम है

kuchh karne kī mohlat kam hai
H
Hafeez Momin
Hafeez Momin
poet8 quotes

More by Hafeez Momin

View all →
Quote
"un ke honTon kaa vo andaaz kahin uf jaise aur tasvir musavvir kaa tasavvuf jaise itne Thahraav se vo baat kiyaa karte hain ek se dusre sajde mein tavaqquf jaise is tarah khud ko zamaane se bachaa rakhaa hai un ko manzur nahin khud mein tasarruf jaise yuun huaa aa ke mire dar se palaT jaati hai kuchh bataane mein ho zaalim ko takalluf jaise har taraf shor hai khaamosh khaDaa hai koi ho rahaa ho use hone kaa taassuf jaise is tarah vaqt ne badnaam kiyaa hai 'momin' koi mahfil mein karaataa ho ta'aaruf jaise"
H
Hafeez Momin
Quote
"shokhi adaa ghurur sharaarat kharidiye chaandi uchhaaliye to qayaamat kharidiye aslaaf ke nuqush kitaabon mein band hain baazaar se kisi ki shabaahat kharidiye aTki hui hai ruuh puraani taraash mein kis dil se asr-e-haal ki jiddat kharidiye ahl-e-jahaan kaa aur badalne lagaa mazaaq fikr-o-nazar bhi hasb-e-zarurat kharidiye zaahir bahut hasin hai baatin ghinaavnaa pachhtaaiyegaa aap mujhe mat kharidiye quraan kholne key zarurat nahin rahi bikti hai subh-o-shaam tilaavat kharidiye pak jaaegaa to aap Tapak jaaegaa janaab aangan mein shaakh aai hai phal mat kharidiye"
H
Hafeez Momin
Quote
"jise hai zoam ki us ne havaa ke par baandhe agar hai dam to hamaari duaa ke par baandhe uThaae haath azaab-o-balaa ke par baandhe ye kis duaa ne kisi badduaa ke par baandhe hui na aaj bhi tauba ke TuTne ki sabil khudaa ne aaj bhi kaali ghaTaa ke par baandhe koi to ho jo use rok le tabaahi se koi to ho jo dil-e-mubtalaa ke par baandhe hamaari soch ki parvaaz roknaa thaa muhaal hamin ne jaan key baazi lagaa ke par baandhe kai dinon se kisi kaa salaam hai na payaam mire adu key baazi lagaa ke par baandhe shifaa key aas lagaae mariz baiThaa hai duaa ko haath uThaae davaa ke par baandhe 'hafiz' maut se luqmaan bach sake kab tak baDe hakim the kab tak qazaa ke par baandhe"
H
Hafeez Momin
Quote
"anokhaa ruup dhaaraa hai niraalaa qad nikaalaa hai zaraa si shaakh ne kaisaa baDaa bargad nikaalaa hai khushaamad karne vaale ke hukumat haath aai hai jo apni jaan par khelaa use sarhad nikaalaa hai hazaaron mein kisi ik aadh ko duniyaa ataa key hai hamaare vaaste us ne yahi fisad nikaalaa hai ki us ko sujhti rahti hai apni si chalaane ki kahin tabrez bhejaa hai kahin sarmad nikaalaa hai bahut aasaan hai allaah ko manzar badal denaa abhi masnad-nashini hai abhi masnad nikaalaa hai ahad mein miim rakhaa hamd se pahle alif rakhaa ajab andaaz se allaah ne ahmad nikaalaa hai kamaanaa aur khaanaa aish karnaa aur mar jaanaa nahin 'momin' agar jiine kaa ye maqsad nikaalaa hai"
H
Hafeez Momin

More on Time

View all →
Quote
"baad-e-shimaal chalne lagi ang ang mein lipTaa hai kaun mujh se ye patjhaD ke rang mein khvaahish ke kaarobaar se bachnaa muhaal hai utregaa tu bhi saath mire is surang mein main aandhiyon mein haath bhi pakDun tiraa to kyaa ik shaakh-e-be-siper huun havaaon ki jang mein 'raanjhaa' main 'ahd-e-nau kaa qabilon mein baT gayaa to 'hir' ban ke pi na saki zahr jhang mein garmaa sakin na chaahatein teraa kaThor jism har ek jal ke bujh gai tasvir sang mein aage 'musavvir' aag 'aqab mein hai ye sadaa pichhe na muD ke dekhnaa is dasht-e-sang mein"
Musavvir SabzwariMusavvir Sabzwari
Quote
"aaina huun ki main patthar huun ye kab puchhe hai ziist mujh se mere jiine kaa sabab puchhe hai munkashif hone lage jab se rumuz-o-asraar kuchh savaal ab dil-e-maasum ajab puchhe hai maqsad-e-zist, koi khvaab yaa khvaahish koii? ham ne jab si liye lab apne vo tab puchhe hai har koi apni tag-o-dau mein hai masruf yahaan kaun ab kis ki udaasi kaa sabab puchhe hai vahshat-e-dil mein kami ho bhi to kyaa, haal-e-darun aur baDh jaati hai kuchh, ham se vo jab puchhe hai jis ne barbaad kiyaa khaana-e-dil rah rah kar kyaa qayaamat hai, vahi is kaa sabab puchhe hai koi bhi rishta nikaltaa nahin ham donon mein phir bhi kyuun ham se hamaaraa vo nasab puchhe hai saath guzre the kabhi arsa huaa, mujh se magar aaj bhi teraa pataa raah-e-talab puchhe hai ik nidaa jis ko samajhte hain zamir apnaa sabhi qabl-e-laghzish hamein is shakl mein rab puchhe hai ab ye aalam hai ki khud vahshat-e-dil bhi 'khaalid' ghar mire der se aane kaa sabab puchhe hai"
Quaiser KhalidQuaiser Khalid
Quote
"khud ko kyaa khuun rulaaoge bataao to sahi tum mujhe kaise bhulaaoge bataao to sahi aise chup-chaap tumhein main nahin jaane dungaa tum kabhi lauT ke aaoge bataao to sahi muddat-e-hijr mukarrar mujhe manzur magar apne siine se lagaaoge bataao to sahi yaad mein meri sabhi kaam se ghaafil ho kar chaar aansu bhi bahaaoge bataao to sahi ratjage mere muqaddar mein likhe hain tum ne aur khud khvaab sajaaoge bataao to sahi tum se pahle bhi kai log mujhe chhoD gae main jo ruThungaa manaaoge bataao to sahi tum kisi ko jo kabhi meraa havaala doge meri ghazlein bhi sunaaoge bataao to sahi jab davaa kaam na kar paaegi mujh par 'aarif' tum masihaai ko aaoge bataao to sahi"
Aarif NazeerAarif Nazeer
Quote
"zehn-o-dil mein basi hain divaarein jaane kab se khaDi hain divaarein dhuup utre bhi kaise aangan mein har taraf to khaDi hain divaarein sahn mein ek bhi nahin divaar zehn mein uTh rahi hain divaarein do sage bhaaiyon kaa jhagDaa hai faisla kar rahi hain divaarein meraa chehra mujhe dikhaati hain aaina ban gai hain divaarein kachchi miTTi ke mere ghar ke liye aandhiyon se laDi hain divaarein kaan dhar kar suno ki sadiyon ki daastaan kah rahi hain divaarein aisi divaarein saamne hain mire jin ke pichhe khaDi hain divaarein meraa qad bhi bahut baDaa hai magar mere qad se baDi hain divaarein 'aabid' uDne kaa khvaab kyaa dekhein har taraf to khaDi hain divaarein"
Abid KarhaniAbid Karhani