Ghazal
The lyric art form of Urdu poetry — every sher a universe of longing, love, and philosophy
Featured Poets
All Poets →Trending Ghazals
Hajra Noor Zaryab
nahin aao ki ab aavaaz-e-paa se choT lagti hai
mire ehsaas par teri sadaa se choT lagti hai
tujhe khud apni majburi kaa andaaza nahin shaayad
na kar ahd-e-vafaa ahd-e-vafaa se choT lagti hai
· · ·
Hajra Noor Zaryab
zikr us raat se hai vaabasta
jo tiri zaat se hai vaabasta
jiit meri faqat miri to nahin
ye tiri maat se hai vaabasta
· · ·
Hajra Noor Zaryab
jab muqaddar hi mein hai tanhaai se yaari paagal
phir vahi shakhs hai kyuun zehn pe taari paagal
raat bhar teri tamannaa ke safar mein guzri
duur tak tirgi-e-raah pukaari paagal
· · ·
Hajra Noor Zaryab
yaarab diyaa hai husn to ye bhi kamaal de
main hans paDun to phuul bhi khushbu uchhaal de
andaaz meri pyaas kaa jaanegaa koi kyaa
chaahun to ik pahaaD bhi chashma nikaal de
· · ·
Hajra Noor Zaryab
main nindon kaa bahaana chaahti huun
tire khvaabon mein aanaa chaahti huun
jise sun kar tu sab kuchh bhuul jaae
ghazal vo gungunaanaa chaahti huun
· · ·
Hajra Noor Zaryab
tiri chaahat ki aadi ho gai huun
hatheli tu main mehndi ho gai huun
kisi ke vaaste taaza ghazal huun
tiri khaatir kahaani ho gai huun
· · ·
Hajra Noor Zaryab
ashk ko aankh ki dahliz pe laayaa na karo
dil ke haalaat zamaane ko bataayaa na karo
apni aankhon mein hasin khvaab sajaayaa na karo
pyaar kaa taaj-mahal dil ko banaayaa na karo
· · ·
Hajra Noor Zaryab
shauq-e-didaar miraa aur bhi afzaa na karein
mehrbaan saamne aaein zaraa parda na karein
vo to kuchh ho hi gai tum se mohabbat varna
ham vo khud-sar hain ki apni bhi tamannaa na karein
· · ·
Hajra Noor Zaryab
kuchh bhi nahin hai kyaa pas-e-divaar dekhnaa
saae ko Dubte hue har baar dekhnaa
aurat huun meri maan ne sikhaayaa ki umr bhar
aaina ban ke aaina-bardaar dekhnaa
· · ·
Hajra Noor Zaryab
dil miraa muztar bahut paiham rahaa
zindagi mein jab musalsal gham rahaa
mehrbaan thaa kuchh tasavvur is tarah
hijr mein bhi vasl kaa aalam rahaa
· · ·
Hajra Noor Zaryab
hayaat apni sanvaarun khuli kitaab karun
iraada ye hai tujhe saahab-e-nisaab karun
tamaam umr isi aarzu mein guzri hai
tire mizaaj ko parkhun koi khitaab karun
· · ·
Hajra Noor Zaryab
sach pe hi saabit-qadam Thahri thi main
aur jhuTi baat par ruThi thi main
der se aamad ki hi sun kar naved
aap ki tasvir se uljhi thi main
· · ·
Hajra Noor Zaryab
muddaton se udaas baiThi huun
le ke tasvir-e-yaas baiThi huun
tishnagi kaa gila karun kis se
jab main dariyaa ke paas baiThi
· · ·
Hajra Noor Zaryab
sambhaale abr-e-karam tu sambhal bhi sakti hai
ye dil ki shaakh abhi phul-phal bhi sakti hai
bujhaao maghribi aatish ki baDh ke chingaari
ki is se mashriqi tahzib jal bhi sakti hai
· · ·
Hajra Noor Zaryab
shahr-e-taarik ko sapnon kaa nagar hone tak
muntazir baiThi huun is shab ki sahar hone tak
hijr mein haalat-e-dil kaise sambhal paaegi
raah-e-dushvaar se yaadon kaa guzar hone tak
· · ·
Hajra Noor Zaryab
uTThe kahin se dard-e-jigar tum ko is se kyaa
lete nahin ho meri khabar tum ko is se kyaa
do hi qadam chali thi paDe chhaale paanv mein
gham se hai chuur zauq-e-safar tum ko is se kyaa
· · ·
Hajra Noor Zaryab
zindagi ke liye itnaa bhi kyaa hairaan honaa
mujh ko aataa nahin be-vajh pareshaan honaa
maangnaa jo bhi ho maangungi main apne rab se
maang kar bande se aayaa na pashemaan honaa
· · ·







