Ghazal
The lyric art form of Urdu poetry — every sher a universe of longing, love, and philosophy
Featured Poets
All Poets →Trending Ghazals
Hayat Amrohvi
shama-ru jalva-kunaan thaa mujhe maalum na thaa
saaf parde se ayaan thaa mujhe maalum na thaa
gul mein bulbul mein har ik shaakh mein patte mein bhi
jaa-ba-jaa us kaa nishaan thaa mujhe maalum na thaa
· · ·
Hayat Amrohvi
sharaab pi kar diyaa hai tum ne jo ham ko jaam-e-sharaab aadhaa
azal se likkhaa huaa thaa shaayad ki paaein ham tum savaab aadhaa
gale lagaa kar liyaa thaa bosa hue the raazi visaal par bhi
taDap ne dil ko jagaa diyaa kyon abhi to dekhaa thaa khvaab aadhaa
· · ·
Hayat Amrohvi
mere hone se pahunch jaaegaa aaraam ke saath
naama-bar mujh ko bhi le chal mire paighaam ke saath
vo jo divaana saa galiyon mein phiraa kartaa hai
yaad karte hain vo mujh ko magar ilzaam ke saath
· · ·
Hayat Amrohvi
tabibon se nazar ki choT pahchaani nahin jaati
pareshaan hain ki kyon meri pareshaani nahin jaati
kisi surat miri aashufta-saamaani nahin jaati
bayaabaan bas gae aur ghar ki viraani nahin jaati
· · ·
Hayat Amrohvi
ishq kaa faisla nahin hotaa
muddaaa bhi adaa nahin hotaa
bhuul jaataa huun sab gunaah ke vaqt
jaise meraa khudaa nahin hotaa
· · ·
Hayat Amrohvi
sharik-e-dard duniyaa mein baDi mushkil se miltaa hai
duaaein jo davaa se dil kaa maaraa dil se miltaa hai
fareb-e-aasmaan ghurbat ki raatein dekhte jaao
ki har taara charaagh-e-sarhad-e-manzil se miltaa hai
· · ·
Hayat Amrohvi
qarib maut khaDi hai zaraa Thahar jaao
qazaa se aankh laDi hai zaraa Thahar jaao
na jaao tum abhi taaron kaa dil dhaDaktaa hai
tamaam raat paDi hai zaraa Thahar jaao
· · ·
Hayat Amrohvi
tumhaare hijr mein dam bhar hamein qaraar nahin
vo gham uThaae hain jin kaa koi shumaar nahin
ye sun rahe hain ki tum ne bhulaa diyaa ham ko
magar tumhaari qasam ham ko e'tibaar nahin
· · ·
Hayat Amrohvi
vo dil nahin rahaa vo tabiat nahin rahi
shaayad ab un ko mujh se mohabbat nahin rahi
ghabraa rahaa huun kyon ye gham-e-naaravaa se ab
kyaa mujh mein gham ke sahne ki taaqat nahin rahi
· · ·
Hayat Amrohvi
jal rahaa thaa dil charaagh-e-aarzu khaamosh thaa
ham the vaqf-e-hasrat-e-didaar vo ru-posh thaa
mere naalon ne to mahshar aaj hi barpaa kiyaa
husn to roz-e-azal se hashr dar aaghosh thaa
· · ·
Hayat Amrohvi
zamin ke zarre zarre naala-o-fariyaad karte hain
chale aao dar-o-divaar tum ko yaad karte hain
mazaa aataa hai kuchh un ko hamaaraa dil dukhaane mein
kabhi ham naala karte hain kabhi fariyaad karte hain
· · ·
Hayat Amrohvi
javon se ayaan teri haqiqat nahin hoti
aaine mein aaine ki surat nahin hoti
kyaa shaad rahe dahr mein baashinda adam kaa
pardes mein ji lagne ki surat nahin hoti
· · ·
Hayat Amrohvi
chheDiye saaz-e-zindagi naghma-navaaz ho na ho
aah to kar ke dekhiye soz mein saaz ho na ho
dekhiye qaabil-e-qubull apni namaaz ho na ho
sajda to kar jabin-e-shauq dar-gah-e-naaz ho na ho
· · ·
Hayat Amrohvi
na manzil na raah-e-adam dekhte hain
magar jaane vaalon ko ham dekhte hain
ajab naaz se haath siine pe rakh kar
vo bimaar-e-hijraan kaa dam dekhte hain
· · ·
Hayat Amrohvi
tumhaari yaad hai main huun ki zindagi hai yahi
maaal-e-gham hai yahi haasil-e-khushi hai yahi
adu pe lutf-o-karam aur mujh pe jaur-o-sitam
bataa de meri vafaaon ki tohfagi hai yahi
· · ·
Hayat Amrohvi
sukun-o-sabr ki duniyaa mein naam kartaa jaa
jo ho sakaa na kisi se vo kaam kartaa jaa
nigaah pher ke jaa shauq se khudaa-haafiz
kisi gharib kaa qissa tamaam kartaa jaa
· · ·
Hayat Amrohvi
jaage ho raat mahfil-e-aghyaar mein zarur
aankhon mein ab vo kufr ki zulmat nahin rahi
jab kar diyaa khizaan ne vo rangin chaman tabaah
vo husn ab kahaan vo malaahat nahin rahi
· · ·
Hayat Amrohvi
e'tibaar-e-nigah-e-yaar ne dam toD diyaa
aaj ik hijr ke bimaar ne dam toD diyaa
ziist ke qaafila-e-saalaar ne dam toD diyaa
raah-e-ulfat mein dil-e-zaar ne dam toD diyaa
· · ·
Hayat Amrohvi
jab un ki nigaah-e-sitam dekhte hain
to aalam ko jaa-e-alam dekhte hain
ho ik aaina aaine ke muqaabil
vo zulfon ke jab pech-o-kham dekhte hain
· · ·
Hayat Amrohvi
daaman ki havaa yaad na zulfon ki ghaTaa yaad
ab kuchh bhi nahin soz-e-gham-e-dil ke sivaa yaad
sargarm-e-safar thaa na rahaa kuchh bhi mujhe yaad
naqsh-e-kaf-e-paa yaad na manzil kaa pataa yaad
· · ·







