Ghazal
The lyric art form of Urdu poetry — every sher a universe of longing, love, and philosophy
Featured Poets
All Poets →Trending Ghazals
Iftikhar Qaisar
tiri aavaaz mein bhi koi aavaaza nahin hotaa
tiri baaton se ab to koi andaaza nahin hotaa
kabhi baiThak tiri dopahar mein aabaad rahti thi
khulaa ab shaam ko bhi ghar kaa darvaaza nahin hotaa
· · ·
Iftikhar Qaisar
apne khuun ko kharch kiyaa hai aur kamaayaa shahr
saare manzar TuuT gae aur kaam na aayaa shahr
be-ghar honaa be-ghar rahnaa sab achchhaa Thahraa
ghar ke andar ghar nahin paayaa shahr mein paayaa shahr
· · ·
Iftikhar Qaisar
duur duur tak sannaaTaa hai koi nahin hai paas
aa jaa dariyaa honT se lag jaa pi le meri pyaas
ishq ke pahle pahle vaar se vo bhi TuuT gai
ik jogi kaa pyaar na aayaa us laDki ko raas
· · ·
Iftikhar Qaisar
ham se apne gaanv ki miTTi ke ghar chhine gae
jis tarah shahri parindon se shajar chhine gae
titliyon ne kaaghzi phulon pe Deraa kar liyaa
raaste mein jugnuon ke baal-o-par chhine gae
· · ·
Iftikhar Qaisar
miri aankhon ko aankhon kaa kinaara kaun degaa
samundar ko samundar mein sahaaraa kaun degaa
mire chehre ko chehra kab inaayat kar rahe ho
tumhein mere sivaa chehra tumhaaraa kaun degaa
· · ·
Iftikhar Qaisar
khvaahishon kaa vird yuun mat kar paraae shahr mein
faakhta mar jaaegi ghuT kar qabaa-e-shahr mein
raat bhar dil mein samundar karvaTein letaa rahaa
raat bhar bahtaa rahaa dariyaa paraae shahr mein
· · ·
Iftikhar Qaisar
jo milaa karti thi mujh ko lakDiyon ki Taal par
aisi laDki aaj tak dekhi nahin hai maal par
aankh mein saae ki khvaahish peT mein roTi ki bhuuk
phir bhi kaisi taazgi thi phuul jaise gaal par
· · ·







