Ghazal
The lyric art form of Urdu poetry — every sher a universe of longing, love, and philosophy
Featured Poets
All Poets →Trending Ghazals
Iqbal Bharti
shikva kiyaa jo main ne to ghabraa ke rah gae
kahne se pahle baat vo sharmaa ke rah gae
aai thi ik zamaane mein aisi bahaar bhi
gulshan mein phuul khilte hi murjhaa ke rah gae
· · ·
Iqbal Bharti
gardish-e-vaqt se 'iqbaal' pareshaan na ho
ye tabaahi bhi guzar jaaegi hairaan na ho
subh laaegi kisi aish-o-tarab kaa paighaam
shiddat-e-ranj se itnaa tu pareshaan na ho
· · ·
Iqbal Bharti
lagi hai choT jo dil mein ubhar aai to kyaa hogaa
mohabbat mein hui jo un ki rusvaai to kyaa hogaa
hamaari be-kasi par aa rahi hai kyon hansi tum ko
tumhaari is hansi se aankh bhar aai to kyaa hogaa
· · ·
Iqbal Bharti
khud-shanaasi hi khud-parasti hai
ik muamma bashar ki hasti hai
jaan dete hain log baatil par
kaisaa andaaz-e-haq-parasti hai
· · ·
Iqbal Bharti
dard kaa aur mere dil mein sivaa ho jaanaa
us kaa siine se mire lag ke judaa ho jaanaa
ishrat-o-naaz ki kasrat mein fanaa ho jaanaa
dard kaa had se guzarnaa hai davaa ho jaanaa
· · ·
Iqbal Bharti
mohabbat dard-o-gham ki tarjumaan maalum hoti hai
miri har aah dil ki daastaan maalum hoti hai
hamaari zindagi ki daastaan khushbu kaa unvaan thi
magar is daur mein aah-o-fughaan maalum hoti hai
· · ·
Iqbal Bharti
baiThaa huun dil ke daagh numaayaan kiye hue
muddat hui thi ghar mein charaaghaan kiye hue
puchho na mujh se shahr-e-nigaaraan se kyaa milaa
phirtaa huun apnaa chaak garebaan kiye hue
· · ·
Iqbal Bharti
husn kitnaa sarkash-o-maghrur hai
ishq jis ke saamne majbur hai
allah allah ishq ki ye maslahat
hans rahaa huun dil magar ranjur hai
· · ·
Iqbal Bharti
ik dafine mein ajab rang kaa patthar niklaa
ghaur se ki jo nazar us pe to gauhar niklaa
jis ne ik markaz-e-taalim diyaa hai logo
bas haqiqat mein vo ik qaum kaa rahbar niklaa
· · ·
Iqbal Bharti
un ki aamad ki jab khabar aai
dil ne li muskuraa ke angDaai
aankh roi to dil taDap uTThaa
daur-e-maazi ki jab bhi yaad aai
· · ·
Iqbal Bharti
ghamon ne kar diyaa siina figaar aahista aahista
chaman mein aa gai fasl-e-bahaar aahista aahista
na aaegaa tujhe bhi chain dil ko toDne vaale
mujhe to aa hi jaaegaa qaraar aahista aahista
· · ·
Iqbal Bharti
uThaate hain vo jab rukh se naqaab aahista aahista
nikaltaa hai ufuq se maahtaab aahista aahista
taghaaful un ki aadat hai tasaahul un ki fitrat hai
likheinge vo mire khat kaa javaab aahista aahista
· · ·
Iqbal Bharti
khizaan-rasida hain ab tak miri bahaar ke din
tire baghair mayassar nahin qaraar ke din
jidhar bhi dekhiye shoale dikhaai dete hain
chaman mein raas na aae hamein bahaar ke din
· · ·







