Ghazal
The lyric art form of Urdu poetry — every sher a universe of longing, love, and philosophy
Featured Poets
All Poets →Trending Ghazals
Iram Lakhnavi
dard kaa jab tak mazaa haasil na thaa
dil kahe jaane ke qaabil dil na thaa
haae un majburiyon ko kyaa karun
main bhi khud fariyaad ke qaabil na thaa
· · ·
Iram Lakhnavi
har jagah har vaqt goyaa ik kami tere baghair
kyaa hui jaati hai meri zindagi tere baghair
maut kaa gham hai na jiine ki khushi tere baghair
zindagi hai ehtijaaj-e-zindagi tere baghair
· · ·
Iram Lakhnavi
apne gharib dil ki baat karte hain raaegaan kahaan
ye bhi na ham samajh sake apnaa koi yahaan kahaan
un ke liye vo aasmaan meraa guzar vahaan kahaan
mere liye yahi zamin aaeinge vo yahaan kahaan
· · ·
Iram Lakhnavi
duniyaa kaa gham hi kyaa gham-e-ulfat ke saamne
baatil hai be-vajud haqiqat ke saamne
hasrat se chup huun main tiri surat ke saamne
jaise gunaahgaar ho jannat ke saamne
· · ·
Iram Lakhnavi
jise main samajhtaa huun qaatil yahi hai
mohabbat isi se hai mushkil yahi hai
adaavat hui barq se baaghbaan se
nasheman banaane kaa haasil yahi hai
· · ·
Iram Lakhnavi
ham baagh-e-tamannaa mein din apne guzaar aae
aae na bahaar aakhir shaayad na bahaar aae
rang un ke talavvun kaa chhaayaa rahaa mahfil par
kuchh sina-figaar uTThe kuchh sina-figaar aae
· · ·
Iram Lakhnavi
aap hi aasaan ho jaaegi har mushkil abhi
ho to le teraa kahe jaane ke qaabil dil abhi
koshish-e-andaaza-e-zillat hai laa-haasil abhi
dekhiye kyaa kyaa na dikhlaae ye shauq-e-dil abhi
· · ·
Iram Lakhnavi
jis taraf ab nigaah hoti hai
teri hi jalva-gaah hoti hai
'ishq bhi khuub husn us se bhi khuub
apni apni nigaah hoti hai
· · ·
Iram Lakhnavi
khayaal un kaa dil se bhulaanaa paDegaa
davaa jaan kar zahr khaanaa paDegaa
takhayyul ki had mein nahin un kaa maskan
abhi manzilon duur jaanaa paDegaa
· · ·
Iram Lakhnavi
pur hai daaman chaman kaa khaaron se
dam ulajhtaa hai in bahaaron se
kyaa shikaayat fareb khaane ki
saabiqa hai fareb-kaaron se
· · ·







