Ghazal
The lyric art form of Urdu poetry — every sher a universe of longing, love, and philosophy
Featured Poets
All Poets →Trending Ghazals
Jagjit Kafir
ik but hai jise meri nazar DhunDh rahi hai
mushkil hai mulaaqaat magar DhunDh rahi hai
laakhon mein kisi ek ke kaandhon pe milegaa
vo sar ki jise azmat-e-sar DhunDh rahi hai
· · ·
Jagjit Kafir
didaar tere husn kaa bas aankh bhar karun
aur phir isi surur mein pahron basar karun
misron mein Dhal ke aap ke dil mein utar sakein
itnaa main har khayaal ko baarik-tar karun
· · ·
Jagjit Kafir
koi habib koi mehrbaan to hai hi nahin
hamaare sar pe koi aasmaan to hai hi nahin
jo ek aks-e-haqiqat hai TuuT jaae agar
pata chale ki jahaan mein jahaan to hai hi nahin
· · ·
Jagjit Kafir
baDe yaqin se koi is intizaar mein hai
tiraa visaal kaa vaada isi bahaar mein hai
kuchh aur vaqt lagegaa zaraa to sabr karo
jo tishnagi kaa masihaa hai regzaar mein hai
· · ·
Jagjit Kafir
main agar dil jalaa nahin hotaa
she'r koi kahaa nahin hotaa
azmat-e-ishq hai ki jhuktaa huun
koi paikar khudaa nahin hotaa
· · ·
Jagjit Kafir
mustaqbil ke khvaab sajaanaa mushkil hai
ab yaadon se dil bahlaanaa mushkil hai
jin galiyon mein yaar kaa daaman chhuTaa thaa
un galiyon mein aanaa-jaanaa mushkil hai
· · ·
Jagjit Kafir
ye zamin ye aasmaan ye kahkashaan kuchh bhi nahin
sab fanaa ki qaid mein hain jaavedaan kuchh bhi nahin
hai mire hi dur-uftaada kisi goshe mein hain
vusat-e-kaunain huun main ye jahaan kuchh bhi nahin
· · ·







