"ik but hai jise meri nazar DhunDh rahi hai mushkil hai mulaaqaat magar DhunDh rahi hai laakhon mein kisi ek ke kaandhon pe milegaa vo sar ki jise azmat-e-sar DhunDh rahi hai manzil ne mere paanv ko chumaa hai kai baar main vo huun jise gard-e-safar DhunDh rahi hai ik baar karo jang mein us maan kaa tasavvur jo faut huaa lakht-e-jigar DhunDh rahi hai parvaaz ko baaqi hain abhi aur bhi ambar hasrat meri ab zarf ke par DhunDh rahi hai ik roz udaasi ne miraa naam sunaa thaa us din se mujhe shaam-o-sahar DhunDh rahi hai khvaahish hai baDi der se 'kaafir' ki jabin ko sajde ke liye yaar kaa dar DhunD rahi hai"
main agar dil jalaa nahin hotaa — Jagjit Kafir
"main agar dil jalaa nahin hotaa she'r koi kahaa nahin hotaa azmat-e-ishq hai ki jhuktaa huun koi paikar khudaa nahin hotaa baans ke shahr mein base logo har shajar khokhlaa nahin hotaa bas vahi raat din ki gardish hai aur kuchh bhi nayaa nahin hotaa raas aane lagi hai furqat bhi in dinon gham-zada nahin hotaa apni vahshat se khauf khaataa huun zabt har martaba nahin hotaa ek saagar chhupaa hai aankho mein sirf aansu chhupaa nahin hotaa masala zindagi kaa hai 'kaafir' maut mein kuchh buraa nahin hotaa"
میں اگر دل جلا نہیں ہوتا شعر کوئی کہا نہیں ہوتا عظمت عشق ہے کہ جھکتا ہوں کوئی پیکر خدا نہیں ہوتا بانس کے شہر میں بسے لوگو ہر شجر کھوکھلا نہیں ہوتا بس وہی رات دن کی گردش ہے اور کچھ بھی نیا نہیں ہوتا راس آنے لگی ہے فرقت بھی ان دنوں غم زدہ نہیں ہوتا اپنی وحشت سے خوف کھاتا ہوں ضبط ہر مرتبہ نہیں ہوتا ایک ساگر چھپا ہے آنکھو میں صرف آنسو چھپا نہیں ہوتا مسئلہ زندگی کا ہے کافرؔ موت میں کچھ برا نہیں ہوتا
मैं अगर दिल जला नहीं होता शे'र कोई कहा नहीं होता अज़्मत-ए-इश्क़ है कि झुकता हूँ कोई पैकर ख़ुदा नहीं होता बाँस के शहर में बसे लोगो हर शजर खोखला नहीं होता बस वही रात दिन की गर्दिश है और कुछ भी नया नहीं होता रास आने लगी है फ़ुर्क़त भी इन दिनों ग़म-ज़दा नहीं होता अपनी वहशत से ख़ौफ़ खाता हूँ ज़ब्त हर मर्तबा नहीं होता एक सागर छुपा है आँखो में सिर्फ़ आँसू छुपा नहीं होता मसअला ज़िंदगी का है 'काफ़िर' मौत में कुछ बुरा नहीं होता

More by Jagjit Kafir
View all →"didaar tere husn kaa bas aankh bhar karun aur phir isi surur mein pahron basar karun misron mein Dhal ke aap ke dil mein utar sakein itnaa main har khayaal ko baarik-tar karun ai zindagi bataa mujhe tu ne diyaa hai kyaa teraa yaqin karun bhi to kis baat par karun ye bhi to ik tarah se mohabbat ki haar hai khud ko tumhaare hijr mein barbaad gar karun meri masaafaton ki koi intihaa to ho in aablon ke saath main kab tak safar karun har shakhs ki zabaan pe 'kaafir' kaa naam ho itnaa main apne aap ko ab naamvar karun"
"koi habib koi mehrbaan to hai hi nahin hamaare sar pe koi aasmaan to hai hi nahin jo ek aks-e-haqiqat hai TuuT jaae agar pata chale ki jahaan mein jahaan to hai hi nahin main ek umr se rab ki talaash kartaa huun jahaan pe us kaa nishaan thaa vahaan to hai hi nahin har ek zulm ko chup-chaap sah rahe hain sabhi maaashre mein koi baa-zabaan to hai hi nahin ye ashk-e-gham kaa fasaana sunaa ke maanegaa kisi bhi taur miraa raazdaan to hai hi nahin karoge ishq to jaanoge ghaib ko 'kaafir' har ek raaz hai zaahir nihaan to hai hi nahin"
"baDe yaqin se koi is intizaar mein hai tiraa visaal kaa vaada isi bahaar mein hai kuchh aur vaqt lagegaa zaraa to sabr karo jo tishnagi kaa masihaa hai regzaar mein hai main apne dil ko bachaaun to kis tarah jaanaan kahaan bachegaa jo teri nazar ki maar mein hai har ek shai hai meri justuju ke pahlu mein meri hayaat mire hi to ikhtiyaar mein hai miraa savaal hai ab moajizon ke hone par ye khaak ab bhi sharaaron ke intizaar mein hai bas ek lafz ne taari kiyaa thaa vajd koi ye kaaenaat abhi bhi usi khumaar mein hai koi to puchh ke aae maqaam 'kaafir' kaa sukhnavaron ke qabile mein kis shumaar mein hai"
"mustaqbil ke khvaab sajaanaa mushkil hai ab yaadon se dil bahlaanaa mushkil hai jin galiyon mein yaar kaa daaman chhuTaa thaa un galiyon mein aanaa-jaanaa mushkil hai kuchh kirdaar nibhaae itni shiddat se meraa apne aap mein aanaa mushkil hai aavaazon se zakhm hue hain kuchh aise sannaaTon ko bhi sun paanaa mushkil hai aansu to chhup sakte hain is duniyaa se lekin dil ki aah chhupaanaa mushkil hai ghaflat ke jo lamhe zillat de jaaein un lamhon kaa bojh uThaanaa mushkil hai maqtal mein ik shart uThi thi tauba ki hans kar bolaa ik divaanaa mushkil hai is duniyaa mein sab kuchh aasaan hai 'kaafir' bas ik sachchaa ishq kamaanaa mushkil hai"
"ye zamin ye aasmaan ye kahkashaan kuchh bhi nahin sab fanaa ki qaid mein hain jaavedaan kuchh bhi nahin hai mire hi dur-uftaada kisi goshe mein hain vusat-e-kaunain huun main ye jahaan kuchh bhi nahin main baDi mushkil se samjhaa huun qazaa ke raaz ko barq-e-raqsaan ke muqaabil aashiyaan kuchh bhi nahin zindagi takhrib aur taa'mir kaa hi khel hai 'ilm vaalon ko jahaan ki gutthiyaan kuchh bhi nahin ai parindo in paron mein zarf to paidaa karo hasrat-e-parvaaz ko ye beDiyaan kuchh bhi nahin zahr bhi gar hikmatan lein to davaa ban jaaegaa is jahaan mein dekhiye to raaegaan kuchh bhi nahin yaar ki galiyon mein ghunghru baandh kar bhi naach luun 'ishq mein 'kaafir' miri khuddaariyaan kuchh bhi nahin"
More on Zindagi
View all →"vo mujhe zindagi bataataa hai phir bhalaa kyon nazar churaataa hai main usi ko uThaa rahaa thaa par vo mujhe hi faqat giraataa hai yaad us ko kiyaa yahaan main ne par mujhe vo vahaan bhulaataa hai raaz saare bataa diye main ne kyon magar raaz vo chhupaataa hai log masruf hain mohabbat mein aur vo dil miraa dukhaataa hai"
"zindagi bojhal hui aazaar se jism jhuktaa jaa rahaa hai baar se doston ne is qadar dhoke diye aur raghbat baDh gai aghyaar se zindagi kaa ik nayaa imkaan huaa ik daricha khul gayaa divaar se ab bayaan kaise karun rudaad-e-gham kaam mushkil hai dil-e-naa-chaar se hijr ki raaton mein bahtaa hi rahaa ek naala chashm-e-dariyaa-baar se misl-e-majnun regzaaron mein rahe sar paTakte ret ki divaar se ham asiraan-e-mohabbat hain yahaan uljhe hain ab gesu-e-khamdaar se 'qalb' teri ghazlein yuun shaadaan karein dard nikle hai tire ashaar se"
"is ishq-e-junun-khez mein kyaa kyaa nahin hotaa divaana hai jo qais se lailaa nahin hotaa kuchh hashr lahad par abhi barpaa nahin hotaa aae ho to Thahro koi zinda nahin hotaa kyuun kar ye kahun husn kaa nashsha nahin hotaa hotaa to bahut hai magar itnaa nahin hotaa kuchh kahiye to sharmaa ke jhukaa lete hain gardan bhule se bhi ab vaada-e-fardaa nahin hotaa milte hain vo dil surkh hui jaati hai chuTki naazuk hain bahut khun-e-tamannaa nahin hotaa deti hai mazaa mai kaa hamein talkhi-e-tauba jab haath mein paimaana-e-sahbaa nahin hotaa vo hashr ke din kushte ko Thukraa chuke sau-baar kuchh jaan si paD jaati hai zinda nahin hotaa boli ye tamannaa jo ruke vo dar-e-dil par ghar aap kaa hai aap se pardaa nahin hotaa tiron ko jagah dete hain jo siine mein apne un logon ke ai jaan kaleja nahin hotaa sahraa se qadam ghar ki taraf khaak uThaaun kaanTe se judaa paanv kaa chhaalaa nahin hotaa baiThe nazar aate hain vahi teri gali mein jin kaa kahin duniyaa mein Thikaanaa nahin hotaa furqat mein hai kyuun nazaa ki taklif gavaaraa mar jaaein 'riyaaz' aap se itnaa nahin hotaa"
"jis din se meraa khvaab suhaanaa badal gayaa us din se zindagi kaa fasaana badal gayaa sunne lagaa huun jab se nasihat baDon ki main jaari thaa jo labon pe taraana badal gayaa pahchaan kaa havaala bhi baaqi nahin rahaa chehre ke saath aaina-khaana badal gayaa uThti nahin hai aankh bhi ab aasmaan ki samt jab se gali kaa chaand puraanaa badal gayaa tahzib jin ke ghar ki 'alaamat thi kal talak afsos aaj un kaa gharaanaa badal gayaa 'azmat kaa taaj sar pe hai 'akhilesh' ke sajaa aisi havaa chali ki zamaana badal gayaa itni sharaafaton mein kami aa gai hai aaj pahle thaa jo libaas puraanaa badal gayaa ahl-e-vafaa ne jis ki thi taarikh ki raqam 'faaruq' 'ishq kaa vo fasaana badal gayaa"
"jab tak mizaaj-e-dost mein kuchh barhami rahi goyaa bujhi bujhi si miri zindagi rahi jis par nigaah-e-lutf-e-karam aap ki rahi hairat se har nigaah use dekhti rahi go main rahaa kashaakash-e-dauraan se ham-kanaar lekin mire labon pe hansi khelti rahi laayaa hai ishq ne mujhe aise maqaam par khud-aagahi rahi na khudaa-aagahi rahi josh-e-junun ne manzil-e-maqsud paa liyaa aql-e-salim dekhti hi dekhti rahi sab kuchh mujhe 'khayaal' ki duniyaa mein mil gayaa lekin tumhaare husn-e-nazar ki kami rahi"
"aaina toD de rihaa kar de bevafaa ik yahi vafaa kar de rishta-e-dard toD de dil se rang ko phuul se judaa kar de zindagi-bhar tujhi ko chaahaa hai qarz kuchh to miraa adaa kar de de rahaa hai zakaat-e-husn agar mire haq se zaraa baDhaa kar de muddatein ho gaiin tujhe dekhe ab to milne kaa silsila kar de phir koi gul khile sar-e-mizhgaan phir dar-e-khvaab koi vaa kar de ik sitaare ko bakhsh kar mire khvaab phir use meraa aaina kar de baiThtaa jaa rahaa hai jaan kaa ghubaar ab use mujh se maavaraa kar de ai faqir-e-dayaar-e-laili-jaan mire haq mein bhi kuchh duaa kar de"