Ghazal
The lyric art form of Urdu poetry — every sher a universe of longing, love, and philosophy
Featured Poets
All Poets →Trending Ghazals
Kishan Kumaar Waqaar
aariz se tire bahaar maqsud
hai khat se ba-naqsha-zaar maqsud
uD uD ke ghubaar-e-aashiq aayaa
kucha mein jo thaa mazaar maqsud
· · ·
Kishan Kumaar Waqaar
dilon par ye naqsh us ne apnaa biThaayaa
ki jo choT par said aayaa biThaayaa
misaal-e-kabutar mire dil ko us ne
bhagaayaa bulaayaa uThaayaa biThaayaa
· · ·
Kishan Kumaar Waqaar
aashiqi mein hai jaan kaa khaTkaa
aur bhi kuchh buraa bhalaa khaTkaa
yaar sayyaad baaghbaan kaa huaa
ye nayaa aur ik bandhaa khaTkaa
· · ·
Kishan Kumaar Waqaar
vo mizha maarti kaTaari hai
chashm-e-baddur zakhm kaari hai
aankhein chamkaa gayaa vo barq-aasaa
dil miraa vaqf-e-be-qaraari hai
· · ·
Kishan Kumaar Waqaar
ishq hai us zulf kaa sartaaj aaj
hai rasul-e-husn ki mearaaj aaj
nok-e-mizhgaan par nahin hai lakht-e-dil
daar par khinchaa gayaa hallaaj aaj
· · ·
Kishan Kumaar Waqaar
shoaraa mein na ho kyuun sher hamaaraa unchaa
ki qad-e-yaar kaa mazmun hai baandhaa unchaa
naaz ki nashv-o-numaa hai ki hai joban kaa ubhaar
varna kyaa hai tire siine pe ye unchaa unchaa
· · ·
Kishan Kumaar Waqaar
hai hai koi dil dene ke qaabil nahin miltaa
armaan taDapte hain ki qaatil nahin miltaa
ho aql to ho til ki jagah aankh mein laili
jhak qais ki hai saahib-e-mahmil nahin miltaa
· · ·
Kishan Kumaar Waqaar
chashm-e-khunbaar mein kyuun lakht-e-jigar jamaa karein
ghuncha-e-gul ki tarah kaa hai ko zar jamaa karein
qatl ke baad huaa hukm ki laashein uTh jaaein
qaid-e-tafriq se maqtulon ke sar jamaa karein
· · ·
Kishan Kumaar Waqaar
husn-e-surat mein garche buud nahin
par kahaan ishq ki numud nahin
nisti jalva-gar hai hasti mein
kuchh adam kaa mire vajud nahin
· · ·
Kishan Kumaar Waqaar
vo but bol uTThe kisi baat mein
khudaa se ye maangaa munaajaat mein
Tapaktaa bahut khaana-e-chashm hai
makaan baiTh jaataa hai barsaat mein
· · ·
Kishan Kumaar Waqaar
chor darvaaza yaan ke ham bhi hain
in ko rauzan se jhaanke ham bhi hain
jo adam ko vajud se hain gae
gard us kaarvaan ke ham bhi hain
· · ·
Kishan Kumaar Waqaar
baagh-e-ulfat mein gul jo khud-rav hai
khun-e-bulbul kaa rang hai bu hai
aashiq-e-jaan fidaa-e-abru hai
jo mah-e-id sar-ba-zaanu hai
· · ·
Kishan Kumaar Waqaar
dosto haal-e-dil-e-zaar zaraa us se kaho
kam na ho is mein zaraa balki sivaa us se kaho
baat ghaD kar na koi bahr-e-khudaa us se kaho
jitnaa main munh se kahun meraa kahaa us se kaho
· · ·
Kishan Kumaar Waqaar
murgh-e-jaan ko zulf-e-pechaan jaal hai
jaal kyaa ai jaan-e-jaan janjaal hai
aao haazir sar pae paamaal hai
jaan lab par bahr-e-istiqbaal hai
· · ·
Kishan Kumaar Waqaar
rahtaa hai mere dil mein tiraa nuur raat din
ik shoala barq-zan hai sar-e-tur raat din
maanind mehr-o-maah hasinon mein hai firaaq
kyuun ek ek se na rahe duur raat din
· · ·
Kishan Kumaar Waqaar
dekh kar mai munh mein paani shaikh ke bhar aaegaa
chiiz achchhi dekhegaa muflis kaa ji lalchaaegaa
shoala bhaDkaa kar rahegi ye dabi aag ek din
gar vo ThanDi garmiyon se dil miraa sulgaaegaa
· · ·
Kishan Kumaar Waqaar
tiri ai shaah-e-khubaan ho balaa chaT
vo bosa de ki ho jis ki sadaa chaT
munDaa kar khatt-e-rukh us mah-laqaa ne
kiyaa hai aaine kaa ghar safaa-chaT
· · ·
Kishan Kumaar Waqaar
main paa-shikasta kahaan tifl-e-nai savaar kahaan
phir us ki gard kahaan aur miraa ghubaar kahaan
tumhaare vasl se Thahregaa ye dil-e-be-taab
baghair aaina simaab ko qaraar kahaan
· · ·
Kishan Kumaar Waqaar
kabhi ai ashk-e-tar aankhon se Dhal paD
kabhi ai aah-e-dil munh se nikal paD
na ai paa-e-tasavvur itnaa shal paD
kabhi tu laa-makaan se aage chal paD
· · ·
Kishan Kumaar Waqaar
us ki divaar kaa jo rauzan hai
khur kaa chashm-o-charaag raushan hai
lutf-e-mufrat se dost dushman hai
baarish-e-besh barq-e-khirman hai
· · ·
Kishan Kumaar Waqaar
gaah bismil huun gahe takbir huun
apni main tadbir kaa taqdir huun
mere dam se hai junun ki aabru
paasbaan-e-khaana-e-zanjir huun
· · ·
Kishan Kumaar Waqaar
soz se saaz kiyaa chaahiye ab
nai se aavaaz kiyaa chaahiye ab
khaa ke tir-e-nigah-e-naaz us ko
qadr-andaaz kiyaa chaahiye ab
· · ·
Kishan Kumaar Waqaar
qais vo naatavaan-e-sahraa hai
kaalbud nistaan-e-sahraa hai
aatish-e-ishq se hai siina garm
jalva-e-barq jaan-e-sahraa hai
· · ·
Kishan Kumaar Waqaar
mubtalaa ek but kaa hotaa huun
aaj imaan apnaa khotaa huun
tegh-e-abru ke tiir 'ishq mein yaar
jaan se apni haath dhotaa huun
· · ·







