SHAWORDS

dilon par ye naqsh us ne apnaa biThaayaa — Kishan Kumaar Waqaar

"dilon par ye naqsh us ne apnaa biThaayaa ki jo choT par said aayaa biThaayaa misaal-e-kabutar mire dil ko us ne bhagaayaa bulaayaa uThaayaa biThaayaa tire aatishin husn ne shama ko shab khapaayaa jalaayaa galaayaa biThaayaa uThaayaa usi gham ne duniyaa se pyaare kabhi tum ne ham ko na tanhaa biThaayaa samajh teri ulTi hai ai jaan-e-aalam ki apnaa uThaayaa paraayaa biThaayaa na bole lahad mein bhi ham Dar se tere farishton ne kitnaa jagaayaa biThaayaa gayaa koThe par vo ye ki mah ne azmat ki ujlaa bichhaunaa bichhaayaa biThaayaa ye vo qais hai khaas shaagird meraa pakaD kaan jis ko uThaayaa biThaayaa 'vaqaar' is ghazal ki zamin had buri thi bahut zor de kar biThaayaa biThaayaa"
Urdu

دلوں پر یہ نقش اس نے اپنا بٹھایا کہ جو چوٹ پر صید آیا بٹھایا مثال‌ کبوتر مرے دل کو اس نے بھگایا بلایا اٹھایا بٹھایا ترے آتشیں حسن نے شمع کو شب کھپایا جلایا گلایا بٹھایا اٹھایا اسی غم نے دنیا سے پیارے کبھی تم نے ہم کو نہ تنہا بٹھایا سمجھ تیری الٹی ہے اے جان عالم کہ اپنا اٹھایا پرایا بٹھایا نہ بولے لحد میں بھی ہم ڈر سے تیرے فرشتوں نے کتنا جگایا بٹھایا گیا کوٹھے پر وہ یہ کی مہ نے عظمت کہ اجلا بچھونا بچھایا بٹھایا یہ وہ قیس ہے خاص شاگرد میرا پکڑ کان جس کو اٹھایا بٹھایا وقارؔ اس غزل کی زمیں حد بری تھی بہت زور دے کر بٹھایا بٹھایا

Hindi

दिलों पर ये नक़्श उस ने अपना बिठाया कि जो चोट पर सैद आया बिठाया मिसाल-ए-कबूतर मिरे दिल को उस ने भगाया बुलाया उठाया बिठाया तिरे आतिशीं हुस्न ने शम्अ को शब खपाया जलाया गलाया बिठाया उठाया उसी ग़म ने दुनिया से प्यारे कभी तुम ने हम को न तन्हा बिठाया समझ तेरी उल्टी है ऐ जान-ए-आलम कि अपना उठाया पराया बिठाया न बोले लहद में भी हम डर से तेरे फ़रिश्तों ने कितना जगाया बिठाया गया कोठे पर वो ये की मह ने अज़्मत कि उजला बिछौना बिछाया बिठाया ये वो क़ैस है ख़ास शागिर्द मेरा पकड़ कान जिस को उठाया बिठाया 'वक़ार' इस ग़ज़ल की ज़मीं हद बुरी थी बहुत ज़ोर दे कर बिठाया बिठाया

diloñ par ye naqsh us ne apnā biThāyā
K
Kishan Kumaar Waqaar
Kishan Kumaar Waqaar
poet67 quotes

More by Kishan Kumaar Waqaar

View all →
Quote
"aashiqi mein hai jaan kaa khaTkaa aur bhi kuchh buraa bhalaa khaTkaa yaar sayyaad baaghbaan kaa huaa ye nayaa aur ik bandhaa khaTkaa kaan aahaT ki raah se na haTe dil mein thaa kis ke aane kaa khaTkaa vahi kaavish mizha ne ki aakhir jis kaa avval se dil mein thaa khaTkaa bulbul-e-paak-bin hai aashiq-e-gul baaghbaan tu na khaTkhaTaa khaTkaa be tire yaar sair-e-gulshan mein phuul aankhon mein khaar saa khaTkaa tujh ko dekhaa uThaa uThaa kar sar saans kaa bhi agar huaa khaTkaa ishq ke hain 'vaqaar' chaar unsur khauf andesha-o-daghaa khaTkaa"
K
Kishan Kumaar Waqaar
Quote
"ishq hai us zulf kaa sartaaj aaj hai rasul-e-husn ki mearaaj aaj nok-e-mizhgaan par nahin hai lakht-e-dil daar par khinchaa gayaa hallaaj aaj tark chashm-e-yaar ke tevar hain aur khirman-e-taaqat kaa hai taaraaj aaj tegh-e-abru kal paDi dil par mire tiir mizhgaan kaa huaa aamaaj aaj chuse hain us ke misi aaluda-lab main ne nilam kaa kiyaa pokhraaj aaj vasl ki marzi thi kal us shokh ki phir gayaa vo vaqt-e-istimzaaj aaj likkhaa hai jo vasf abru kaa 'vaqaar' sher-sheari se na le kyuun baaj aaj"
K
Kishan Kumaar Waqaar
Quote
"shoaraa mein na ho kyuun sher hamaaraa unchaa ki qad-e-yaar kaa mazmun hai baandhaa unchaa naaz ki nashv-o-numaa hai ki hai joban kaa ubhaar varna kyaa hai tire siine pe ye unchaa unchaa dil musaafir hai safar shab kaa phir is par turra kucha-e-zulf mein hai har jagah nichaa unchaa ai adab khaar ki taazim hai nichaa rahnaa haan kahin ho na sar-e-aabla-e-paa unchaa zulf hai past jo gesu se to ye kaakul se chau-gune martaba mein is se hai turra unchaa chashm-e-bad-dur buland ashk hai sar se ik haath ghair mumkin hai zamin se bahe dariyaa unchaa kyuun 'vaqaar' apnaa galaa pir-o-javaan phaaDte hain pir-e-kohna hai falak had se hai suntaa unchaa"
K
Kishan Kumaar Waqaar
Quote
"hai hai koi dil dene ke qaabil nahin miltaa armaan taDapte hain ki qaatil nahin miltaa ho aql to ho til ki jagah aankh mein laili jhak qais ki hai saahib-e-mahmil nahin miltaa gul ki tire rukhsaar se rangat nahin milti naale se mire shor-e-anaadil nahin miltaa apnaa bhi to miltaa nahin dil mujh se phir ai yaar kis munh se kahun tujh se tiraa dil nahin miltaa bosa nahin dete hain shab-e-vasl mein bhi aap mazrua-e-umid kaa haasil nahin miltaa miltaa nahin aariz se tire mehr-e-darakhshaan peshaani se teri mah-e-kaamil nahin miltaa chamke na 'vaqaar' aage rukh-e-yaar ke khurshid samjhe rahe haq se kabhi baatil nahin miltaa yaarab tamkin dahr mein qaatil nahin miltaa phike kisi dilbar se miraa dil nahin miltaa vo ishq kaa dariyaa hai ki ilyaas ko jis kaa kahne ko pae naam bhi saahil nahin miltaa maujud hai filfil mujhe gham is kaa nahin hai gar dekhne ko rukh kaa tire til nahin miltaa mashq-e-sitam-o-jor kaa chaurang huun is se aashiq koi mujh saa unhein be-dil nahin miltaa ashaar 'vaqaar' aisi ghazal main kahun kyaa khaak mushkil to ye hai qaafiya mushkil nahin miltaa"
K
Kishan Kumaar Waqaar

More on Dil

View all →
Quote
"is ishq-e-junun-khez mein kyaa kyaa nahin hotaa divaana hai jo qais se lailaa nahin hotaa kuchh hashr lahad par abhi barpaa nahin hotaa aae ho to Thahro koi zinda nahin hotaa kyuun kar ye kahun husn kaa nashsha nahin hotaa hotaa to bahut hai magar itnaa nahin hotaa kuchh kahiye to sharmaa ke jhukaa lete hain gardan bhule se bhi ab vaada-e-fardaa nahin hotaa milte hain vo dil surkh hui jaati hai chuTki naazuk hain bahut khun-e-tamannaa nahin hotaa deti hai mazaa mai kaa hamein talkhi-e-tauba jab haath mein paimaana-e-sahbaa nahin hotaa vo hashr ke din kushte ko Thukraa chuke sau-baar kuchh jaan si paD jaati hai zinda nahin hotaa boli ye tamannaa jo ruke vo dar-e-dil par ghar aap kaa hai aap se pardaa nahin hotaa tiron ko jagah dete hain jo siine mein apne un logon ke ai jaan kaleja nahin hotaa sahraa se qadam ghar ki taraf khaak uThaaun kaanTe se judaa paanv kaa chhaalaa nahin hotaa baiThe nazar aate hain vahi teri gali mein jin kaa kahin duniyaa mein Thikaanaa nahin hotaa furqat mein hai kyuun nazaa ki taklif gavaaraa mar jaaein 'riyaaz' aap se itnaa nahin hotaa"
Riyaz KhairabadiRiyaz Khairabadi
Quote
"muzhda ai zauq-e-asiri ki nazar aataa hai daam-e-khaali qafas-e-murgh-e-giraftaar ke paas jigar-e-tishna-e-aazaar tasalli na huaa ju-e-khun ham ne bahaai bun-e-har khaar ke paas mund gaiin kholte hi kholte aankhein hai hai khuub vaqt aae tum is 'aashiq-e-bimaar ke paas main bhi ruk ruk ke na martaa jo zabaan ke badle dashna ik tez saa hotaa mire gham-khvaar ke paas dahan-e-sher mein jaa baiThe lekin ai dil na khaDe ho jiye khubaan-e-dil-aazaar ke paas dekh kar tujh ko chaman bas-ki numu kartaa hai khud-ba-khud pahunche hai gul gosha-e-dastaar ke paas mar gayaa phoD ke sar 'ghaalib'-e-vahshi hai hai baiThnaa us kaa vo aa kar tiri divaar ke paas kab faqiron ko rasaai bu-e-mai-khvaar ke paas to bane bu dijiye maikhaane ki divaar ke paas"
Mirza GhalibMirza Ghalib
Quote
"ajab mushkil ki dil kaa haal aisaa ho gayaa hai sabhi ab puchhte hain mujh se ye kyaa ho gayaa hai main ye samjhaa ki gham kaa ab mudaavaa ho gayaa hai kuredaa zakhm to ye aur taaza ho gayaa hai kabhi fursat mile to khud se main baatein karungaa mujhe khud se mile bhi to zamaana ho gayaa hai magar ab sochtaa huun toD duun saare maraasim magar dil bhi tire gham se shanaasaa ho gayaa hai miri barbaad hasti kaa nazaara dekhne ko vo aae aur gham mein phir izaafa ho gayaa hai isi dariyaa mein ab khud ko Dubonaa chaahtaa huun ki is dil kaa talaatum mein kinaare ho gayaa hai chalo bhi 'qalb' ab tum dusraa dekho Thikaanaa ki is basti mein apnaa sab paraayaa ho gayaa hai"
Anees QalbAnees Qalb
Quote
"dil shaad nahin karte aabaad nahin karte mahsus ye hotaa hai vo yaad nahin karte naashaad zamaane ke dil shaad nahin karte kam-aql parindon ko aazaad nahin karte mohtaaj-e-karam aksar rahte hain gharibon ke jo log gharibon ki imdaad nahin karte kuchh log shikaayat ko haq apnaa samajhte hain kuchh log kabhi tum se fariyaad nahin karte ham apne iraadon mein rakhte hain tavaanaai ham daad ke taalib ko bedaad nahin karte jo aap ki niyyat kaa kuchh ilm hamein hotaa ham apni mohabbat ko barbaad nahin karte is daur-e-siyaasat mein 'mahmud' qayaamat hai ahbaab jo karte hain jallaad nahin karte"
Mahmood NashtariMahmood Nashtari
Quote
"kahe detaa huun go hai to nahin ye baat kahne ki tiri khvaahish nahin dil mein ziyaada der rahne ki bachaa kar dil guzartaa jaa rahaa huun har ta’alluq se kahaan us aable ko taab hai ab choT sahne ki rag-o-pai mein na hangaama kare to kyaa kare aakhir ijaazat jab nahin is ranj ko aankhon se bahne ki bas apni apni tarjihaat apni apni khvaahish hai tujhe shohrat kamaane ki mujhe ik she'r kahne ki jahaan kaa huun vahin ki raas aaegi fazaa mujh ko ye duniyaa bhi bhalaa koi jagah hai mere rahne ki jo kal 'irfaan' par guzri sunaa kuchh us ke baare mein khabar tum ne suni tufaan mein dariyaa ke bahne ki"
Irfan SattarIrfan Sattar
Quote
"bahr-e-rang-e-daastaan rahne diyaa ik tajassus darmiyaan rahne diyaa ab zamin ban kar bichhaa jaataa hai vo main ne jis ko aasmaan rahne diyaa raushni aur khvaab saare hech the apni aankhon mein dhuaan rahne diyaa vo jagah raushan nahin hogi kabhi is mohabbat ko jahaan rahne diyaa maan ne maathaa chuum kar rukhsat kiyaa maamtaa kaa saaebaan rahne diyaa kul milaa ke ye hai raaz-e-tishnagi ham ne dil ko sargiraan rahne diyaa khud hami paamaal Thahre shauq se khush-gumaan ko khush-gumaan rahne diyaa"
Bushra MasuudBushra Masuud