Ghazal
The lyric art form of Urdu poetry — every sher a universe of longing, love, and philosophy
Featured Poets
All Poets →Trending Ghazals
Kuber Kaafir
kaise dayaar kaise makaanon mein aa gayaa
sukhe hue darakhton ke saayon mein aa gayaa
jab laam miim nuun radifon mein aa gayaa
ik mukhtalif saa zaaiqa ghazlon mein aa gayaa
· · ·
Kuber Kaafir
ehsaas ki divaar uThaane se rahaa main
afsos use apnaa banaane se rahaa main
ab to isi riste se guzarnaa hi paDegaa
rasta to nayaa koi banaane se rahaa main
· · ·
Kuber Kaafir
shajar usulon ke saare jalaa diye ham ne
nishaan sharm-o-hayaa ke miTaa diye ham ne
nayaa zamaana nai nasl ke nae bachche
inhein bhi khvaab puraane dikhaa diye ham ne
· · ·
Kuber Kaafir
tan kiye taar-taar phulon ke
kaise the gham-gusaar phulon ke
khauf kaanTon kaa bhi nahin thaa jinhein
ho gae vo shikaar phulon ke
· · ·
Kuber Kaafir
zaalim ko sar-phiraa na kahein aur kyaa kahein
us ko buraa-bhalaa na kahein aur kyaa kahein
piitaa hai phunk phunk ke chaahat ki chhaachh vo
ab duudh kaa jalaa na kahein aur kyaa kahein
· · ·
Kuber Kaafir
raushni meri nigaahon ki baDhaa di jaae
ik jhalak surat-e-jaanaan jo dikhaa di jaae
zinat-e-husn nahin ruuTh ke jaane vaali
un ki tasvir agar dil mein lagaa di jaae
· · ·
Kuber Kaafir
be-khauf fazaaon kaa vo manzar nahin dekhaa
muddat hui aankhon ne kabutar nahin dekhaa
sahraa ke bhi daaman mein khilaa karte hain kuchh phuul
us ne kabhi rukh apnaa badal kar nahin dekhaa
· · ·
Kuber Kaafir
bikhar gayaa jo zamin par makaan miTTi kaa
lo aaj khatm huaa sab gumaan miTTi kaa
kamaal-e-husn tujhe khaak honaa hai ik din
gumaan itnaa na kar meri jaan miTTi kaa
· · ·
Kuber Kaafir
mauj-e-dariyaa se nikaalaa hai baDi mushkil se
kashti-e-jaan ko bachaayaa hai baDi mushkil se
kitne mausam ke 'azaabon se chaman guzraa hai
phuul tab shaakh pe aayaa hai baDi mushkil se
· · ·
Kuber Kaafir
miri samt tir-e-nazar vo chalaa hai
dil-e-muztarib pe nishaana lagaa hai
abhi hai giri barq-e-gham mere dil par
abhi dasht-e-tanhaai kaa silsila hai
· · ·







