Ghazal
The lyric art form of Urdu poetry — every sher a universe of longing, love, and philosophy
Featured Poets
All Poets →Trending Ghazals
Mariyam Fatima
ab ki bezaar hi lauT aae hain gulzaaron se
rang hi le gayaa koi mere nazzaaron se
ab ye aalam hai sunaate hue Darte hain naved
baanT lete the kabhi dard bhi ham yaaron se
· · ·
Mariyam Fatima
zindagi kaa koi sahaaraa ho
ham kisi ke koi hamaaraa ho
teri aavaaz sun ke lagtaa hai
jaise tanhaai ne pukaaraa ho
· · ·
Mariyam Fatima
un kaa jaanaa to ik bahaanaa thaa
maut ko yuun bhi jald aanaa thaa
be-khudi mein use bataa baiThe
raaz jo khud se bhi chhupaanaa thaa
· · ·
Mariyam Fatima
vo dil nahin rahaa vo mohabbat nahin rahi
ab zindagi se koi shikaayat nahin rahi
is baar koi zakhm bhi gahraa nahin lagaa
mujh par sitamgaron ki inaayat nahin rahi
· · ·
Mariyam Fatima
ab tak kahin tu fikr mein aabaad hi na ho
ye iztiraab-e-qalb tiri yaad hi na ho
dhokaa na ho tumhaari nazar kaa ai bismilo
hamdard jo banaa hai vo sayyaad hi na ho
· · ·
Mariyam Fatima
dushvaari-e-manzil se dushvaar na ho jaaein
ham apne hi raste ki divaar na ho jaaein
zakhmon pe na bhaari ho ye chaaragari teri
achchhe bhi tire haathon bimaar na ho jaaein
· · ·
Mariyam Fatima
kis ko aavaaz lagaataa hai bayaabaanon mein
dil-e-naadaan nahin rahtaa koi viraanon mein
mauj-dar-mauj hi guzri hai yahaan umr apni
ham ne saahil nahin DhunDhaa kabhi tufaanon mein
· · ·
Mariyam Fatima
yaa-ilaahi mujhe vo tarz-e-lisaani mil jaae
qabl-e-guftaar mire lafz ko maani mil jaae
tu ne kitnon ke safinon ko kinaare bakhshe
meri kashti ko bhi ai bahr ravaani mil jaae
· · ·
Mariyam Fatima
kaarvaan der se tayyaar hai jaane ke liye
ham hi baiThe hain koi sog manaane ke liye
ye to ab khatm hui yaad hi karte karte
dusri 'umr mile tujh ko bhulaane ke liye
· · ·
Mariyam Fatima
khud ke saae se bhi hairaan nazar aataa hai
apne ghar mein bhi vo mehmaan nazar aataa hai
kis kaa chehra hai jo be-saakhta hotaa hai ayaan
khvaab bhi aankh mein hairaan nazar aataa hai
· · ·
Mariyam Fatima
dhundli dhundli yaadon mein ik raushan raushan chehra hai
jaanaa-pahchaanaa lagtaa hai shaayad koi apnaa hai
bikhre bikhre lamhon mein ik aisaa bhi to lamha hai
girte girte raste par jab us ne mujh ko thaamaa hai
· · ·







