SHAWORDS

un kaa jaanaa to ik bahaanaa thaa — Mariyam Fatima

HomeMariyam FatimaGhazal
"un kaa jaanaa to ik bahaanaa thaa maut ko yuun bhi jald aanaa thaa be-khudi mein use bataa baiThe raaz jo khud se bhi chhupaanaa thaa kyon na aate khushi khushi taair daam mein muft aab-o-daana thaa dil tujhe kyon sukun nahin paDtaa kyaa abhi aur kuchh luTaanaa thaa sakht ik marhala thi yaad tiri aur us par tujhe bhulaanaa thaa talkh har baat sach nahin hoti un kaa maqsad to dil dukhaanaa thaa aur bhi khvaahishein thiin duniyaa mein dil kahin aur lag hi jaanaa thaa"
Urdu

ان کا جانا تو اک بہانا تھا موت کو یوں بھی جلد آنا تھا بے خودی میں اسے بتا بیٹھے راز جو خود سے بھی چھپانا تھا کیوں نہ آتے خوشی خوشی طائر دام میں مفت آب و دانہ تھا دل تجھے کیوں سکوں نہیں پڑتا کیا ابھی اور کچھ لٹانا تھا سخت اک مرحلہ تھی یاد تری اور اس پر تجھے بھلانا تھا تلخ ہر بات سچ نہیں ہوتی ان کا مقصد تو دل دکھانا تھا اور بھی خواہشیں تھیں دنیا میں دل کہیں اور لگ ہی جانا تھا

Hindi

उन का जाना तो इक बहाना था मौत को यूँ भी जल्द आना था बे-ख़ुदी में उसे बता बैठे राज़ जो ख़ुद से भी छुपाना था क्यों न आते ख़ुशी ख़ुशी ताइर दाम में मुफ़्त आब-ओ-दाना था दिल तुझे क्यों सुकूँ नहीं पड़ता क्या अभी और कुछ लुटाना था सख़्त इक मरहला थी याद तिरी और उस पर तुझे भुलाना था तल्ख़ हर बात सच नहीं होती उन का मक़्सद तो दिल दुखाना था और भी ख़्वाहिशें थीं दुनिया में दिल कहीं और लग ही जाना था

un kā jaanā to ik bahānā thā
Mariyam Fatima
Mariyam Fatima
Mariyam Fatima
poet11 quotes

More by Mariyam Fatima

View all →
Quote
"ab ki bezaar hi lauT aae hain gulzaaron se rang hi le gayaa koi mere nazzaaron se ab ye aalam hai sunaate hue Darte hain naved baanT lete the kabhi dard bhi ham yaaron se khud ko phir kis liye batlaayaa thaa chaara-farmaa itnaa parhez agar thaa tujhe bimaaron se havas-e-gul ne ujaaDaa thaa hamaaraa gulshan haae bekaar ulajhte rahe ham khaaron se raaste aur bhi manzil ki taraf jaate the ham magar sar hi laDaate rahe divaaron se aate aate mire dil ko bhi sukun aa jaataa na kahaa hotaa kabhi haal jo gham-khvaaron se"
Mariyam FatimaMariyam Fatima
Quote
"zindagi kaa koi sahaaraa ho ham kisi ke koi hamaaraa ho teri aavaaz sun ke lagtaa hai jaise tanhaai ne pukaaraa ho baat jab bhi ho chaand taaron ki teri aankhon kaa istiaaraa ho raat jab aankh mein utar aai kis tarah subh kaa nazaaraa ho dil kahin aur lag hi jaaegaa ik isi gham pe kyaa guzaaraa ho ghaib kaa ilm to nahin mujh ko na hon alfaaz to ishaara ho de diyaa hai to ye bhi batlaa do kis tarah dard ye gavaara ho der se muntazir musaafir hai ab darakhshaan koi sitaaraa ho main to dariyaa-e-pur-talaatum huun tum to mahfuz ik kinaaraa ho sang-dil kuchh to de gumaan ko mire na ho shoala to ik sharaara ho"
Mariyam FatimaMariyam Fatima
Quote
"vo dil nahin rahaa vo mohabbat nahin rahi ab zindagi se koi shikaayat nahin rahi is baar koi zakhm bhi gahraa nahin lagaa mujh par sitamgaron ki inaayat nahin rahi jaaein kahaan sameT ke apni udaasiyaan kahte the ghar jise vo imaarat nahin rahi ik dam se un ki yaad gai to nahin magar ab fikr mein vo pahle si kasrat nahin rahi aansu hi ponchhtaa yaa mire zakhm chumtaa itni bhi ab ke yaar ko fursat nahin rahi mahfil hai hasraton ki khayaalon kaa hai hujum tanhaai mein bhi ab koi khalvat nahin rahi shaayad mujhe bhi ab ke vo kuchh meherbaan lagaa shaayad use bhi mujh se shikaayat nahin rahi kahte hain ab ke deinge har ik baat kaa javaab mujh mein hi jab savaal ki taaqat nahin rahi marne ne mere sab ko farishta banaa diyaa dushman ke bhi dilon mein kudurat nahin rahi pahle to lutf-e-shiddat-e-gham ki khushi rahi phir yuun huaa ke gham mein bhi shiddat nahin rahi kahte ke jaa khudaa ki amaan mein diyaa tujhe vaqt-e-judaai itni bhi mohlat nahin rahi"
Mariyam FatimaMariyam Fatima
Quote
"dushvaari-e-manzil se dushvaar na ho jaaein ham apne hi raste ki divaar na ho jaaein zakhmon pe na bhaari ho ye chaaragari teri achchhe bhi tire haathon bimaar na ho jaaein maangi na duaa ham ne ye soch bahaaron ki gulshan kahin auron ke gulzaar na ho jaaein ik aur taqaazaa hai hamraah chalo mere Dar ye bhi hai dil mein ham tayyaar na ho jaaein ye saans kaa aa jaanaa ye dil kaa dhaDak uThnaa ye kaam bhi kal ham ko dushvaar na ho jaaein taariki-e-shab se ab kuchh duur saveraa hai bas subh se pahle ham bedaar na ho jaaein manzil ko dikhaane hain pairon ke abhi chhaale allaah kahin raste hamvaar na ho jaaein hai zer-e-nazar saahil khaamosh hai tufaan bhi is baar kahin dariyaa ham paar na ho jaaein"
Mariyam FatimaMariyam Fatima
Quote
"kis ko aavaaz lagaataa hai bayaabaanon mein dil-e-naadaan nahin rahtaa koi viraanon mein mauj-dar-mauj hi guzri hai yahaan umr apni ham ne saahil nahin DhunDhaa kabhi tufaanon mein lailaa majnun ki kahaani ho ke farhaad kaa gham qissa apnaa hi hai mumtaaz sab afsaanon mein thartharaati hai jo rah rah ke ye shama-e-sahari ik talaatum saa bapaa rahtaa hai parvaanon mein dast-e-khvaahish ne diyaa kyaa mujhe zakhmon ke sivaa par kami ab bhi nahin aai hai armaanon mein aai aazaad havaa ho gae bechain parind zikr sayyaad kaa phir chhiD gayaa zindaanon mein"
Mariyam FatimaMariyam Fatima

More on Sad

View all →
Quote
"phir khuun mein vahshat raqsaan hai tajdid sitam karne ke liye ik taaza zakhm ki khvaahish hai ik sadma kam karne ke liye ham din-bhar duniyaa-daari mein hans hans ke baatein karte hain phir saari raat pighalte hain ik ashk raqam karne ke liye vo vasl ki jis ne ham donon ko yaksar be-buniyaad kiyaa ab fursat hai aa mil baiThein us vasl kaa gham karne ke liye ik kaari zakhm ki chaahat ne kyaa kyaa na hamein gulzaar kiyaa ham kis kis se mansub hue ik hijr baham karne ke liye insaan ke jiine marne ke majburi ke mukhtaari ke ye saare khel zaruri hain taamir adam karne ke liye"
Irfan SattarIrfan Sattar
Quote
"chaand bhi khoyaa khoyaa saa hai taare bhi khvaabida hain aaj fazaa ke bojhal-pan se lahje bhi sanjida hain jaane kin kin logon se is dard ke kyaa kyaa rishte the hijr ki is aabaad saraa mein sab chehre naadida hain itne barson baad bhi donon kaise TuuT ke milte hain tu hai kitnaa saada-dil aur ham kitne pechida hain sun jaanaan ham tark-e-taalluq aur kisi din kar leinge aaj tujhe bhi ujlat si hai ham bhi kuchh ranjida hain kaanon mein ik sargoshi hai be-maani si sargoshi aankhon mein kuchh khvaab saje hain khvaab bhi umr-rasida hain ghar ki vo makhdush imaarat gir ke phir taamir hui ab aangan mein peD hain jitne saare shaakh burida hain is basti mein ek saDak hai jis se ham ko nafrat hai us ke niche pagDanDi hai jis ke ham girvida hain"
Irfan SattarIrfan Sattar
Quote
"raftagaan ki sadaa nahin main huun ye tiraa vaahima nahin main huun tere maazi ke saath dafn kahin meraa ik vaaqi'a nahin main huun kyaa milaa intihaa-pasandi se kyaa main tere sivaa nahin main huun ek muddat mein jaa ke mujh pe khulaa chaand hasrat-zada nahin main huun us ne mujh ko muhaal jaan liyaa main ye kahtaa rahaa nahin main huun main hi 'ujlat mein aa gayaa thaa idhar ye zamaana nayaa nahin main huun meri vahshat se Dar gae shaayad yaar baad-e-fanaa nahin main huun main tire saath rah gayaa huun kahin vaqt Thahraa huaa nahin main huun gaahe gaahe sukhan zaruri hai saamne aaina nahin main huun sarsari kyuun guzartaa hai mujh se ye miraa maajraa nahin main huun us ne puchhaa kahaan gayaa vo shakhs kyaa bataataa ki thaa nahin main huun ye kise dekhtaa hai mujh se udhar tere aage khalaa nahin main huun"
Irfan SattarIrfan Sattar
Quote
"dast-kash hon na mai-e-gul ke khush-aashaam abhi ki labaalab hain mah-o-mehr ke do-jaam abhi zehn mein saaqi hai mai-khaana hai hai jaam abhi hosh kahtaa huun ise hosh kaa kyaa kaam abhi mujh ko darkaar na hai kufr na islaam abhi sidhe sidhe hi chale aate hain paighaam abhi tu bhi baaqi tiri rahmat bhi hai baaqi saaqi rahne de hai mai-e-isyaan se baDaa kaam abhi khaal-o-gesu se hai ye silsila-e-raaz-o-niyaaz daana sad-daana ho ye daam ho sad-daam abhi ziist ke khvaab ki taabir abhi baaqi hai ibtidaa dekh chuke hai magar anjaam abhi rah-rav-e-ishq abhi duur hai mearaaj-e-habib rashk-e-manzil na huaa raah mein har gaam abhi zarra-zarra hai ik aatish-kada-e-nur kalim dekh agar tu na ho aatish-zada-e-baam abhi imtiyaaz-e-man-o-tu raaz-e-khafi hai lekin khaasgaan ke liye kahtaa huun sar-e-aam abhi aks ko zo'm hai be-misli-e-rang-o-bu kaa turfa ye hai ki muqaabil hai vo gulfaam abhi raaz-goi tiri 'aiman' hai gunaah-e-akbar maang le afv ki us kaa hai karam aam abhi"
A
Aiman Amritsari
Quote
"baad-e-shimaal chalne lagi ang ang mein lipTaa hai kaun mujh se ye patjhaD ke rang mein khvaahish ke kaarobaar se bachnaa muhaal hai utregaa tu bhi saath mire is surang mein main aandhiyon mein haath bhi pakDun tiraa to kyaa ik shaakh-e-be-siper huun havaaon ki jang mein 'raanjhaa' main 'ahd-e-nau kaa qabilon mein baT gayaa to 'hir' ban ke pi na saki zahr jhang mein garmaa sakin na chaahatein teraa kaThor jism har ek jal ke bujh gai tasvir sang mein aage 'musavvir' aag 'aqab mein hai ye sadaa pichhe na muD ke dekhnaa is dasht-e-sang mein"
Musavvir SabzwariMusavvir Sabzwari