Ghazal
The lyric art form of Urdu poetry — every sher a universe of longing, love, and philosophy
Featured Poets
All Poets →Trending Ghazals
Motee Ahmad Mujtaba
mujhe zabaan zarurat thi ik sadaa ke liye
koi na thaa mire ahbaab mein vafaa ke liye
main tere hijr mein hi mar gayaa thaa meri jaan
ye zindagi main jiyaa huun faqat sazaa ke liye
· · ·
Motee Ahmad Mujtaba
mil kar dil jab bad-dil hote jaate hain
tab din kaafi mushkil hote jaate hain
aa jaataa hai ham ko jiinaa bhi lekin
ham marne ke qaabil hote jaate hain
· · ·
Motee Ahmad Mujtaba
DhunDte ho dil-e-figaar mein kyaa
ho bhi saktaa hai is mazaar mein kyaa
lafz karte hain raqs chaaron taraf
likhtaa rahtaa huun main khumaar mein kyaa
· · ·
Motee Ahmad Mujtaba
ik mohabbat thi jo thi tartib mein
varna shai thi kab koi tartib mein
ham tujhe kaise banaate ham-safar
ham jiye the zindagi tartib mein
· · ·
Motee Ahmad Mujtaba
mujhe bulaayaa to thaa zindagi ne main na milaa
pukaaraa bhi thaa tiri dosti ne main na milaa
suraagh milne lagaa thaa qadim madfan kaa
zamin khol rahi thi khazine main na milaa
· · ·
Motee Ahmad Mujtaba
ik hasin dilkash mohabbat ham ne ki
yuun mukammal ik ibaadat ham ne ki
ain se hai qaaf tak kaa jo safar
is safar mein tai masaafat ham ne ki
· · ·
Motee Ahmad Mujtaba
ye dil machal gayaa to hamaaraa banegaa kyaa
suraj pighal gayaa to hamaaraa banegaa kyaa
is dil mein le ke baiThe hain kab se tumhaari yaad
ye dil hi jal gayaa to hamaaraa banegaa kyaa
· · ·







