SHAWORDS

DhunDte ho dil-e-figaar mein kyaa — Motee Ahmad Mujtaba

"DhunDte ho dil-e-figaar mein kyaa ho bhi saktaa hai is mazaar mein kyaa lafz karte hain raqs chaaron taraf likhtaa rahtaa huun main khumaar mein kyaa martabe rifatein maqaam aur naam aur hotaa hai inkisaar mein kyaa chand saanson ki mohlaton ke evaz us ne bakhshaa hai intizaar mein kyaa kis ki khushbu mujhe bulaati hai koi mahkaa mire madaar mein kyaa jin ki miTTi khizaan se uTThi ho mil sakegaa unhein bahaar mein kyaa chiDh hai kyon ittihaad se tum ko dost barakat hai intishaar mein kyaa Daachi vaale chale gae kab ke sar khapaaoge ab ghubaar mein kyaa saath le kar nahin gayaa kuchh main DhunDte ho mire mazaar mein kyaa raat Duubi hai kyon andhere mein chaand niklaa nahin dayaar mein kyaa"
Urdu

ڈھونڈتے ہو دل فگار میں کیا ہو بھی سکتا ہے اس مزار میں کیا لفظ کرتے ہیں رقص چاروں طرف لکھتا رہتا ہوں میں خمار میں کیا مرتبے رفعتیں مقام اور نام اور ہوتا ہے انکسار میں کیا چند سانسوں کی مہلتوں کے عوض اس نے بخشا ہے انتظار میں کیا کس کی خوشبو مجھے بلاتی ہے کوئی مہکا مرے مدار میں کیا جن کی مٹی خزاں سے اٹھی ہو مل سکے گا انہیں بہار میں کیا چڑھ ہے کیوں اتحاد سے تم کو دوست برکت ہے انتشار میں کیا ڈاچی والے چلے گئے کب کے سر کھپاؤگے اب غبار میں کیا ساتھ لے کر نہیں گیا کچھ میں ڈھونڈتے ہو مرے مزار میں کیا رات ڈوبی ہے کیوں اندھیرے میں چاند نکلا نہیں دیار میں کیا

Hindi

ढूँडते हो दिल-ए-फ़िगार में क्या हो भी सकता है इस मज़ार में क्या लफ़्ज़ करते हैं रक़्स चारों तरफ़ लिखता रहता हूँ मैं ख़ुमार में क्या मर्तबे रिफ़अतें मक़ाम और नाम और होता है इंकिसार में क्या चंद साँसों की मोहलतों के एवज़ उस ने बख़्शा है इंतिज़ार में क्या किस की ख़ुशबू मुझे बुलाती है कोई महका मिरे मदार में क्या जिन की मिट्टी ख़िज़ाँ से उट्ठी हो मिल सकेगा उन्हें बहार में क्या चिढ़ है क्यों इत्तिहाद से तुम को दोस्त बरकत है इंतिशार में क्या डाची वाले चले गए कब के सर खपाओगे अब ग़ुबार में क्या साथ ले कर नहीं गया कुछ मैं ढूँडते हो मिरे मज़ार में क्या रात डूबी है क्यों अंधेरे में चाँद निकला नहीं दयार में क्या

DhūñDte ho dil-e-figār meñ kyā
Motee Ahmad Mujtaba
Motee Ahmad Mujtaba
Motee Ahmad Mujtaba
poet7 quotes

More by Motee Ahmad Mujtaba

View all →
Quote
"ik mohabbat thi jo thi tartib mein varna shai thi kab koi tartib mein ham tujhe kaise banaate ham-safar ham jiye the zindagi tartib mein maut kaa kuchh Dar nahin hotaa mujhe zindagi meri kaTi tartib mein ab tu apne ishq kaa qissa sunaa daastaan apni to thi tartib mein dil se us ki yaad ko rukhsat karo taaki aae zindagi tartib mein taaki ab apnaa nasheman ban sake khud ko le aa to kisi tartib mein vaqt par taaron ne chhoDaa aasmaan raat din mein Dhal gai tartib mein naam teraa aur miraa joDaa gayaa aur aai har khushi tartib mein chhoD 'ahmad' ab ye be-tartibiyaan khud ko ab le aa kisi tartib mein"
Motee Ahmad MujtabaMotee Ahmad Mujtaba
Quote
"ye dil machal gayaa to hamaaraa banegaa kyaa suraj pighal gayaa to hamaaraa banegaa kyaa is dil mein le ke baiThe hain kab se tumhaari yaad ye dil hi jal gayaa to hamaaraa banegaa kyaa uljhaav aa gayaa hai muravvat ki Dor mein is kaa na bal gayaa to hamaaraa banegaa kyaa is zindagi ki qadr to bas ek pal lagi gar ye bhi pal gayaa to hamaaraa banegaa kyaa tukkaa lagaa ki ham ne jo izzat bachaai thi gar tiir chal gayaa to hamaaraa banegaa kyaa rokaa huaa hai ham ne abhi dil mein ishq ko ye jin nikal gayaa to hamaaraa banegaa kyaa 'ahmad' na soch kuchh ki zamaana hai bevafaa ye din badal gayaa to hamaaraa banegaa kyaa"
Motee Ahmad MujtabaMotee Ahmad Mujtaba

More on Dil

View all →
Quote
"dil shaad nahin karte aabaad nahin karte mahsus ye hotaa hai vo yaad nahin karte naashaad zamaane ke dil shaad nahin karte kam-aql parindon ko aazaad nahin karte mohtaaj-e-karam aksar rahte hain gharibon ke jo log gharibon ki imdaad nahin karte kuchh log shikaayat ko haq apnaa samajhte hain kuchh log kabhi tum se fariyaad nahin karte ham apne iraadon mein rakhte hain tavaanaai ham daad ke taalib ko bedaad nahin karte jo aap ki niyyat kaa kuchh ilm hamein hotaa ham apni mohabbat ko barbaad nahin karte is daur-e-siyaasat mein 'mahmud' qayaamat hai ahbaab jo karte hain jallaad nahin karte"
Mahmood NashtariMahmood Nashtari
Quote
"bahr-e-rang-e-daastaan rahne diyaa ik tajassus darmiyaan rahne diyaa ab zamin ban kar bichhaa jaataa hai vo main ne jis ko aasmaan rahne diyaa raushni aur khvaab saare hech the apni aankhon mein dhuaan rahne diyaa vo jagah raushan nahin hogi kabhi is mohabbat ko jahaan rahne diyaa maan ne maathaa chuum kar rukhsat kiyaa maamtaa kaa saaebaan rahne diyaa kul milaa ke ye hai raaz-e-tishnagi ham ne dil ko sargiraan rahne diyaa khud hami paamaal Thahre shauq se khush-gumaan ko khush-gumaan rahne diyaa"
Bushra MasuudBushra Masuud
Quote
"ajab mushkil ki dil kaa haal aisaa ho gayaa hai sabhi ab puchhte hain mujh se ye kyaa ho gayaa hai main ye samjhaa ki gham kaa ab mudaavaa ho gayaa hai kuredaa zakhm to ye aur taaza ho gayaa hai kabhi fursat mile to khud se main baatein karungaa mujhe khud se mile bhi to zamaana ho gayaa hai magar ab sochtaa huun toD duun saare maraasim magar dil bhi tire gham se shanaasaa ho gayaa hai miri barbaad hasti kaa nazaara dekhne ko vo aae aur gham mein phir izaafa ho gayaa hai isi dariyaa mein ab khud ko Dubonaa chaahtaa huun ki is dil kaa talaatum mein kinaare ho gayaa hai chalo bhi 'qalb' ab tum dusraa dekho Thikaanaa ki is basti mein apnaa sab paraayaa ho gayaa hai"
Anees QalbAnees Qalb
Quote
"na koi dost ho meraa na ho adu meraa tum apne munh se agar kah do mujh ko tu meraa fasurdagi mein junun-e-havaa-e-gul yaani khizaan ke daur mein saudaa-e-rang-o-bu meraa jo tum nahin to bahaar-e-jinaan mein khaak nahin bahut vasia hai daamaan-e-aarzu meraa nibhegi ai dil-e-aavaara ab na tujh se miri bas aaj se na main teraa huun aur na tu meraa banaa rahe hain vo jalve ki apne tasvirein dikhaa dikhaa ke tamaashaa-e-rang-o-bu meraa kisi ki zulf-e-siyah kah rahi hai khul khul kar ghaTaa ne rang uDaayaa hai hu-ba-hu meraa mah-e-siyaam kaa aur intizaam kyaa karte janaab-e-shaikh uDaa le gae subu meraa jafaa kaa rang judaa hai vafaa kaa rang judaa malo na dast-e-hinaai mein tum lahu meraa taDap rahi hai jo abr-e-siyaah mein bijli firaaq mein yahi naqsha thaa hu-ba-hu meraa suhaani raat hai chhiTki hai chaandni 'muztar' miri nigaah mein phirtaa hai maah-ru meraa"
M
Muztar Muzaffarpuri