Ghazal
The lyric art form of Urdu poetry — every sher a universe of longing, love, and philosophy
Featured Poets
All Poets →Trending Ghazals
Muzaffar Abdali
khudaa bhi kaisaa huaa khush mire qarine par
mujhe shahid kaa darja milaa hai jiine par
khanDar ke gumbad o mehraab jaag uTTheinge
use kaho ki vo dhire se aae ziine par
· · ·
Muzaffar Abdali
yaqin aaj bhi vahm-o-gumaan mein gum hai
zamin jaise kahin aasmaan mein gum hai
ye aaftaab bhi kis zaaviye se Dhaltaa hai
zaraa si dhuup liye aan-baan mein gum hai
· · ·
Muzaffar Abdali
main jo bad-havaas thaa mahv-e-qayaas tum bhi the
bichhaDte vaqt zaraa saa udaas tum bhi the
badalte vaqt kaa manzar thaa sab ki aankhon mein
misaal main thaa agar iqtibaas tum bhi the
· · ·
Muzaffar Abdali
ret par ik nishaan hai shaayad
ye hamaaraa makaan hai shaayad
shor ke biich so rahi hai zamin
muddaton ki thakaan hai shaayad
· · ·
Muzaffar Abdali
bayaabaan ko pashemaani bahut hai
ki shahron mein bayaabaani bahut hai
mire hansne pe duniyaa chaunk uTThi
mujhe bhi khud pe hairaani bahut hai
· · ·
Muzaffar Abdali
khamoshi ki girah khole sar-e-aavaaz tak aae
ishaara koi to samjhe koi to raaz tak aae
koi anjaam kab se muntazir hai ek haazir kaa
koi rakht-e-safar baandhe koi aaghaaz tak aae
· · ·
Muzaffar Abdali
khalvat-e-jaan se chali baat zabaan tak pahunchi
koi chingaari angeThi se dhuaan tak pahunchi
raaz o asraar ke khulne ki tavaqqo' thi kise
ik kahaani thi kisi tarah bayaan tak pahunchi
· · ·
Muzaffar Abdali
ret ke shaanon pe shabnam ki nami raat gae
aur kuchh tez hui tishna-labi raat gae
baam o dar jaag uThe shauq ne aankhein kholin
dil ki dahliz pe dastak si hui raat gae
· · ·
Muzaffar Abdali
khvaab ummid se sarshaar bhi ho jaae to kyaa
dasht to dasht hai baazaar bhi ho jaae to kyaa
ab kahaan koi sitaaron ko ginaa kartaa hai
meraa har zakhm numudaar bhi ho jaae to kyaa
· · ·
Muzaffar Abdali
kis ne dekhi hai bahaaron mein khizaan mere sivaa
kaun kar saktaa hai ye qissa bayaan mere sivaa
kis ko maalum hai sahraa ki havaaon kaa mizaaj
ret par kaun banaaegaa makaan mere sivaa
· · ·
Muzaffar Abdali
raunaq-e-arz-o-samaa shams o qamar main hi huun
ghaur se dekhiye taa-hadd-e-nazar main hi huun
ho liye saare tamaashaai kisi manzil ke
rah gayaa main so sar-e-raahguzar main hi huun
· · ·







