Ghazal
The lyric art form of Urdu poetry — every sher a universe of longing, love, and philosophy
Featured Poets
All Poets →Trending Ghazals
Naji Shakir
dil kaa khoj na paayaa hargiz dekhaa khol jo qabron ko
jiite ji DhunDe so paave khabar karo be-khabron ko
toshak baalaa posh razaai hai bhule majnun barson tak
jab dikhlaave zulf sajan ki ban mein aavte abron ko
· · ·
Naji Shakir
kamar ki baat sunte hain ye kuchh paai nahin jaati
kahe hain baat aisi khayaal mein mere nahin aati
jo chaaho sair-e-dariyaa vaqf hai mujh chashm ki kashti
har ek mu-e-palak meraa hai goyaa ghaaT khairaati
· · ·
Naji Shakir
tere bhaai ko chaahaa ab teri kartaa huun paa-bosi
mujhe sartaaj kar rakh jaan mein aashiq huun maurusi
rafu kar de hain aisaa pyaar jo aashiq hain yaksu siin
phaDaa kar aur siin shaal apni kahtaa hai mujhe tu si
· · ·
Naji Shakir
zikr har subh o shaam hai teraa
vird-e-aashiq kuun naam hai teraa
mat kar aazaad daam-e-zulf siin dil
baal-baandhaa ghulaam hai teraa
· · ·
Naji Shakir
dekh mohan tiri kamar ki taraf
phir gayaa maani apne ghar ki taraf
jin ne dekhe tire lab-e-shirin
nazar us ki nahin shakar ki taraf
· · ·
Naji Shakir
dekhi bahaar ham ne kal zor mai-kade mein
hansne siin us sajan ke thaa shor mai-kade mein
the josh-e-mul siin aisi shorish mein daagh dil ke
goyaa ki kudte hain ye mor mai-kade mein
· · ·
Naji Shakir
ye daur guzraa kabhi na dekhin piyaa ki ankhiyaan khumaar-matiyaan
kahe the mardum sharaabi un kuun nikal gaiin apni de ghalatiyaan
sivaae gul ke vo shokh ankhiyaan kisi taraf ko nahin hain raaghib
to barg-e-nargis upar bajaa hai likhun jo apne sajan kuun patiyaan
· · ·
Naji Shakir
lab-e-shirin hai misri yusuf-e-saani hai ye laDkaa
na chhoDegaa meraa dil chaah-e-kanaani hai ye laDkaa
liyaa bosa kisi ne aur garebaan-gir hai meraa
Dubaayaa chaahtaa hai sab ko tufaani hai ye laDkaa
· · ·
Naji Shakir
ai sabaa kah bahaar ki baatein
is but-e-gul-ezaar ki baatein
kis pe chhoDe nigaah kaa shahbaaz
kyaa kare hai shikaar ki baatein
· · ·
Naji Shakir
mah-rukhaan ki jo mehrbaani hai
ye madad mujh pe aasmaani hai
rashk siin us ke saaf chehre ke
chashm par aaine ki paani hai
· · ·







