Ghazal
The lyric art form of Urdu poetry — every sher a universe of longing, love, and philosophy
Featured Poets
All Poets →Trending Ghazals
Naseer Baloch
zindagi main ne hazaaron khvaahishon mein baanT di
jaise ik tasvir TuuTe aainon mein baanT di
ranj-o-gham khauf-o-aziyyat rat-jage mahrumiyaan
dil ki basti ab hazaaron bastiyon mein baanT di
· · ·
Naseer Baloch
jis ko batlaayaa ki ye ghar hai ye aangan hai miraa
mujh ko maalum nahin thaa ki vo dushman hai miraa
miri kuTiyaa hi tujhe shahr mein achchhi na lagi
main baDe naaz se kahtaa thaa ki saavan hai miraa
· · ·
Naseer Baloch
khayaal is baat kaa dil se mire aksar nahin jaataa
main ghar jaane ki jaldi mein umuman ghar nahin jaataa
mujhe ik masala darpesh hai ki haath to mere
tire paanv talak jaate hain lekin sar nahin jaataa
· · ·
Naseer Baloch
us ko jab yaad nahin baiTh ke ro lete hain
aa shab-e-hijr kahin baiTh ke ro lete hain
hijr ki lambi masaafat se abhi lauTe ho
paanv shal hain to yahin baiTh ke ro lete hain
· · ·
Naseer Baloch
vo shakhs mujhe jab se dikhaai nahin detaa
aankhein hain magar kuchh bhi sujhaai nahin detaa
khairaat mein de dete hain rahgir ko jitni
utni bhi mohabbat mujhe bhaai nahin detaa
· · ·
Naseer Baloch
is vaaste adu ko gavaaraa nahin thaa main
maaraa gayaa thaa jang mein haaraa nahin thaa main
mujh se hi mujh ko vaqt ne tafriq kar diyaa
jo tere saamne thaa vo saaraa nahin thaa main
· · ·
Naseer Baloch
maaraa is shart pe ab mujh ko dobaara jaae
nok-e-neza se miraa sar na utaaraa jaae
shaam se pahle kisi hijr mein mar jaaegaa
suraj ik baar mire dil se guzaaraa jaae
· · ·
Naseer Baloch
zulf ke sanvarne mein der kitni lagti hai
aadmi ke marne mein der kitni lagti hai
aankh se bhalaa dil kaa faasla hi kitnaa hai
siDhiyaan utarne mein der kitni lagti hai
· · ·
Naseer Baloch
abhi ghar ke masaail hal kareinge
tiri zulfon ki baatein kal kareinge
khalaaon se palaT kar aa gae to
zaminon kaa safar paidal kareinge
· · ·
Naseer Baloch
sazaa mili hai tiri mukhtasar rifaaqat ki
tamaam umr tire hijr ki hifaazat ki
utaarne bhi na di shahr ke makinon ne
tiri gali se lipaT kar thakan masaafat ki
· · ·
Naseer Baloch
mabaadaa kal husn-e-be-badal par zavaal aae
ham apni aankhon ko hi khalaa mein uchhaal aae
jo tere aanchal ki sarsaraahaT pe naachtaa thaa
vo dil zarurat ki nangi mayyat pe Daal aae
· · ·
Naseer Baloch
falak se khinch ke laa yaa zamin se khinch ke laa
mire buDhaape javaani kahin se khinch ke laa
chhupaa huaa hai jo iqraar us ke dil mein kahin
usi ko baandh ke us ki nahin se khinch ke laa
· · ·
Naseer Baloch
ye khazaana dil-e-saudaai kise detaa main
us ki bakhshish thi ye tanhaai kise detaa main
is tire ahd ke rote hue logon mein se
haakim-e-vaqt ye shahnaai kise detaa main
· · ·
Naseer Baloch
unhein khabar thi jo pahlu badal rahe the mire
main mar chukaa thaa magar saans chal rahe the mire
tire safar ki aziyyat ne mujh ko maar diyaa
to chal rahaa thaa magar paanv jal rahe the mire
· · ·
Naseer Baloch
is tarah ki bhi kai moajiz-numaa amsaal de
chaar din ki zindagi mein hijr ke sau saal de
aa miri aaghosh mein be-saakhta sar rakh ke ro
aa mire kashkol mein saaraa samundar Daal de
· · ·
Naseer Baloch
badan chhupaane ko kuchh mere paas thaa hi nahin
jo zeb-e-tan thaa vo meraa libaas thaa hi nahin
main jis ke hijr ko dil se lagaa ke baiThaa rahaa
vo mujh ko chhoD ke bilkul udaas thaa hi nahin
· · ·
Naseer Baloch
ye kis Dar se nikaalaa jaa rahaa hai
mujhe ghar se nikaalaa jaa rahaa hai
jo manzar ko numaayaan kar rahaa thaa
vo manzar se nikaalaa jaa rahaa hai
· · ·
Naseer Baloch
raqs karti hui dharti pe khaDaa kar ke mujhe
kis jagah chhoD diyaa khud se judaa kar ke mujhe
main ne thak-haar ke jab khud se rifaaqat kar li
dil ne phir chhoD diyaa meraa gila kar ke mujhe
· · ·
Naseer Baloch
jab shaam-Dhale hijr tiraa mujh se milaa thaa
main ashkon ke jalte hue khemon mein khaDaa thaa
inaam-zada chehron pe khiffat thi khushi ki
darbaar mein ik tan se judaa sar bhi paDaa thaa
· · ·
Naseer Baloch
tiri aankhon se jab tak dekhtaa huun
yaqin maano main rab tak dekhtaa huun
tiri aavaaz ko tajsim kar ke
tu kyaa jaane main kab tak dekhtaa huun
· · ·







