Ghazal
The lyric art form of Urdu poetry — every sher a universe of longing, love, and philosophy
Featured Poets
All Poets →Trending Ghazals
Naseer Parwaz
samajh ke farz kabhi din ko raat mat karnaa
guzarte lamhon se taqsim zaat mat karnaa
bachaa ke tez havaa mein bikharnaa paDtaa hai
anaa ko nazar gham-e-haadsaat mat karnaa
· · ·
Naseer Parwaz
hasin dimaagh mile jaagtaa shuur mile
khudaa kare ki tujhe raaste mein nuur mile
bahut hai saaya-e-bedaar khalvat-e-gham kaa
ki khalvaton ke amiin be-khudi mein chuur mile
· · ·
Naseer Parwaz
main bhi insaan tu bhi insaan farq magar itnaa saa hai
mujh ko gahri choT lagi hai tu ne patthar maaraa hai
jo bhi paayaa is duniyaa se bhiik ki surat paayaa hai
saari umr ki mahrumi ne jab daaman phailaayaa hai
· · ·
Naseer Parwaz
paDhne vaalaa koi nahin thaa saare likhne vaale the
har ujle kaaghaz par kitne dhabbe kaale kaale the
har dam bandhaa rahaa pairon se sahraa kaa anjaan safar
ham ne us ko suraj maanaa jis ke paanv mein chhaale the
· · ·
Naseer Parwaz
pyaasi dharti maang rahi hai jag ke daataa paani de
saagar saagar jal-thal kar de dariyaa dariyaa paani de
tu hi avval tu hi aakhir tu hi rab tu hi maabud
duniyaa ki har ek baDaai tujh ko zebaa paani de
· · ·
Naseer Parwaz
puchhaa meraa naam jahaan tanhaai ne
chhaayaa likh di chehre pe gahraai ne
us din se kapDon kaa ehsaan hai tan par
mujhe chhuaa thaa jis din buDhi daai ne
· · ·
Naseer Parwaz
khud apni raah se ho kar kabhi guzar jaaun
rivaayaton ke dilon mein ghubaar bhar jaaun
har ik qadam hai miraa 'umr-e-be-nishaan kaa 'azaab
Thahar sakun to kisi moD par Thahar jaaun
· · ·
Naseer Parwaz
ek sadaaqat par marnaa hai ek sadaaqat jiinaa hai
shab ki gahraai naapi hai din ki vusat jiinaa hai
vo bhi din the divaaron par jab qurbat ke saae the
ab ghar ki chhoTi si chhat ko hijr ki saaat jiinaa hai
· · ·
Naseer Parwaz
sadiyon ki gahri mahrumi rahm-o-karam banaa kar de
aadhaa khuld-e-barin mein yaa-rab aadhaa khaak-e-zamin par de
mausam ke hamraah chale aate hain kuchh andeshe bhi
ek kushaada chhat ke niche pukhta divaar-o-dar de
· · ·
Naseer Parwaz
main ek TuuTi hui zaat le ke aayaa huun
badan pe taaza savaalaat le ke aayaa huun
jahaan se milti hai har shakhs ko mataa-e-hayaat
main us jagah se bhi khairaat le ke aayaa huun
· · ·
Naseer Parwaz
main hijaab-e-gumaan tu hijaab-e-yaqin
likh miri ruuh par iztiraab-e-yaqin
jab muqaddar mein be-nur taabir thi
kyon dikhaae ujaalon ne khvaab-e-yaqin
· · ·
Naseer Parwaz
apne uupar zulm karungaa ulTaa sidhaa sochungaa
jab tak hosh rahegaa mujh ko saari duniyaa sochungaa
sukh-dukh se haT kar insaan ko aur bhalaa jiinaa kyaa hai
baandh ke raaton ke daaman se dhuup saraapaa sochungaa
· · ·
Naseer Parwaz
aansu beche zakhm kharide aahon ko aadhaar kiyaa
pyaar ke naam pe ham ne jag mein ghaaTe kaa byopaar kiyaa
jis se naata toD chuke hain vo bhi jism hamaaraa hai
vo bhi apnaa hi chehra hai jis se ham ne pyaar kiyaa
· · ·
Naseer Parwaz
baadal jab unche parbat par dhund ki chaadar taan gae
kyaa kyaa barsegaa miTTi par saare saae jaan gae
phir dilli ke takht pe aa baiThaa hai koi naadir-shaah
rangat khushbu tak aaegi is ke bhi imkaan gae
· · ·
Naseer Parwaz
khvaabon ki vaadiyon mein dilon ko phiraae hai
dariyaa mein jab bhi lahr koi sar uThaae hai
nas nas mein rach gayaa hai takallum kaa baankpan
aankhon ki khaamushi bhi mujhe gudgudaae hai
· · ·
Naseer Parwaz
aarzu sulagti hai ho ke mas havaaon se
aag si barasti hai saavani ghaTaaon se
bebasi-e-aadam kaa gham to khair sab ko hai
kaun bhiik maangegaa rahm ke khudaaon se
· · ·
Naseer Parwaz
aatishin sailaab mein jab ruuh Daali jaaegi
tishnagi sadiyon ki ashkon se bujhaa li jaaegi
TuTti divaar kaa saaya badan ki aabru
jaane kab mere yaqin ki khush-khayaali jaaegi
· · ·
Naseer Parwaz
koi shaadaab-o-hasin shahr kaa manzar dekho
jhaank kar rauzan-e-ehsaas se baahar dekho
meri aavaaz miraa jism miraa chehra hai
ho jo mumkin to mujhe haath lagaa kar dekho
· · ·
Naseer Parwaz
khvaab rakhe hain taariki par dard rakhaa hai raaton par
aag lagaai hai ashkon ne tohmat hai angaaron par
suraj chaahe aae na aae haal puchhne basti kaa
sab ne ummidein rakh di hain ab be-nur charaaghon par
· · ·
Naseer Parwaz
qadam qadam aasmaan bhi misl-e-zamin hai mujh ko
ye kaaenaat-e-nigaah bait-e-yaqin hai mujh ko
libaas ban kar jo roz-o-shab ke badan pe jaagaa
vo zindagi kaa vajud hi dil-nashin hai mujh ko
· · ·
Naseer Parwaz
zindagi ko naa-muraadi se koi shikva nahin
ab agar patthar se Takraaun to sar phahTtaa nahin
pi rahi hai qatra qatra mere khvaabon kaa lahu
main huun duniyaa ke liye mere liye duniyaa nahin
· · ·
Naseer Parwaz
basirat se abhi mahrum hain sab
manaazir shahr ke maasum hain sab
koi miltaa nahin hans kar kisi se
na jaane kis liye maghmum hain sab
· · ·
Naseer Parwaz
bahte dariyaa tham jaaeinge thoDaa vaqt guzarne do
vo bhi ab na yaad aaeinge thoDaa vaqt guzarne do
nae nae un se bichhDe hain taaza hain saare aansu
ye mausam bhi murjhaaeinge thoDaa vaqt guzarne do
· · ·







