Ghazal
The lyric art form of Urdu poetry — every sher a universe of longing, love, and philosophy
Featured Poets
All Poets →Trending Ghazals
Neeraj Naveed
jo baavajud havaaon ke taabnaak hue
unhin charaaghon se laD kar andhere khaak hue
ye 'ishq khel nahin hai miyaan sanbhal jaao
hazaaron qais isi 'ishq mein halaak hue
· · ·
Neeraj Naveed
duniyaa ke maayaa-jaal se aage nikal gae
jo hijr aur visaal se aage nikal gae
sochaa tujhe hai itnaa ke is be-khudi mein ham
aksar tire khayaal se aage nikal gae
· · ·
Neeraj Naveed
jitne zaruri kaam hain vo kal pe Taal kar
baiThe hain un ke saamne dil ko sanbhaal kar
us ko bhi mushkilon kaa koi Dar nahin hai aur
kartaa huun main bhi faisla sikka uchhaal kar
· · ·
Neeraj Naveed
jin ki baaton mein koi kham na mile
khuub DhunDhaa khudaa-qasam na mile
un se mil kar to aa gae lekin
baa'd milne ke ham ko ham na mile
· · ·
Neeraj Naveed
har shakhs yuun to bazm mein 'izzat-maaab thaa
lekin har ek chehre pe ik iztiraab thaa
ye thaa savaal kaun nibhaaegaa 'umr bhar
vo thaa khamosh aur main bhi laa-javaab thaa
· · ·
Neeraj Naveed
zamin pe dhuup hai bhojan hai jal havaa bhi hai
yahaan bashar hai to be-shak kahin khudaa bhi hai
kahun main kyaa ki nigaahon ne sab kahaa bhi hai
jo mere dil mein hai vo aap ko pata bhi hai
· · ·
Neeraj Naveed
aaj zakhmon ki tarjumaani mein
tum ko paayaa har ik ma'aani mein
dekh mat yuun tu muskuraa ke mujhe
pheink patthar na Thahre paani mein
· · ·
Neeraj Naveed
aur phir ik din tang aa kar tanhaai se
jaa lipTeinge ham apni parchhaai se
tum ko dekhaa aankhon mein mahfuz kiyaa
ab ham ko koi kaam nahin binaai se
· · ·
Neeraj Naveed
ye mulaaqaat na Taalungaa chalaa aaungaa
koi tarkib nikaalungaa chalaa aaungaa
dil abhi tum se mulaaqaat ko tayyaar nahin
jaise hi dil ko manaa lungaa chalaa aaungaa
· · ·
Neeraj Naveed
na aasmaan ke hue aur na ham zamin ke rahe
kisi se 'ishq huaa phir na ham kahin ke rahe
vo pal na lauT ke aaeinge zindagi mein kabhi
jo meri haan se ziyaada tiri nahin ke rahe
· · ·
Neeraj Naveed
ban gayaa is liye makin dil kaa
us ne toDaa nahin yaqin dil kaa
jaane kyaa baat hai huaa kyaa hai
kho gayaa hai sukun kahin dil kaa
· · ·
Neeraj Naveed
jab talak dil mein piir zinda hai
'jaun' zinda hai 'mir' zinda hai
main buraa hi sahi magar ai dost
ab bhi meraa zamir zinda hai
· · ·
Neeraj Naveed
na ro ke aankhein laal kar khayaal kar
gila na ab malaal kar khayaal kar
hain zindagi mein mushkilein to hal bhi hain
na khud ko yuun nidhaal kar khayaal kar
· · ·
Neeraj Naveed
khaar hi khaar hain gulaab nahin
us ke tohfe kaa bhi javaab nahin
chaand ho tum main ik charaagh sahi
par main suraj se faizyaab nahin
· · ·







