Ghazal
The lyric art form of Urdu poetry — every sher a universe of longing, love, and philosophy
Featured Poets
All Poets →Trending Ghazals
Nusrat Gwaliari
jhiil ke paar dhanak-rang samaan hai kaisaa
jhilmilaataa huaa vo aks vahaan hai kaisaa
jalte bujhte hue faanus hain manzar manzar
naqsh-dar-naqsh vo miT kar bhi ayaan hai kaisaa
· · ·
Nusrat Gwaliari
naqsh-e-paa us ke raasta us kaa
muD ke dekhaa to kuchh na thaa us kaa
mubtalaa kar gayaa azaabon mein
ek kamzor faisla us kaa
· · ·
Nusrat Gwaliari
mire ghubaar-e-safar kaa maaal raushan hai
shafaq shafaq abhi naqsh-e-zavaal raushan hai
sadaa-e-gumbad-e-taabir sun rahaa huun main
fazaa-e-khvaab mein kirnon kaa jaal raushan hai
· · ·
Nusrat Gwaliari
palak palak sail-e-gham 'ayaan hai na koi aahaT na koi halchal
kasak ye kaisi darun-e-jaan hai na koi aahaT na koi halchal
hamaari basti mein har taraf inqalaab-e-nau kaa 'amal thaa jaari
na jaane ye kaun saa jahaan hai na koi aahaT na koi halchal
· · ·
Nusrat Gwaliari
kuchh aise phuul naagahaan havaa uDaa ke le gai
lagaa ki saaraa gulsitaan havaa uDaa ke le gai
musaafiron ke hausle buland the bahut magar
tamaam miil ke nishaan havaa uDaa ke le gai
· · ·
Nusrat Gwaliari
lahu uchhaalte lamhon kaa silsila niklaa
mujhe pahunchnaa kahaan thaa kahaan main aa niklaa
jahaan safed gulaabon kaa khvaab thaa raushan
vahaan siyaah pahaaDon kaa silsila niklaa
· · ·
Nusrat Gwaliari
chaand ki kashti saji hai aur main
jhiil hai ik jal-pari hai aur main
lau diye ki siskiyaan leti hui
TimTimaati raushni hai aur main
· · ·
Nusrat Gwaliari
kyuun falak-aashnaa kiyaa thaa mujhe
jab zamin par hi pheinknaa thaa mujhe
ban gayaa main kitaab qisson ki
us ne ik lafz mein kahaa thaa mujhe
· · ·







