Ghazal
The lyric art form of Urdu poetry — every sher a universe of longing, love, and philosophy
Featured Poets
All Poets →Trending Ghazals
Qamar Abbas Qamar
apne girne ki khabar tak nahin paai main ne
aakhiri dauD mein vo jaan lagaai main ne
saans ko saans hi marne nahin deti hai yahaan
koshishein kar ke bahut dekh liin bhaai main ne
· · ·
Qamar Abbas Qamar
mizaaj puchhte rahte ho mujh se kyon meraa
ki jab samajh na sake jazb-e-andrun meraa
vo dekh nok-e-sinaan ki bulandiyon ki taraf
sipaah-e-zulm na kar paai sar nigun meraa
· · ·
Qamar Abbas Qamar
jab raat kaa aaseb bikhar jaataa hai mujh mein
andar koi bachcha saa hai Dar jaataa hai mujh mein
dil par kisi qadmon ke nishaan tak nahin milte
ye kaun hai tezi se guzar jaataa hai mujh mein
· · ·
Qamar Abbas Qamar
ye rut azaa ki hai shahr-e-hazin se guzregaa
luTe huon kaa qabila yahin se guzregaa
mujhe bachaa le mire yaar soz-e-imshab se
ki ik sitaara-e-vahshat jabin se guzregaa
· · ·
Qamar Abbas Qamar
dil ko rone ke liye aankh mein bas paani hai
aalam-e-zaat mein kyaa be-sar-o-saamaani hai
tishna-lab aisaa ki honTon pe paDe hain chhaale
mutmain aisaa huun dariyaa ko bhi hairaani hai
· · ·
Qamar Abbas Qamar
subh-e-ummid ki ik sham' jalaai gai thi
is tarah mamlikat-e-jism bachaai gai thi
kitnaa be-faiz zamaana thaa ki khvaahish meri
gosha-e-dil mein taDapti hui paai gai thi
· · ·
Qamar Abbas Qamar
samundaron ke safar par hain rahnumaa bhi nahin
ham aise logon ki kashti kaa naakhudaa bhi nahin
yaqin-e-dil ke liye aalam-e-gumaani mein
use pukaar rahaa huun to sun rahaa bhi nahin
· · ·
Qamar Abbas Qamar
ham apne aap ko aise ganvaane lagte hain
bahut khushi ho to maatam manaane lagte hain
akelaa-pan hai aur aisaa akelaa-pan jis mein
koi jo puchh le kuchh sab bataane lagte hain
· · ·
Qamar Abbas Qamar
is Thahraav se pahle bataaein kaise rahte the
ham dariyaa the apni mauj mein bahte rahte the
us ke ghalat ravayye par chup rahnaa paDtaa thaa
laD sakte the us se magar ham sahte rahte the
· · ·
Qamar Abbas Qamar
akelaa main hi nahin hijr ki savaari mein
kuchh aur log bhi shaamil hain shab-guzaari mein
nadi se kah do idhar tishnagi balaa ki hai
ye suukh jaaegi sahraa ki aabyaari mein
· · ·







