Ghazal
The lyric art form of Urdu poetry — every sher a universe of longing, love, and philosophy
Featured Poets
All Poets →Trending Ghazals
Qamar Jalalvi
piite hi surkh aankhein hain mast-e-sharaab ki
garmi to dekho Duube hue aaftaab ki
rukh se judaa jo hashr mein tum ne naqaab ki
duniyaa ye taab laaegi do aaftaab ki
· · ·
Qamar Jalalvi
yuun tumhaare naa-tavaan-e-shauq manzil bhar chale
khaai Thokar gir paDe gir kar uThe uTh kar chale
chhoD kar bimaar ko ye kyaa qayaamat kar chale
dam nikalne bhi na paayaa aap apne ghar chale
· · ·
Qamar Jalalvi
karte bhi kyaa huzur na jab apne ghar mile
dushman se ham kabhi na mile the magar mile
bulbul pe aisi barq giri aandhiyon ke saath
ghar kaa pata chalaa na kahin baal-o-par mile
· · ·
Qamar Jalalvi
ab to munh se bol mujh ko dekh din bhar ho gayaa
ai but-e-khaamosh kyaa sach-much kaa patthar ho gayaa
ab to chup ho baagh mein naalon se mahshar ho gayaa
ye bhi ai bulbul koi sayyaad kaa ghar ho gayaa
· · ·
Qamar Jalalvi
hukm-e-sayyaad hai taa-khatm-e-tamaashaa-e-bahaar
saari duniyaa kahe bulbul na kahe haae bahaar
subh gul-gasht ko jaate ho ki sharmaae bahaar
kyaa ye matlab hai gulistaan se nikal jaae bahaar
· · ·
Qamar Jalalvi
kaun se the vo tumhaare ahd jo TuuTe na the
khair in baaton mein kyaa rakkhaa hai tum jhuTe na the
baaghbaan kuchh soch kar ham qaid se chhuTe na the
varna kuchh paanv na the be-kaar par TuuTe na the
· · ·
Qamar Jalalvi
abru to dikhaa dijiye shamshir se pahle
taqsir to kuchh ho miri taazir se pahle
maalum huaa ab miri qismat mein nahin tum
milnaa thaa mujhe kaatib-e-taqdir se pahle
· · ·
Qamar Jalalvi
kisi surat sahar nahin hoti
raat idhar se udhar nahin hoti
khauf sayyaad se na barq kaa Dar
baat ye apne ghar nahin hoti
· · ·
Qamar Jalalvi
mujhe baaghbaan se gila ye hai ki chaman se be-khabari rahi
ki hai nakhl-e-gul kaa to zikr kyaa koi shaakh tak na hari rahi
miraa haal dekh ke saaqiyaa koi baada-khvaar na pi sakaa
tire jaam khaali na ho sake miri chashm-e-tar na bhari rahi
· · ·
Qamar Jalalvi
dekhiye ho gai badnaam masihaai bhi
ham na kahte the ki Talti hai kahin aai bhi
husn khuddaar ho to baais-e-shohrat hai zarur
lekin in baaton mein ho jaati hai rusvaai bhi
· · ·
Qamar Jalalvi
saans un ke mariz-e-hasrat ki ruk ruk ke chalti jaati hai
maayus nazar hai dar ki taraf aur jaan nikalti jaati hai
chehre se sarakti jaati hai zulf un ki khvaab ke aalam mein
vo hain ki abhi tak hosh nahin aur shab hai ki Dhalti jaati hai
· · ·
Qamar Jalalvi
savaal chhoD ki haalat ye kyuun banaai hai
use na sun jo kahaani suni-sunaai hai
patangaa shama pe martaa hai kyaa buraai hai
use kisi ne bhi rokaa hai jis ki aai hai
· · ·
Qamar Jalalvi
un ke jaate hi ye vahshat kaa asar dekhaa kiye
su-e-dar dekhaa to pahron su-e-dar dekhaa kiye
dil ko vo kyaa dekhte soz-e-jigar dekhaa kiye
lag rahi thi aag jis ghar mein vo ghar dekhaa kiye
· · ·
Qamar Jalalvi
dekhte hain raqs mein din raat paimaane ko ham
saaqiyaa raas aa gae hain tere mai-khaane ko ham
le ke apne saath ik khaamosh divaane ko ham
jaa rahe hain hazrat-e-naaseh ko samjhaane ko ham
· · ·
Qamar Jalalvi
aah ko samjhe ho kyaa dil se agar ho jaaegi
vo to vo un ke farishton ko khabar ho jaaegi
puuri kyaa muusaa tamannaa tuur par ho jaaegi
tum agar uupar gae nichi nazar ho jaaegi
· · ·







