"yuun tumhaare naa-tavaan-e-shauq manzil bhar chale khaai Thokar gir paDe gir kar uThe uTh kar chale chhoD kar bimaar ko ye kyaa qayaamat kar chale dam nikalne bhi na paayaa aap apne ghar chale ho gayaa sayyaad barham ai asiraan-e-qafas band ab ye naala-o-fariyaad varna par chale kis tarah tai ki hai manzil ishq ki ham ne na puchh thak gae jab paanv teraa naam le le kar chale aa rahe hain ashk aankhon mein ab ai saaqi na chheD bas chhalakne ki kasar baaqi hai saaghar bhar chale jab bhi khaali haath the aur ab bhi khaali haath hain le ke ham duniyaa mein kyaa aae the kyaa le kar chale husn ko ghamgin dekhe ishq ye mumkin nahin rok le ai shama aansu ab patinge mar chale is taraf bhi ik nazar ham bhi khaDe hain der se maangne vaale tumhaare dar se jholi bhar chale ai 'qamar' shab khatm hone ko hai chhoDo intizaar saahil-e-shab se sitaare bhi kinaara kar chale"
aah ko samjhe ho kyaa dil se agar ho jaaegi — Qamar Jalalvi
"aah ko samjhe ho kyaa dil se agar ho jaaegi vo to vo un ke farishton ko khabar ho jaaegi puuri kyaa muusaa tamannaa tuur par ho jaaegi tum agar uupar gae nichi nazar ho jaaegi kyaa in aahon se shab-e-gham mukhtasar ho jaaegi ye sahar hone ki baatein hain sahar ho jaaegi aa to jaaeinge vo meri aah-e-pur-taasir se mahfil-e-dushman mein rusvaai magar ho jaaegi kis se puchheinge vo mere raat ke marne kaa haal tu bhi ab khaamosh ai sham-e-sahar ho jaaegi ye bahut achchhaa huaa aaeinge vo pichhle pahar chaandni bhi khatm jab tak ai 'qamar' ho jaaegi"
آہ کو سمجھے ہو کیا دل سے اگر ہو جائے گی وہ تو وہ ان کے فرشتوں کو خبر ہو جائے گی پوری کیا موسیٰ تمنا طور پر ہو جائے گی تم اگر اوپر گئے نیچی نظر ہو جائے گی کیا ان آہوں سے شب غم مختصر ہو جائے گی یہ سحر ہونے کی باتیں ہیں سحر ہو جائے گی آ تو جائیں گے وہ میری آہ پر تاثیر سے محفل دشمن میں رسوائی مگر ہو جائے گی کس سے پوچھیں گے وہ میرے رات کے مرنے کا حال تو بھی اب خاموش اے شمع سحر ہو جائے گی یہ بہت اچھا ہوا آئیں گے وہ پچھلے پہر چاندنی بھی ختم جب تک اے قمرؔ ہو جائے گی
आह को समझे हो क्या दिल से अगर हो जाएगी वो तो वो उन के फ़रिश्तों को ख़बर हो जाएगी पूरी क्या मूसा तमन्ना तूर पर हो जाएगी तुम अगर ऊपर गए नीची नज़र हो जाएगी क्या इन आहों से शब-ए-ग़म मुख़्तसर हो जाएगी ये सहर होने की बातें हैं सहर हो जाएगी आ तो जाएँगे वो मेरी आह-ए-पुर-तासीर से महफ़िल-ए-दुश्मन में रुस्वाई मगर हो जाएगी किस से पूछेंगे वो मेरे रात के मरने का हाल तू भी अब ख़ामोश ऐ शम-ए-सहर हो जाएगी ये बहुत अच्छा हुआ आएँगे वो पिछले पहर चाँदनी भी ख़त्म जब तक ऐ 'क़मर' हो जाएगी

More by Qamar Jalalvi
View all →"karte bhi kyaa huzur na jab apne ghar mile dushman se ham kabhi na mile the magar mile bulbul pe aisi barq giri aandhiyon ke saath ghar kaa pata chalaa na kahin baal-o-par mile un se hamein nigaah-e-karam ki umiid kyaa aankhein nikaal lein jo nazar se nazar mile vaada ghalat pate bhi bataae hue ghalat tum apne ghar mile na raqibon ke ghar mile afsos hai yahi mujhe fasl-e-bahaar mein meraa chaman ho aur mujhi ko na ghar mile chaaron taraf hai sham-e-mohabbat ki raushni parvaane DhunD DhunD ke laai jidhar mile"
"ab to munh se bol mujh ko dekh din bhar ho gayaa ai but-e-khaamosh kyaa sach-much kaa patthar ho gayaa ab to chup ho baagh mein naalon se mahshar ho gayaa ye bhi ai bulbul koi sayyaad kaa ghar ho gayaa iltimaas-e-qatl par kahte ho fursat hi nahin ab tumhein itnaa ghurur allaahu-akbar ho gayaa mahfil-e-dushman mein jo guzri vo mere dil se puchh har ishaara jumbish-e-abru kaa khanjar ho gayaa aashiyaane kaa bataaein kyaa pata khaana-ba-dosh chaar tinke rakh liye jis shaakh par ghar ho gayaa hirs to dekho falak bhi mujh pe kartaa hai sitam koi puchhe to bhi kyaa un ke baraabar ho gayaa sokhta dil mein na miltaa tiir ko khuun ai 'qamar' ye bhi kuchh mehmaan ki qismat se mayassar ho gayaa"
"hukm-e-sayyaad hai taa-khatm-e-tamaashaa-e-bahaar saari duniyaa kahe bulbul na kahe haae bahaar subh gul-gasht ko jaate ho ki sharmaae bahaar kyaa ye matlab hai gulistaan se nikal jaae bahaar munh se kuchh bhi dam-e-rukhsat na kahaa bulbul ne sirf sayyaad ne itnaa to sunaa haae bahaar ye bhi kuchh baat hui gul hanse tum ruuTh gae is pe ye zid ki abhi khaak mein mil jaae bahaar tere qurbaan 'qamar' munh sar-e-gulzaar na khol sadqe us chaand si surat pe na ho jaae bahaar"
"kaun se the vo tumhaare ahd jo TuuTe na the khair in baaton mein kyaa rakkhaa hai tum jhuTe na the baaghbaan kuchh soch kar ham qaid se chhuTe na the varna kuchh paanv na the be-kaar par TuuTe na the khaar jab ahl-e-junun ke paanv mein TuuTe na the daaman-e-sahraa pe ye rangin gul-buTe na the rah gai mahrum aazaadi ke naghmon se bahaar kyaa karein qaid-e-zabaan-bandi se ham chhuTe na the is javaani se to achchhi thi tumhaari kam-sini bhuul to jaate the vaadon ko magar jhuTe na the us zamaane se duaa ki hai bahaaron ke liye jab faqat zikr-e-chaman-bandi thaa gul-buTe na the kyaa ye sach hai ai mire sayyaad gulshan luT gayaa jab to mere saamne do phuul bhi TuuTe na the chhoD to dete the raste mein zaraa si baat par rahbaron ne manzilon par qaafile luuTe na the kis qadar aansu bahaae tum ne shaam-e-gham 'qamar' itne taare to falak se bhi kabhi TuuTe na the"
"piite hi surkh aankhein hain mast-e-sharaab ki garmi to dekho Duube hue aaftaab ki rukh se judaa jo hashr mein tum ne naqaab ki duniyaa ye taab laaegi do aaftaab ki saaqi ye raqm sach hai jo mujh par hisaab ki botal pe haath rakh ke qasam khaa sharaab ki kyaa kam thaa husn-e-baagh ki ai baaghbaan-e-husn ik shaakh tu ne aur lagaa di shabaab ki vo to rahaa kalim ke israar kaa javaab aur ye jo tu ne tuur ki miTTi kharaab ki muusaa ko us ne sar pe chaDhaayaa bhi thaa bahut jalve ne khuub tuur ki miTTi kharaab ki phero na aankhein tum mire ashkon ke josh par tufaan mein Dubti nahin kashti habaab ki allaah us kaa kuchh bhi javaani pe haq nahin barson duaaein maangi hain jis ne shabaab ki rakhiye muaaf shaikh-ji masjid mein hajv-e-mai baatein khudaa ke ghar mein na kiije sharaab ki baagh-e-jahaan mein aur bhi tum se to hain magar har phuul mein nahin hai nazaakat gulaab ki jab se gae hain dekh ke taare vo ai 'qamar' surat badal gai hai shab-e-maahtaab ki"
More on Dil
View all →"dil shaad nahin karte aabaad nahin karte mahsus ye hotaa hai vo yaad nahin karte naashaad zamaane ke dil shaad nahin karte kam-aql parindon ko aazaad nahin karte mohtaaj-e-karam aksar rahte hain gharibon ke jo log gharibon ki imdaad nahin karte kuchh log shikaayat ko haq apnaa samajhte hain kuchh log kabhi tum se fariyaad nahin karte ham apne iraadon mein rakhte hain tavaanaai ham daad ke taalib ko bedaad nahin karte jo aap ki niyyat kaa kuchh ilm hamein hotaa ham apni mohabbat ko barbaad nahin karte is daur-e-siyaasat mein 'mahmud' qayaamat hai ahbaab jo karte hain jallaad nahin karte"
"bahr-e-rang-e-daastaan rahne diyaa ik tajassus darmiyaan rahne diyaa ab zamin ban kar bichhaa jaataa hai vo main ne jis ko aasmaan rahne diyaa raushni aur khvaab saare hech the apni aankhon mein dhuaan rahne diyaa vo jagah raushan nahin hogi kabhi is mohabbat ko jahaan rahne diyaa maan ne maathaa chuum kar rukhsat kiyaa maamtaa kaa saaebaan rahne diyaa kul milaa ke ye hai raaz-e-tishnagi ham ne dil ko sargiraan rahne diyaa khud hami paamaal Thahre shauq se khush-gumaan ko khush-gumaan rahne diyaa"
"tere tasavvuraat se aage nahin gayaa ye dil tavahhumaat se aage nahin gayaa jo biich raah chhoD gayaa shukr hai vo shakhs meri tavaqqu'aat se aage nahin gayaa shaayad use pasand thiin jhuTi numaaishein lekin main dil ki baat se aage nahin gayaa jazbaat-e-dil ko vo bhi na kuchh Dhang de sakaa main bhi takallufaat se aage nahin gayaa tohfa bhi us ke vaaste kangan liyaa 'zarim' vallah main us ke haath se aage nahin gayaa"
"ajab mushkil ki dil kaa haal aisaa ho gayaa hai sabhi ab puchhte hain mujh se ye kyaa ho gayaa hai main ye samjhaa ki gham kaa ab mudaavaa ho gayaa hai kuredaa zakhm to ye aur taaza ho gayaa hai kabhi fursat mile to khud se main baatein karungaa mujhe khud se mile bhi to zamaana ho gayaa hai magar ab sochtaa huun toD duun saare maraasim magar dil bhi tire gham se shanaasaa ho gayaa hai miri barbaad hasti kaa nazaara dekhne ko vo aae aur gham mein phir izaafa ho gayaa hai isi dariyaa mein ab khud ko Dubonaa chaahtaa huun ki is dil kaa talaatum mein kinaare ho gayaa hai chalo bhi 'qalb' ab tum dusraa dekho Thikaanaa ki is basti mein apnaa sab paraayaa ho gayaa hai"
"na koi dost ho meraa na ho adu meraa tum apne munh se agar kah do mujh ko tu meraa fasurdagi mein junun-e-havaa-e-gul yaani khizaan ke daur mein saudaa-e-rang-o-bu meraa jo tum nahin to bahaar-e-jinaan mein khaak nahin bahut vasia hai daamaan-e-aarzu meraa nibhegi ai dil-e-aavaara ab na tujh se miri bas aaj se na main teraa huun aur na tu meraa banaa rahe hain vo jalve ki apne tasvirein dikhaa dikhaa ke tamaashaa-e-rang-o-bu meraa kisi ki zulf-e-siyah kah rahi hai khul khul kar ghaTaa ne rang uDaayaa hai hu-ba-hu meraa mah-e-siyaam kaa aur intizaam kyaa karte janaab-e-shaikh uDaa le gae subu meraa jafaa kaa rang judaa hai vafaa kaa rang judaa malo na dast-e-hinaai mein tum lahu meraa taDap rahi hai jo abr-e-siyaah mein bijli firaaq mein yahi naqsha thaa hu-ba-hu meraa suhaani raat hai chhiTki hai chaandni 'muztar' miri nigaah mein phirtaa hai maah-ru meraa"
"khurshid jhaanktaa hai ridaa-e-sahaab se yaa nuur chhan rahaa hai kisi ke naqaab se baahar jo aaj dekh liyaa hai hijaab se suraj laraz rahaa hai tumhaare shabaab se naaseh Daraa rahe the khudaa ke 'azaab se khud hi janaab baaz na aae sharaab se lamhe guzar chuke hain jo phulon ki sej par is daur-e-pur-khatar mein vo lagte hain khvaab se khud ko to pahle dekhiye phir kahiye bevafaa bas itni iltijaa hai hamaari janaab se har roz ik na ik nai zid hai zabaan par tang aa gayaa huun main dil-e-khaana-kharaab se ahl-e-vafaa mein meraa vahi naam paD gayaa tum ne mujhe navaaz diyaa jis khitaab se kin manzilon pe meraa nishaan-e-qadam nahin puchho miraa maqaam mah-o-aaftaab se jo husn kaa kahin bhi tahaffuz na kar sake phir kaun saa hai faaeda aisi naqaab se saaya bhi jis hasin kaa DhunDe na mil sakaa be-misl vo khudaa ke hue intikhaab se sun kar hamaare she'r vo kuchh muskuraa diye 'faaruq' aaj ham bhi rahe kaamyaab se"