SHAWORDS

fasil-e-shab pe taaron ne likhaa kyaa — Vikas Sharma Raaz

"fasil-e-shab pe taaron ne likhaa kyaa main mahv-e-khvaab thaa tum ne paDhaa kyaa fazaa mein ghul gae hain rang kitne zaraa si dhuup se baadal khulaa kyaa havaaon ko ulajhne se hai matlab miri zanjir kyaa teri ridaa kyaa badan mein qaid ho kar rah gai hai hamaari ruuh kaa thaa mudda'aa kyaa shajar ki be-libaasi puchhti hai har ik pattaa giraa thaa be-sadaa kyaa jise bhi dekhiye vo niind mein hai hamaare shahr ko aakhir huaa kyaa charaagh ik dusre se puchhte hain sabhi ho jaaeinge rizq-e-havaa kyaa abhi to raakh honaa hai bahut kuchh abhi se 'raaz' chhaati piTnaa kyaa"
Vikas Sharma Raaz
Vikas Sharma Raaz
Vikas Sharma Raaz
poet95 quotes

More by Vikas Sharma Raaz

View all →
Quote
"tamaam ghar mein ujaalaa bahaal karti hui havaa ke saath miri raushni bikharti hui udaasiyon ke kai rang mujh mein bharti hui khizaan ki shaam miri ruuh mein utarti hui badal na jaae bayaabaan kaa jaan-fazaa manzar miri nigaah nae zaaviye se Darti hui hamaare siine mein tezi se vaqt chaltaa huaa hamaare paanv ke niche zamin Thaharti hui ta'alluqaat pe manDraate abr chhaTte hue tiri sadaa se miri khaamushi bikharti hui ye ek raat jo khole hue hai baal apne savaad-e-shaam se nikli hai bain karti hui"
Vikas Sharma RaazVikas Sharma Raaz
Quote
"rut ki be-rang fazaa hai main huun barg-rezon ki sadaa hai main huun raat kaa ek bajaa hai main huun ghar mein jo jaag rahaa hai main huun ye jo hai dhup-kiran ye tum ho ye daricha jo khulaa hai main huun jo rag-e-jaan mein hai raushan tum ho taaq-e-dil mein jo bujhaa hai main huun ye jo kirchein hain miri zaat ki hain mujh mein jo TuuT gayaa hai main huun ye dhanak dekh rahi ho jaanaan is mein jo rang haraa hai main huun ye jo tanhaai hai mehmaan hai yahaan ghar mein ham do hain khudaa hai main huun zindagi lauT rahi hai mujh mein baa'd muddat ye lagaa hai main huun"
Vikas Sharma RaazVikas Sharma Raaz

More on Sad

View all →
Quote
"phir khuun mein vahshat raqsaan hai tajdid sitam karne ke liye ik taaza zakhm ki khvaahish hai ik sadma kam karne ke liye ham din-bhar duniyaa-daari mein hans hans ke baatein karte hain phir saari raat pighalte hain ik ashk raqam karne ke liye vo vasl ki jis ne ham donon ko yaksar be-buniyaad kiyaa ab fursat hai aa mil baiThein us vasl kaa gham karne ke liye ik kaari zakhm ki chaahat ne kyaa kyaa na hamein gulzaar kiyaa ham kis kis se mansub hue ik hijr baham karne ke liye insaan ke jiine marne ke majburi ke mukhtaari ke ye saare khel zaruri hain taamir adam karne ke liye"
Irfan SattarIrfan Sattar
Quote
"chaand bhi khoyaa khoyaa saa hai taare bhi khvaabida hain aaj fazaa ke bojhal-pan se lahje bhi sanjida hain jaane kin kin logon se is dard ke kyaa kyaa rishte the hijr ki is aabaad saraa mein sab chehre naadida hain itne barson baad bhi donon kaise TuuT ke milte hain tu hai kitnaa saada-dil aur ham kitne pechida hain sun jaanaan ham tark-e-taalluq aur kisi din kar leinge aaj tujhe bhi ujlat si hai ham bhi kuchh ranjida hain kaanon mein ik sargoshi hai be-maani si sargoshi aankhon mein kuchh khvaab saje hain khvaab bhi umr-rasida hain ghar ki vo makhdush imaarat gir ke phir taamir hui ab aangan mein peD hain jitne saare shaakh burida hain is basti mein ek saDak hai jis se ham ko nafrat hai us ke niche pagDanDi hai jis ke ham girvida hain"
Irfan SattarIrfan Sattar
Quote
"raftagaan ki sadaa nahin main huun ye tiraa vaahima nahin main huun tere maazi ke saath dafn kahin meraa ik vaaqi'a nahin main huun kyaa milaa intihaa-pasandi se kyaa main tere sivaa nahin main huun ek muddat mein jaa ke mujh pe khulaa chaand hasrat-zada nahin main huun us ne mujh ko muhaal jaan liyaa main ye kahtaa rahaa nahin main huun main hi 'ujlat mein aa gayaa thaa idhar ye zamaana nayaa nahin main huun meri vahshat se Dar gae shaayad yaar baad-e-fanaa nahin main huun main tire saath rah gayaa huun kahin vaqt Thahraa huaa nahin main huun gaahe gaahe sukhan zaruri hai saamne aaina nahin main huun sarsari kyuun guzartaa hai mujh se ye miraa maajraa nahin main huun us ne puchhaa kahaan gayaa vo shakhs kyaa bataataa ki thaa nahin main huun ye kise dekhtaa hai mujh se udhar tere aage khalaa nahin main huun"
Irfan SattarIrfan Sattar
Quote
"dast-kash hon na mai-e-gul ke khush-aashaam abhi ki labaalab hain mah-o-mehr ke do-jaam abhi zehn mein saaqi hai mai-khaana hai hai jaam abhi hosh kahtaa huun ise hosh kaa kyaa kaam abhi mujh ko darkaar na hai kufr na islaam abhi sidhe sidhe hi chale aate hain paighaam abhi tu bhi baaqi tiri rahmat bhi hai baaqi saaqi rahne de hai mai-e-isyaan se baDaa kaam abhi khaal-o-gesu se hai ye silsila-e-raaz-o-niyaaz daana sad-daana ho ye daam ho sad-daam abhi ziist ke khvaab ki taabir abhi baaqi hai ibtidaa dekh chuke hai magar anjaam abhi rah-rav-e-ishq abhi duur hai mearaaj-e-habib rashk-e-manzil na huaa raah mein har gaam abhi zarra-zarra hai ik aatish-kada-e-nur kalim dekh agar tu na ho aatish-zada-e-baam abhi imtiyaaz-e-man-o-tu raaz-e-khafi hai lekin khaasgaan ke liye kahtaa huun sar-e-aam abhi aks ko zo'm hai be-misli-e-rang-o-bu kaa turfa ye hai ki muqaabil hai vo gulfaam abhi raaz-goi tiri 'aiman' hai gunaah-e-akbar maang le afv ki us kaa hai karam aam abhi"
A
Aiman Amritsari
Quote
"baad-e-shimaal chalne lagi ang ang mein lipTaa hai kaun mujh se ye patjhaD ke rang mein khvaahish ke kaarobaar se bachnaa muhaal hai utregaa tu bhi saath mire is surang mein main aandhiyon mein haath bhi pakDun tiraa to kyaa ik shaakh-e-be-siper huun havaaon ki jang mein 'raanjhaa' main 'ahd-e-nau kaa qabilon mein baT gayaa to 'hir' ban ke pi na saki zahr jhang mein garmaa sakin na chaahatein teraa kaThor jism har ek jal ke bujh gai tasvir sang mein aage 'musavvir' aag 'aqab mein hai ye sadaa pichhe na muD ke dekhnaa is dasht-e-sang mein"
Musavvir SabzwariMusavvir Sabzwari