Shayari
vo aise moD par mujh ko milaa thaa
main tanhaai kaa aadi ho chukaa thaa
jalaa diye hain kisi ne puraane khat varna
fazaa mein aisaa to raqs-e-sharar nahin hotaa
جلا دئے ہیں کسی نے پرانے خط ورنہ
فضا میں ایسا تو رقص شرر نہیں ہوتا
जला दिए हैं किसी ने पुराने ख़त वर्ना
फ़ज़ा में ऐसा तो रक़्स-ए-शरर नहीं होता

vo aise moD par mujh ko milaa thaa
main tanhaai kaa aadi ho chukaa thaa
jal rahe hain abhi kamzor aqidon ke charaagh
jis kaa ji chaahe zamaane mein khudaa ho jaae
mohabbaton ke hasin baab se zaraa aage
kitaab-e-zist mein miltaa hai gumrahi kaa varaq
thaam rakkhi hai ham ne chaal apni
aaj-kal hain sitaare gardish mein
jab bhi ye sochne lagtaa huun ki kaun apnaa hai
zehn mein aa ke kai naam nikal jaate hain
ye pyaar kaa jazba tire kuchh kaam to aae
meraa nahin bantaa hai to ban aur kisi kaa