Shayari
jal rahe hain abhi kamzor aqidon ke charaagh
jis kaa ji chaahe zamaane mein khudaa ho jaae
ye pyaar kaa jazba tire kuchh kaam to aae
meraa nahin bantaa hai to ban aur kisi kaa
یہ پیار کا جذبہ ترے کچھ کام تو آئے
میرا نہیں بنتا ہے تو بن اور کسی کا
ये प्यार का जज़्बा तिरे कुछ काम तो आए
मेरा नहीं बनता है तो बन और किसी का

jal rahe hain abhi kamzor aqidon ke charaagh
jis kaa ji chaahe zamaane mein khudaa ho jaae
mohabbaton ke hasin baab se zaraa aage
kitaab-e-zist mein miltaa hai gumrahi kaa varaq
thaam rakkhi hai ham ne chaal apni
aaj-kal hain sitaare gardish mein
jab bhi ye sochne lagtaa huun ki kaun apnaa hai
zehn mein aa ke kai naam nikal jaate hain
phans hi jaate hain kisi daam mein aakhir ham log
laakh kahte hain chhalaave mein nahin aaeinge
vo aise moD par mujh ko milaa thaa
main tanhaai kaa aadi ho chukaa thaa
sabhi se jab mohabbat chaahte ho
mohabbat kyon nahin karte sabhi se
kisi se ishq apnaa kyaa chhupaaein
mohabbat Tapki paDti hai nazar se
husn jalva dikhaa gayaa apnaa
ishq baiThaa rahaa udaas kahin
thak gayaa hai dil-e-vahshi miraa fariyaad se bhi
ji bahaltaa nahin ai dost tiri yaad se bhi
ishq udaasi ke paighaam to laataa rahtaa hai din raat
lekin ham ko khush rahne ki aadat bahut ziyaada hai
aatish-e-ishq vo jahannam hai
jis mein firdaus ke nazaare hain