Shayari
hujjatein vasl ki jab yaad dilaain un ko
bole vo sharm kaa andaaz thaa inkaar na thaa
A
Abid Husain Abidtum ne laDe baghair ghulaami qubul ki
achchhe bhale vujud pe sar raaegaan gayaa
تم نے لڑے بغیر غلامی قبول کی
اچھے بھلے وجود پہ سر رائیگاں گیا
तुम ने लड़े बग़ैर ग़ुलामी क़ुबूल की
अच्छे भले वुजूद पे सर राएगाँ गया
shaahraahein dafatan shoale ugalne lag gaiin
ghar ki jaanib chal paDaa hai shahr gheraa kar tamaam
zamaana mujh se judaa ho gayaa zamaana huaa
rahaa hai ab to bichhaDne ko mujh se tu baaqi
tumhein fursat ho duniyaa se to ham se aa ke milnaa
hamaare paas fursat ke sivaa kyaa rah gayaa hai
gham hai na ab khushi hai na ummid hai na yaas
sab se najaat paae zamaane guzar gae
vo na aaegaa hamein maalum thaa is shaam bhi
intizaar us kaa magar kuchh soch kar karte rahe
na jaane us ne khule aasmaan mein kyaa dekhaa
parinda phir se jahaan-e-qafas mein lauT aayaa