Shayari
ise shaairi na jaano ye hai meri aap-biti
main ne likh diyaa hai dil kaa sabhi haal chalte chalte
ehsaan-e-rab mohabbatein itni milin 'adil'
is umr-e-mukhtasar mein na lauTaa sakeinge ham

ise shaairi na jaano ye hai meri aap-biti
main ne likh diyaa hai dil kaa sabhi haal chalte chalte
main is se qimti shai koi kho nahin saktaa
'adil' maan ki jagah koi ho nahin saktaa
rasm-o-rivaaj chhoD ke sab aa gae yahaan
rakkhi hui hain taaq mein ab ghairatein tamaam
kahaan ke maahir-o-kaamil ho tum hunar mein 'adil'
tumhaare kaam to parvardigaar kartaa hai
har taraf apne hi apne haae tanhaai na puchh
kis qadar khalti hai aksar ham ko binaai na puchh
de hausle ki daad ke ham tere gham mein aaj
baiThe hain mahfilon ko sajaae tire baghair
Dil dhoondta hai phir wahi fursat-e-shab-o-roz
Naaz uthana, naaz uthana, naaz uthana
Hazaaron khwahishein aisi ke har khwahish pe dam nikle
Bahut nikle mere armaan, lekin phir bhi kam nikle
sau sau umidein bandhti hai ik ik nigaah par
mujh ko na aise pyaar se dekhaa kare koi
dil mein na ho jurat to mohabbat nahin milti
khairaat mein itni baDi daulat nahin milti
ishq ne 'ghaalib' nikammaa kar diyaa
varna ham bhi aadmi the kaam ke
hamaari baat mohabbat siin tum jo gosh karo
to apni prem kahaani tumhein sunaaungaa