Shayari
zakhm-e-nigaah zakhm-e-hunar zakhm-e-dil ke baad
ik aur zakhm tujh se bichhaD kar milaa mujhe
jab tishnagi baDhi to masihaa na thaa koi
jab pyaas bujh gai to samundar milaa mujhe
جب تشنگی بڑھی تو مسیحا نہ تھا کوئی
جب پیاس بجھ گئی تو سمندر ملا مجھے
जब तिश्नगी बढ़ी तो मसीहा न था कोई
जब प्यास बुझ गई तो समुंदर मिला मुझे

zakhm-e-nigaah zakhm-e-hunar zakhm-e-dil ke baad
ik aur zakhm tujh se bichhaD kar milaa mujhe
mujhe haasil kamaal-e-guftugu hai
ye main huun yaa mire lahje mein tu hai
kabhi khayaal ki surat kabhi sabaa ki tarah
vo kaun hai jo mire saath saath chaltaa hai
ravaan-davaan hai zindagi charaagh ke baghair bhi
hai mere ghar mein raushni charaagh ke baghair bhi
yahi ik mashghala hai zindagi kaa
taaaqub kar rahaa huun raushni kaa