Shayari
ham havaa se bachaa rahe the jinhein
un charaaghon se jal gae shaayad
ab bhi aksar shab-e-tanhaai mein kuchh tahrirein
chaand ke aks se ho jaati hain raushan raushan
اب بھی اکثر شب تنہائی میں کچھ تحریریں
چاند کے عکس سے ہو جاتی ہیں روشن روشن
अब भी अक्सर शब-ए-तन्हाई में कुछ तहरीरें
चाँद के अक्स से हो जाती हैं रौशन रौशन

ham havaa se bachaa rahe the jinhein
un charaaghon se jal gae shaayad
gahre samundaron mein utarne ki le ke aas
baiThe hue hai ek kinaare hamaare khvaab
udaasi shaam tanhaai kasak yaadon ki bechaini
mujhe sab saunp kar suraj utar jaataa hai paani mein
shadid dhuup mein saare darakht suukh gae
bas ik duaa kaa shajar thaa jo be-samar na huaa
abhi to chaak pe jaari hai raqs miTTi kaa
abhi kumhaar ki niyyat badal bhi sakti hai
jin ke mazbut iraade bane pahchaan un ki
manzilein aap hi ho jaati hain aasaan un ki
gham hai na ab khushi hai na ummid hai na yaas
sab se najaat paae zamaane guzar gae
jab ki pahlu se yaar uThtaa hai
dard be-ikhtiyaar uThtaa hai
husn jalva dikhaa gayaa apnaa
ishq baiThaa rahaa udaas kahin
baarish ke baa'd raat saDak aaina si thi
ik paanv paaniyon pe paDaa chaand hil gayaa
hamaare she'r naghme aur sajde
adaa jo ho na paae kyaa hue vo
main phir rahaa huun shahr mein saDkon pe ghaaliban
aavaaz de ke mujh ko miraa ghar pukaar le