Shayari
yahi zamaana-e-haazir ki kaaenaat hai kyaa
dimaagh raushan o dil tiira o nigah bebaak
baagh-e-bahisht se mujhe hukm-e-safar diyaa thaa kyuun
kaar-e-jahaan daraaz hai ab miraa intizaar kar
باغ بہشت سے مجھے حکم سفر دیا تھا کیوں
کار جہاں دراز ہے اب مرا انتظار کر
bāġh-e-bahisht se mujhe hukm-e-safar diyā thā kyuuñ
kār-e-jahāñ darāz hai ab mirā intizār kar

Sir Muhammad Iqbal was a philosopher, poet, and politician whose poetry revolves around self-realisation and the ideal of a perfect human being.
Sir Muhammad Iqbal was a philosopher, poet, and politician whose poetry revolves around self-realisation and the ideal of a perfect human being.
1877–1938
View all quotes by Allama Iqbalyahi zamaana-e-haazir ki kaaenaat hai kyaa
dimaagh raushan o dil tiira o nigah bebaak
tamannaa dard-e-dil ki ho to kar khidmat faqiron ki
nahin miltaa ye gauhar baadshaahon ke khazinon mein
zindagaani ki haqiqat kohkan ke dil se puchh
ju-e-shir o tesha o sang-e-giraan hai zindagi
hakim o aarif o suufi tamaam mast-e-zahur
kise khabar ki tajalli hai ain-e-masturi
jis khet se dahqaan ko mayassar nahin rozi
us khet ke har khosha-e-gandum ko jalaa do
baatil se dabne vaale ai aasmaan nahin ham
sau baar kar chukaa hai tu imtihaan hamaaraa
vo na aaegaa hamein maalum thaa is shaam bhi
intizaar us kaa magar kuchh soch kar karte rahe
pyaaso raho na dasht mein baarish ke muntazir
maaro zamin pe paanv ki paani nikal paDe
jaan-levaa thiin khvaahishein varna
vasl se intizaar achchhaa thaa
vaada nahin payaam nahin guftugu nahin
hairat hai ai khudaa mujhe kyuun intizaar hai
paidaa vo baat kar ki tujhe roein dusre
ronaa khud apne haal pe ye zaar zaar kyaa
ye teri aarzu mein baDhi vusat-e-nazar
duniyaa hai sab miri nigah-e-intizaar mein