Shayari
jo bhi hai dil mein aap ke khul kar bataaiye hamein
kahte hain aap Thiik hain rahte hain be-qaraar se
phir vahi khvaab vahi zid nahin 'aaqib-saabir'
ham usulon se baghaavat nahin karne vaale
پھر وہی خواب وہی ضد نہیں عاقب صابرؔ
ہم اصولوں سے بغاوت نہیں کرنے والے
फिर वही ख़्वाब वही ज़िद नहीं 'आक़िब-साबिर'
हम उसूलों से बग़ावत नहीं करने वाले

pyaaso raho na dasht mein baarish ke muntazir
maaro zamin pe paanv ki paani nikal paDe
sach ishq mein hain aashiq o maashuq baraabar
jo mushkil-e-majnun hai so hai mushkil-e-lailaa
chaand ne taan li hai chaadar-e-abr
ab vo kapDe badal rahi hogi
havaa shaakhon mein rukne aur ulajhne ko hai is lamhe
guzarte baadalon mein chaand haail hone vaalaa hai
sabza o gul kahaan se aae hain
abr kyaa chiiz hai havaa kyaa hai
tum ne kyuun dil mein jagah di hai buton ko 'saabir'
tum ne kyuun kaaba ko but-khaana banaa rakkhaa hai