Shayari
ham to us pasti-e-ehsaas pe jiite hain jahaan
ye bhi maalum nahin jiit hai kyaa maat hai kyaa
jism paaband-e-gul sahi 'aabid'
dil magar vahshaton ki basti hai
جسم پابند گل سہی عابدؔ
دل مگر وحشتوں کی بستی ہے
जिस्म पाबंद-ए-गुल सही 'आबिद'
दिल मगर वहशतों की बस्ती है

main baDaa ho gayaa huun magar bachpanaa
mere dil se kabhi bhi gayaa hi nahin
'saif' andaaz-e-bayaan rang badal detaa hai
varna duniyaa mein koi baat nai baat nahin
rok bhi to ham nahin sakte the jaane vaale ko
baad us ke dil kisi se bhi lagaayaa na gayaa
suni na ek bhi zaalim ne aarzu dil ki
ye kis ke saamne ham arz-e-haal kar baiThe
ik lafz-e-mohabbat kaa adnaa ye fasaanaa hai
simTe to dil-e-aashiq phaile to zamaana hai
zarre zarre mein mahak pyaar ki Daali jaae
bu taassub ki har ik dil se nikaali jaae